Tuesday, February 9, 2016

Or Hai ?

Jo Taahe Khajar Kiya Jaye woh Sajda or Hai 
Bandagi Ki Laaj Rakhley Woh Banda Or 

Khoon ki Azmat Or Mathe Ka Paseena Or Hai 
Anbiya Sey Kia Taqabul Mera Mola Or Hai 

Gharq Ker K Bidaton Ko Mere Aansoo Her Baras
Muftiyon Sey Pochtey Hein Koi Fatwa Or Hai ?

Tu Dhoondney Waley Jawab e Murtaza Yeh tu Bata
Koi Nuqta Ba e Bismallah Jesa Or Hai ?

Is Liye Akar Woh Essa Ko Pharayen Gey Namaz
Sheer e Maryam Or Hai , Sheer e Zehra Or Hai

Alqama Abbas K Chullu Ka Anadaza Na Ker
Tujhe Mey Pani Hi Nahi Chullu Ka Ghera Or Hai 

Sher Ney Yeh Alaqama K Pherey Daron Sey Kaha 
Is Pey Qabza HoChuka ! Ab Koi Dariya Or Hai ?

Sher Kheletey Hein Hum Bhi Aey Bilal e Kazmi 
Madhe Mola Mey Magar Meesum Ka Lheja Or Hai ..


Mola Ko Khat

Jazba e Ulfat e Sarkar Ney Khat Likha Hai 
Aik Shehenshah Ko Nadaar Ney Khat Likha Hai 

Is Liye Askhon Sey Likha K yeh Zahir Hojaye 
Shah e Wala K Azadar Ney Khat Likha Hai

Waris e Asghar e Byesheer Tujhe Kaabe Ki 
Muskurati Hue Deewar Ney Khat Likha Hai 

Lab e Sajjad Pey Tashdeedey Tabasssum K Liye 
Jazba e Hazrat e Mukhtar ney Khat Likha Hai 

Apney Ajdad K Parcham Ko Sambhalo Aker
Kattey Hathon Sey Alamdar Ney Khat Likha Hai 

Dil Sey yeh Izat o Tauqeer Mubarruk ho Habib
Apko Syed e Abrar Ney Khat Likha Hai 

Meri Wasiyat


Gulaam e Fatah e Badr o Hunain Lieh dena
Ya Sogwarey Shah e Mashraqain Likh dena
Agar Koi Bhi Wasiyat, Jo Meri Yaad Na Ho
Merey Kafan Pey Faqat Ya Hussain a.s Likh dena

Wasf -e- Ali

Wasf e ali raqam jo keye jaa raha hun main
Kaffar e gunah diye jaa raha hun main
Dast e gunah se daman e dil chaak chaak hai
Ashkon ke taar leke siye jaa raha hun main
dil me jalake aatish e hubb e abu turaab (a.s)
Daman e tar ko anch diye jaa raha hun main
Gar sad-hazaar mushkilen aayen to kya khatar
Mushkil kusha ka naam liye jaa raha hun main
Haq goi shar se ulfat e aal e rasool hai
Baatil ka parda chaak kiye jaa raha hoon main
Zaail ho kese nasha e sahba e hubb e deen
Chauda pila rahen hain piye jaa raha hun main
In-aame zadi ki nahi koi intehaa
Wo de raha hai aur liye jaa raha hun main
Duniya se kuch bhi zaade safar le saka na saath
Daagh e gham e Hussain liye jaa raha hun main
Zaahid suna hai naza me aayenge murtuza
Yun maut ki khushi me jiye jaa raha hun main

Shan e Imam e Zamana a.s

Woh ghar k jisme her koi aala dekhayi dey
Os ghar mey bhi bus aik hi ziada dekhayi dey

Aye kash mey sadaon ko tasweer kersakon 
Bus alajal kahon tu sarapa dekhayi dey

Aye zulfiqar koan si ankhen hen tere pass
Mheshar talak ka Her tujhe shajra dekhayi dey

Do chaar murtaza k faqeeron ki kher ho
Warna yeh kayenaat hi kufa dekhayi dey

Do lafz phar lye tu yeh Aalam ghurror ka
Mullah yeh chatha hai k Mola dekhayi dey

Zamana Hussain (A.S) Ka



Afzal Hai Kul Jahan Sy Gharana Hussain Ka,  
Nabiyon Ka Tajdaar Hai Nana Hussain Ka,  
Ik Pal Ki Thi Bas Hakoomat Yazeed Ki,  
Sadiyaan Hussain Ki Hain, Zamana Hussain Ka…