Thursday, May 27, 2010

Jeena Ali Sey Seekha Hai - Marna Hussain Sey

Khaeen hein jab sey rotiyan is dar ki shubo sham
Katne lagi hai zindagi aram-e-chen sey

Abis yeh raaz ajj khula zeest ka teri
Jeena Ali Sey Seekha Hai - Marna Hussain Sey

*****

Her doar mey uthta hi raha parcham-e-Abbas
Kitni Taweel umr hai is Sher-e-Ali ki

yun tu gharane hein buhat izaton waley
per arsh pey izat hai tu sirf Nasl-e-Ali ki

Abis yeh ajab khel tu khele hai Qaza sey
Pharne ki kiya adat hai tujhe Nad-e-Ali ki

By Abis Zaidi

Friday, May 21, 2010

Lab-e-Haider Ki Janbish Per, Kaha Touheed Ne Aksar

Lab-e-Haider Ki Janbish Per, Kaha Touheed Ne Aksar
Hamare Haq Mey Bhi Khutba Koi Irshad Hojaye!!

Agar Naad-e-Ali Padhne Ki Rasm Ejaad Hojaye
To Her Seene Mein Ik Taaza Najaf Aabad Hojaye

Agar Ehl-e-Watan Naam-e-Ali Lay Kar Badhen Qadam
Mera Eemaan Hai Kashmir Tak Aaazad Hojaye

Nara-e-Haider by Abis Zaidi

Haider ka Ziker Sun k Jo Besheer Pala hai

Her Doar mey Mukhtar ki Tasveer raha hai

Abaad Rahi Nasal Or Abaad rahey gi

Shabbir Ka gham jis ki bhi taqdeer raha hai

OR

Katey jo munafiq ka jiger ajj bhi Abis

Han Nara-e-Haider hai jo shamsheer raha hai

Gham-e-Hussain By Abis Zaidi

Hai Zindagi Udaas Gham-e-Hussain mey
Noha kuna her saans Gham-e-Hussain mey

Pani na dia Zalim rotey hein ajj tak
Bethe hue yeh Dariya Gham-e-Hussain mey

rawish yeh ajab dekhi kerbal k bad sey
apno ko bhi rota hun tu Gham-e-Hussain mey

bughz-e-Ali sey hath k , dekho wiladaton ko
rotey hue atey ho Gham-e-Hussain mey

Abr-e-karam jo barsey mey manta hun logo
per falak sey pocho kia Gham-e-Hussain mey ?

Her pal yeh dua mangi umr-e-taweel ho gar
Allah mere guzre Gham-e-Hussain mey

Abis yeh tera khoon hai jo kheta hai aj tak
Jo bhi likho likhte raho Gham-e-Hussain mey

Hussain k Dar sey Khaak Leylo ; Khaak Mey bhi Shifa tu hai na!

Hussain ki dar sey khak leylo
khak mey bhi shifa tu hai na

zameen hai asman sey bheter
k is pey farshe aza tu hai na

yeh dil musalsal dhrak raha hai
saqi ka matam bapa tu hai na

adan tu her matmi ka haq hai
Hussain pey khoon baha tu hai na


Ali ki ulfat bina yeh sajda
Ada bhi hoga ; qaza tu hai na

Habib yeh soch ker jawan tha
hussainiat ka aasa tu hai na

najat mushkil hue tu kia hai
Ali hi mushkil khusha tu hai na :D

Meri zuban per Ali Ali hai
mujeh bhi Ma ki dua tu hai na

Jali bara hai , Ali bara hai
Khuda nahi kibriya tu hai na:D

woh aik shab bi khe k soya
chalu khuda ki raza tu hai na!

ager ali ka pata nahi hai
phir apne ghar ka pata tu hai na?

Salam her Matmi ki Ma ko
halal zada jana tu hai na:)

faqeer muflis malang shah ka
ghareeb hai , baap ka tu hai na

tujhe ali sey nahi muhabbat?
nahi muhabbat saza tu hai na!

romal zehra ka , hur ka matha
jaza ki din tak jaza tu hai na:)

Ghilaf-e-Tauheed sey larai - Ghilaf-e-kaaba ko chomtey hein?

yeh kibriya pey pardah kabhi para hai bhala?

wila k kam na roko wali na ajaye:@

isi liye tu dararyen chupayin hein tum ney

tumhe yeh dar hai k phir sey ali na ajaye

*****

Ali ki tanzeel ka fasana abhi yeh izhar ker raha hai

Ali hai joaf-e-haram mey utra tabhi mutabar raha hai

Yeh hajj pey jana tawwaf kerna kabhi tu is falsafey ko samjho

Jahan chakar laga raha hai Ali ka saqda utar raha hai

*****

mey sochta hun jahan waley ager munafiq nahi tu kia hein?

Ulaj k haider sey os k jaaye zahoor k gird ghomte hein!

Dekahyi deta nahi woh Allah - Ali k ander chupa howa hai

Ghilaf-e-tauheed sey laryi,ghilaf-e-kaaba ko chomtey hein?

Lo Saari Dunia tum leylo - Bus Aik Ali Hum Lete Hen

Darain ki Khusiyan tum leylo
Shabbir ka gham hum lete hein

sab deher ki gulshan tum rakhlo
aik bagh-e-irum hum lete hein

tum takht sambhalo khush ho k
mimber ka bharam hum lete hein

Darain k parcham tum leylo
Ghazi ka Alam hum lete hein

Kul arab ki malkiyat tum lo
kerbal ki gali hum lete hein

lo sari dunia tum leylo
bus aik Ali hum lete hein

Meri namaz-e-janaza mey woh shareek na hon!

Aza-e-shabbir mey har waqt rota rheta hun
Dua kero k mere dil k zakham theek na ho

aur Ali k ziker sey jalta hai jin ka dil Abis
meri namaz-e-janaza mey woh shareek na hon!