Thursday, September 30, 2010

Apni Dua

Abis ko bhi Kerde ata on k nokar ki sanad
Han apni duaon mey faqat mang raha hai!

Najaf mey sajey tere hi jalwe ki qasam hai
Daman-e-Haider mey panah mang raha hai

Hojaye dafan moat bhi ajaye wahin per
bus kerbobala hi mey jaga mang raha hai

Her sal uthata rahe woh parcham-e-Abbas
Or osi ibadat ka hunar mang raha hai

Muslim hun k Hur John ya hun Ibne-mazahir
bus aese hi kismat woh sada mang raha hon.

Han Apni Duaon mey faqat mang raha hai :)

Monday, September 20, 2010

Wasf-e-Khudai

RATOON KO ALI. A.S JAGAY TU KHALIQ NAY YE SOCHA...
FARSHE SHAB-E-HIJRAT KO BICHANA HI PARAY GA........

CHIIN JAYEE NA MUJHSE YE MERA WASFE KHUDAYE.....
EK SHABB K LIYE ISKO SULANAA HI PARAY GAAAA

Friday, September 17, 2010

Zainab s.w Ki Awaz

Bazaron mey karti hen jo chehron ki numaish

Aey bibiyo kia yaad tumhain koofa nahi hai

khutba bhi sunaya tha to lehjay meyi Ali k

Zainab ki tu awaaz bhi beparda nahi hai

Baqar A.s Al-e-Muhammed or Zainul Abbideen A.s

BAQAR AAL E MOHAMMAD AUR ZAIN UL AABIDEEN
KIS TARAH ZINDA RAHEY GOYA HAY RAAZ-E-KIBRIYA

KARBALA KI HAR BALA HAR IBTALA KO JHAIL KAR
ZINDAGAI IN KI HAQEEQAT MEIN HAY ZINDA MOJZA

Mera Hussain

Ye Muftiyan-e-deen sey kehti hai Karbala

Bidat usi ki yaad jo jeena sikha giya?

Tum lakhon sey ek Lal Masjid na bach saki

Mera Hussain Sarri khudaee bacha gaya :)

Shabeer - o - Shariyat

Aye Jhoot K Fatwoon Ki Dukaan Kholne Waley
Farman-e-Payamber ko na is Tarhan Bhola Dey

Hum Matam-e-Shabeer Sey Ruk Jayen Gay Aye Dost
Shabeer-o-Shariyat Mey Zara Farq Batadey

Jafri - Ja Free

Hamara Manshoor Zikr-e-Haider, Hamara Maqsad Ali Ali hai,

Ali Munafiq ki Maut bhi hai,Ali Malangon ki Zindagi hai,

Baroz-e-Mehshar Kahainge Hans Kar Har Ek se Yeh Farishte,

Ali Ka Naukar Ali Ka bandah,Tu JAFRI hai to Ja - FREE Hai..

Thursday, September 16, 2010

Imamat or Imam

Jin k dil ki wadiyon mey karbala taameer hai
Un ki khushiyon ki zamanat parcham-e-shabbir hai

Isko khete hai IMAMAT aese hote hen Imam
Hath my sari khudai paon my zanjeer hai.

Friday, September 10, 2010

Chor Dain?

Hadson Ki Zad Pe Hain To Muskurana Chor Dain?
Zalzalon K Khof se Kia Ghar Banana Chor Dain?

Karbala Ka Gham Moqaddum,Saari Khushiyan Ek Taraf
Sal-e-Noo K Naam Par Dargah Sajana Chor Dain?

Jaan Ki Parwah Nahi Hai, Lab Pay Hai Bass Ya Hussain
Khud Kashon K Khof Se Kia Gham Manana Chor Dain?

Ye Alam, Ye Taa'ziye Shabbir Ki Nisbat Se Hain
Shirk K Fatwon K Dar Se Kia Uthana Chor Dain?

Yeh To Hai Ajar e Risalat,Sab Ada Karty Rahain
Rab se Na Ghafil Hain Na Majlis Mai Aana Chor Dain.

Thursday, September 9, 2010

Abis Ibn-e-Shabeeb Al-Shakri

Dil jub se howa khaq pay Qumber k barabar
Mey khud ko samjhta hon sikander k barabar

Ata nahi Yaqeen tu Measum sey Pochlo
Ishq-e-Ali ka qatra bhi samunder kay baraber

Shauda-e-Kerbala mey sey aik naam ka asar
Abis yeh dunia teri thokar k baraber!

Wednesday, September 8, 2010

Abbas Ki Chahat

Abbas Ki Chahat Ka Ye Aalam Hai Jahan Mai
Har Sans Py Lagta Hai K Naizay Ki Anni Hai

Dariya Mai Ubharti Hui Moujon Ko Zara Dykh
Ye MataM-e-Abbas Mai Zanjeer Zani Hai

Thursday, September 2, 2010

Juloos-e-Aza

Mola Se Jo Wada Hai Sada Pura Karen Gey

Ab Pehlay Se Ziada Ye AzZa Barpa Karen Gey

Jitne Bhi Dhamakay Karay Ye Nasal-e-yazeedi

Mola Tera Juloos-e-Aza Pura Karen Gey

Wednesday, September 1, 2010

Rasm-e-yazidi

Mat Soch ke Hum tere dhamakon say daray hen
Ye Zulm to Shiyon pe Pehlay bhi hue hen

Tu Rsam-e-yazidi ko bare shoq sey apna
Hum Fatima Zehra ki duaon ma palay hen

Condemns Lahore Blast!

Na rokne se kisi ke ruka Juloos-e-aza

Utha ke laashon ko chalta raha juloos-e-aza

Na rook payi ajal matami ko matam se

Nikaltay rahe Ahl-e-aza Juloos-e-aza