Saturday, December 24, 2011

Khoon Ki Niyaaz

Abis Yeh Behas Kia Hai Her aik yazid sey?
Bus Baha Rahe Hen Khoon Niyazon K Waste

Ab Hath ager Uthtey Nahi Matam K Liye Tu
Bhetar Hen Woh Bandhey Rahen Namazon K Waste

Dedicated To Shakeel Zaidi (Abba) ....

Wednesday, December 21, 2011

Abbas Hai !

Kibriya k Noor Ka Noor e Nazar Abbas Hai
Elim Ka Dar Hai Ali Or Dar Ka Dar Abbas Hai

Baar'ha Shabbir Ne Quraan Ki Tafseer Ki
Mai Agar Wal'Sham's Hun to Wal'Qamar Abbas Hai

Mukhbir e Sadiq Muhammad Ne Ali Se Yun Kaha
Ya Ali Koi Nahi Tujhsa, Magar Abbas Hai

Kibriya k Sher Haider Ne Muhammad se Kaha
Maine Kab Socha Tha Ghazi Is Qadar Abbas Hai

Sulb e Haider Mai Wafa Ka Noor Tha To Maan Lo
Baap Ka Mayraaj Ki Shab Humsafar Abbas Hai

Aati Hain 9 Hujjatain Is Ki Salami K Liya
Faisla Tum Khud Karo Kia Moutabar Abbas Hai

Majlis e Shabbir Mai Aata Hai Jo Shakhs Usko
Woh Dua Milti Hai k Jiska Asar Abbas Hai

Jab Jahan Dekhain Ye Parcham Beth Jatay Hain Wahan
Jiska Koi Ghar Na Ho Na Uska Ghar Abbas Hai

Shaukat Raza Shaukat

Tuesday, December 20, 2011

Jaan-e-Abbas a.s

• Qalb'e ABBAS K Arman Kahan Niklay Thay •
• Jazba'e Nusrat'e SHABBiR Abhi Baqi Hay •

• Parad'e Ghaib Mai Hy Aik ALAMDAR Abhi •
• Jang ABBAS K His'say Ke Abhi Baqi Hay

Shab e ShahadaT Mola SajjaD

AlfaZ k PaikaR Mai Samata NAhi SajjaD
MasjooD Jahan Par Hai YaqeenaN WahiN SajjaD
SajdOn Ny Bhi Dekha Nahi Aesa KahiN SajjaD
SajjaD Ko Mat Sochna ApnaY TayeeN SajjaD

Hai Iski KhabeR Is k Khuda Ko Ya Nabi Ko
SajjaD, Ali Hai, Samjh Aata Hai Ali Ko

SajjaD k SajdaY Ka Hai Andaaz nirala
SajjaD Ki SooraT Mai Hai SeeraT KA Hawala
SuraJ Bhi Hai SajjaD k MathaY KA Ujala
Har SajiD o AbiD Ko HAi SajjaD Ny Paala

Khaliq Ny Jahan, JAb, JisaY, Jo RizQ Diya Hai
SajjaD k HathOn Se Hi TaQseeM Kiya HAi

SajjaD KahiN MarkaZ e IrfaaN e Jali Hai
SajjaD AzaL Se Hi Wilayat Ka Wali HAi
SajjaD Kabhi ADM e AulaaD e Nabi Hai
SajjaD se Hi NasaL MuhammaD Ki Chali Hai

ShabbiR Ki Soorat Mai Ye MuhammaD Ka Pisar Hai
PhiR ApnaY ZamanaY k MuhammaD Ka Pidar Hai

Tha AalaM e MalkooT Mai AbiD Ka Musalla
Tehra JahaN SajjaD WahaN Tehra Mualla
SajjaD Ka AllaH Se Wo QarB Hai WallaH
WajiB Hai RasooLon Py Bhi AbiD KA Tawalla

Ghar Mai MusallaY Kabhi AbaD Na HotaY
Duniya MAi Agar syeD e sajjaD Na HotaY

AbiD k HaseeN RooP, IbadaT k Liye ZaiN
SajjaD k 2 Lab HaiN Ya AnwaaR Ki BehraiN
AllaH Ki AankhaiN Hain Ye Sajjad k 2 NaiN
Wo HusN k Jism Mai Paye Gaye HussaiN

Is GhaR Mai Utarta Nahi Koi Bhi Kisi Ka
Seerat Mai Nabi Sa Hai To suraT Mai Ali Sa

Statuses For Facebook

Mene Kaha Ali meri sansoo mey Hai basa - Tu Hi bata K kese Jiyon saans Rok kay?

Her Doar Apne sath Lata Hai Aik yazid - Her Doar ko Rahe Gi zarorat Hussain ki.

Aray Jannat say tu behtar ha Aazakhan-e-Shabbir - Dushman bhi yahan ho tu nikala nahi jata :)

Jab Bhi Kabhi Zameer Ka Sauda Ho Doston - Qaim Raho Hussain K Inkaar Ki Tarhan !

De Mauj-e-Hawadis unko bhi do char thapere halke se - Kuch log abhi tak saahil se tufaan ka nazara karte hain ! Labaik Ya Hussain

Jaye Ga Qamer Khuld Mey Her Sheh Ka Azadar ! Doazkh Haram Os Pey jo Shabbir Pey Roye!
Heraan Hai Dunya Mere Chehre Ki Chamak Per - Mitti Dar'e Haider Ki Jo Mathay Pe Mali Hai

Asool-e-Deen, Shariyat , Kitaab-e-Haq ka Bayaan - Yeh Sab Hai Deen Tu Sunlo , K sab Hussain Sey Hai !

Hasab Nasab Ka Khiyal Ker K Mere Khuda Bant de Manasib - yazidiyon ko yazid dede- Hussainiyo Ko Hussain dede

Lehed Andher Raat Hai , Mager Hussain Sath Hai - Jahan Koi Nahi , Wahan bhi Aasra Hussain Hai

Is Baat Pey Reh Jata Hoon Akser Mey Machal Ker - Kheta hai Nuseri Mere Khene Pey Amal Ker !
Yehi kahoo’n ga Ali se, Ali miley mujh ko - Jo koi mujh se ye pouchay ke kya Ali se mila ?

Madhe Mola Mey Ibadat Ka Maza Aata Hai - Shair Parta Hon Tilawat Ka Maza Aata Hai !

Suno Furaat Ki Lheroon Sey Arahi Hai Sada - Ali k Ladley Pote'y Ki Tashnagi Ko Salam

Rab ne Ali ko rizq ki taqseem ata ki - Kuch maang kar ley letey hain, kuch bhonk ke khaein !

yazidiyat ab bhi shakal chupaye phirti hai Mohsin - Khuda ka Khauf nahi, Darr osey Hussain ka hai !

Mey Husn K Sarey Zawiyon Ko Hussain Mey Dhondta Hon Shaukat - Mera Aqeeda Sa Bangaya Hai Haseen Likhna - Hussain Pharna :)

Mere Maathe Pey Mheraab-e-Ishq-e-Ali - Tere Maathe Pey Akhir Shikan Ki Liye ?

Baap k har aik Dushman se Shabbir abhi tak pochey hai - Aao dekho sunlo kis ke baap ka nara baqi hai !

Paakizigi-e-Rooh-o-Badan Hai Ali Ka Pyar -Hai is Liye tu shar't ,Taharat Namaz Mey

Nuseri ! Ishq-e-Haider Mey Haddon Ko Paar Maat Kerna - Kinare Per Kisi Ka Doobna Acha nahi Lagta :(

Mita Sako Gey Na Ander Ki Bhook Ander Sey - Tumhare Sir Pey Kisi ShehenShah Ka Hath Nahi!

Sulb-e-Haider Mey Wafa Ka Noor Tha Tu Maan Lo - Baap ka Mairaaj Ki Shab Hum Safar Abbas Hai :

Jab Jahan Dekhen Yeh Parcham Beth Jate Hen Wahan - Jiska Koi Ghar Na Hona Os Ka Ghar Abbas Hai !

Abhi Tu Beej Booya Hai Natija Dekhna Iska - Sada Matam Ki Uthey Gi Inhi Banjar Zameeno Sey !

Zinda rehna hai tu halaat sey darna kaisa - Jang lazim hai tu Lashkar nahi dekha Kerte!

Yeh ehad-e-wafa hai ta'aluq hai bakht hai - Meesaq mey hi humne chuna Matam-e-Hussain

Tamam Umr Tarapne ke Baad Samjha hon - Hayat Kya hai Mosalsal Hussain Ka Gham Hai

fart-e-alm se mere farishte bhi ro pare -jab gosha-e-lehd mien kia, Matam-e-hussain

Maza Deyti Hen On Ko Zindagi Ki Thokaryen Mohsin - Jinhe Nam-e-Ali Ley Ker Sambhal Janey Ki Adat Ho!

Hai haq niga-o-haq nazar, jari diley shair-e-nar - Sabhi giryen hain maut par, Magar Hussain aik ha

Maloom Hai Sab Kuch Tumhe Kiun Daal Rahe Hen ? Her Qoum Ko Aik Hur K Liye Paal Rahe Hen !

Taqleeq Abhi Goum Thi Hijabaat-e-Adam Mey - Os Waqt Musavvir Ki Nighaon Mey Ali Tha !

Apna Raf’ul’yadain Tabbarey Ki Misl hai - Adat Bani Hue Hai Ibadat Namaz Mey !

Kabhi Rassi Galey Mey , Kabhi Khyber Hai Hathon Mey - Jahan Jesi Zarorat Hai , Wahan Wesi Shuja'at Hai..

Namaz Teri Qaza Hui Tu Jahan Mey Iski Ada Hai Mumkin - Kabhi Bhi Isko qaza Na Kerna , Ada Na Hogi Qaza-e-Matam

Her Aik Gham Sey Hai Shabbir Ki Khushi Pyaari -Her Aik Khushi Sey Bhi Barh Ker Alam Hussain Ka Hai!

Suf Baandh Ker Khari Hen Jahan Ki Haqeeqatyen - Tareekh Likh Raha Hai Nawasa Rasool Ka..

Zulm-o-jabr Ki Inteha suey nainawa yazid - Ulaad teri ajj bhi zillat mey khari hai !

Ali a.s ka naam ley ke chor dete hen safeenay ko - Hamare samne khatraat mustaqil nahi hote !

Zaidiyon Ko Aye Samjh Abis Yeh Dua Ker / Kon-o-Makk'an Ka Sab Sey Bara Raaz
Hai Tu Bus Ali

Chaho Ager Kareeb Na Aye Koi Malaal - Khush Ho K Ya Ali Kaho :) Ro Ro K Ya Hussain :(

Kuch aise saleeqe se ata karta hai Ghazi (as) -Duniya ye samajti hai Khuda baant raha hai ....

Is Sheher Ki Her Aik Dar-o-Dewaar Pey Likh Do - Hum Ahl-e-Aza Moat sey Hergiz Nahi Darte - Hum Soag Manate Hey Hussain Ibn-e-Ali Ka - Janat K Liye Majlis-o-Matam Nahi Kerte!

Tum Eid Ki Khushiyon Mey Kabhi Bhool Na Jana - Bazaar Mey Muslim Ki Abhi Laash Parri Hai

Mey wajullah sey kat ker bandagi ka soch lon kese - Khuda sey pyar tu kerta hoon moo maari nahi kerta!

Aye Musalmaan Teri Bakhshish Ki Woh Zaamin Hoti - Kaash Tu Ney Dil-e-Zahra na Dukhaya Hota !!!

Kiya Dawa Salooni Ka Ali Ney Ye Batanay Ko - Khilafat Or Hoti Hai Imamat Or Hoti Hai

Minna't Karen Malak To Na Jaun Bahisht Main - Rehne Ke Waaste Jo Mujhe Karbala Mile !

Zulm Apni Inteha Per Thak K Jab Roney Laga - Tab Ali Asghar Ney Socha Muskorana Chaye!

Mat kero Abbas ki talwar ka zikr Mohsin - Ek Alam se hi pareshan hain yazeedi ab Tak!!!

Batil ke Samney Jo Jhukaye Na Apna Sir - Samjho K Os K Zehan Ka Maalik Hussain Hai !

Aankho K Sahilon Pey Hai Ashkon Ka Aik Hujom - Shayad Gham-e-Hussain Ka Mosam Kareeb Hai !

Khilaf-e-Majlis-o-Matam Ager Kisi Ney Kaha - Qasam Hussain Ki Mukhtar Ban K Boleyn Gey !

Bhejun yazeed per main kyun na laanatein - Ye dushmani hai aur merey ghar k saath hai !

Agar Hussain kay Matam mey kuch nahi rakha ! Tu phir yazeed kay bachoon mey khalballi kiun hai ? ( Jo Nah Bheje Os Pey Bhi Lanat -Byeshumar )

Hai la-shareek ke bandou'n main la-shareek Hussain - Khuda k baad Khuda sa bharam Hussain ka hai

Tareeq Nay Ghairat Ka Khuda Likha Hai Jisse - Her Morh Pey Zainab Ki Rida Maang Raha Hai !

Kabhi Dekh Apney Khameer main, Kabhi Pooch Apney Zameer Se / Wo jo mit Gaya yazeed tha, jo Na mit Saka HUSSAIN (A.S) Hai

Saal Mey Chapti Hen Bida'at Ki Kitabyen Jitni - Otna Hum Bachon Ko Dus Din Mey Phara Dete Hen!

Haider Sey Adawat Woh Jahanum Hai K Jis Mey - Kuch Ahl-e-Amal Apne Amal Jhonk K Jayen / Raziq Hai Ali Rizq Tu Deta Hai Sabhi Ko - Kuch Maang K Khatey Hen Tu Kuch Bhonk K Khayen !

Mey Dhoond Hi Raha Tha Elaaj-e-Gham-e-Hayat - Byesakta Kisi Ney Kaha , Matam-e-Hussain!

Mere Mola Daulat-o-shorat nahi mey Mangta -Karbala ke Zikr mey bus Apna Hissa chaye :)

Jab Say Suna hai qabar mai ayee gay Ya Ali (a.s) Mohsin dua hayat kee karna hee chor dee

Aye Khak-e-Madina Tere Zarroon Mein Abhi Tak - Hum Bint-e-Payamaber Ki Lehad Dhond Rahe Hain !

Hum Sahaba Ki Ghulami Karen Tab Bhi Kafir - Woh Mazarat Giraker Bhi Musalman Rahe ! Byeshumar

Meri Jabeen pe raqam ho yehi huroof-e-jali - Ali Imam-e-manasto manam Ghulam-e-Ali

Zehra Say Taqaabul Tu Bari Baat Hai Nadaan - Tareeqh Mey Tu Humsar-e-Fizza Hi Dekha Dey !

Mey Aiteraaz Tera Kese Maan Loon Waaiz - Ali, Ali hi Nahi Hai Ager Madad Na Karey!

Maat Cher Murtaza K Malango Ko Khoamakhaw - Salman Rhene Dey Humey Mukhtar Maat Bana

Bagher ishq-e-Ali tuune is zamane mey - Taveel umr guzari mager jiya bhi nahi !

Tum alhe salam hojatey - Haq Jo Zehra Ka deydia hota!

Baarood K Sholoon sey Daratey ho laeenoo ! Andhey Ho Kabhi Aag Pey Matam Nahi Dekha

Halaf Uthao k Sans len gey yazidiyat ka nishaan mita ker! Har aik Mushkil ko taal den gay har aik zamaney mey muskura ker!

So ker khuda ki sari rizaaen kahreed leen - Jibreel ne jaga k kaha Ya Ali Madad

Ali ka zikr sunte hi utar jate hen jo chehre - Hame Sorat bhi un ki dekhna acha nahi lagta

Ali Bhi naam hai khaaliq ka laikin bughz-e-Haider mey - Tumhain naam-e-Khuda bhi Baa khuda acha nahi lagta !

Kashti Bhanwar mein ho tu Kinara Hussain(as) Hai !

Kalma-e-Tawheed Ki Haqq-e-Wilayat Ki Qasam -Shirk Hai Ghayron Ko Maula Ke Baraabar Sochna

Sajdoon ke dagh laaiq-e-sud Ehetraam Hen - Matam ka aik nishaan banalay tu baat karr !

Abis k sath dekh inhi matam ki saffon mey - morh morh k dekhte hen koi dekhta na hoon

Zarb Kha kar bhi Jo Qatil Ko Pilaye Sharbat - Zeyb Deta Hai Use Saaqi-e-Kosar hona

Jab kon-o-makaan Ku'n kay Iradon mai Nehaan thay - Os waqt Bhi Khaliq k Gawahon mey Ali tha

Aal-e-Nabi k Dar Pe Ni'yat se Aa Zara - Kia Mil sakey ga tujh ko bhagoray se Mang kar - Is dar k tu Haiwan bhi Taalyen Musibaten - Aa Daikh le Hussain K Ghoray se Mang kar ! :)

Ali Ka Naam Hi Aazam Woh Ism-e-Aazam Hai - K Jis Kisi Ney Pukara Osi K Kaam Aya !

Falak Pey Thi Tu Koi Isse Janta Bhi Na Tha - Mila Jo Panja-e-Haider tu Zulfiqar Bani

Shaheed-e-Kerbala Ka Gham Jisey Bhi Na'Gawaar Hai - Woh Bad'amal Hai, Bad'naseeb, Osi Pey Byeshumar Hai !

Jannat Mey Bhi Shabeer Tere Gham Ki Qasam Hai - Matam Na Karyen Hum Tu Azadar Na Khena..

Shaukat mujeh marna hai basad shauk Gawara - Hoti hai ager marke mulaqaat Ali sey :)

Hum jo Talwaar ka qabzay main kalayi dangey - Unkay ajdaad bhee qabroon main duhaee dangey

Acha Hai Jallo Zikr-e-Ali Sun K Musalsal - Hojao Gey Maanos Jahanum Ki Fiza Sey :)

Gham e Hussain amanat hai aaj ki mohsin - Yeh rizq meine bachaya hoa hai kal ke liye

Hum 12 Imamon (a.s) kay paristar hain logon - Marr jatay hain, ghairon ko pukara nahin karte !!

Pachtaye ga yeh khe k jahanum mey molvi - kia kia kiya mager na kiya Matam-e-Hussain

Ghalat Nazar Bhi Ali Mey Na Pa Saki Passti - Ali Khuda Nazar Aaya Ager Ghalat Dekha :

Nahi Hon Abid-o-Zahid Mager Zaakir Hon Mola Ka - Ali K Zikr Sey Meri Taharat Ho bhi sakti hai !

Majlis-e-Hussaini Mey, Zindagi Badalne K - Gur Sikhaye Jate Hen , Hur Banaye Jate Hen!

Zikr-e-Murtaza Ker K Hum Tu Chere Phar Phar K - Zaaiche Banate Hen Waldiyat Batate Hen !

Qalandar Ne Diya hai Dars Ye Saray Zamane ko - Jo Darr Jaye Zamane se Wo Ali Wala nahi hota

Toori Gayin Hussain key Gham Mey Jo Chooriyan - Hooryen Utha Kay Le Gayin Zeywar Kay Wastey.

Hamarey arzian likhney pe kyun khafa ho bhala.? Tumhara bhi koi zinda ho usey khat likho

Mana ke jashn batate hain hum zamane ko - Hum hi woh log hain jin ka IMAM zinda hai.

Majlis mein aana iss liye bid'at bata diya - Yaad-e-Ghadeer aati hai, mimbar ko dekh kar

Baap ke haathon me khaiber, Tere chullu me furaat - Mojize bakshe Khuda ne ye gharana dekh kar

Ager Rizq Aqal-o-Danish Sey Milta Tu Janwar or Bewaqoof Zinda Hi Na Rhete - Mola-e-Kayenat Ali Ibn-e-Abi Talib a.s

Parcham-e-Hazrat-e-Abbas (as) se doori kaisi / Kya tumhen ab bhi Alamdar (as) se dar lagta hai ???

Hawa Khilaaf Thi Leykin Chiraagh Khoob Jala - Khuda Bhi Hone K Kia Kia Saboot Deta Hai

Is ki dhmak se zalzale qasr-e-yazeed mien - Tarkeeb-e-radd-e-ranj o bala, Matam-e-hussain

Kut Kut K Girey Zulm K Parcham Zameen Per - Tera Alam Jawaan Hai Chudusoo Saal Sey

Hamare Han tu yeh taleem ka mayar hai shaukat - Qalam rakhe na wo jis ko Ali likhna nai aata

Abid Ka Woh Jalal Tha Darbar-e-Shaam Mey - Zalim yeh Pochta Raha , beemar Koan Hai ???

Ajab Lari Hai Jung Bhi Hussain ney yazid sey - Bus Issey Bhar K Jeet Kia , yazid Tha Hussain Hai

Baiyat ka zikr jis ne kiya tha Imam se - Zainab zabaan kaat ke layi woh Sham se !

Zheno Mey Mawaddat Ki Qadorat Hi Na Parti - Dozakh Ko Banane Ki Zarorat Hi Na Parti..!!

Sir deke do jahaan ki hukumat khareed li - Mehenga para yazid ko sauda Hussain ka

Inhi Sey Chali Thi Khuda ki Khudayi - Inhi Par Khudayi ki Hud Hogyi Hai...

Mola tere munkir ko maarne ke wastey / Talwar ki zarorat nahin naara hi bohot hai :D Mil ker, Haideryyyyyyyy
Yeh hajj pey jana tawwaf kerna kabhi tu is falsafey ko samjho / Jahan chakar laga raha hai Ali ka saqda utar raha hai :D

Jo bughz-e-aal-e-muhammad mey mar gaya shaukat - koi bhi dour ho bas wo yazeed hota hai!

Mujh Sey Aker Jo Sadqa-e-Ali Akber Mange ! Aese Saail ko Mey Wall'ah Jawani Deydon!

Talaash-e-Rizq ki Khatir jo Soye Asmaan Dekha ! Sitare Tere Dastar Khawan K Tokrey Nazer Aye :)

Miqdad, AbuZarr, Qumber aur Ammar bhi jeewan bhar Shaukat /Masroof rahay iss koshish mey, Salman samajh mey ajaye ! :)

Masjid Ki Saffon Say Kabhi Maqtal Ki Taraf Dekh - Tauheed Tujhe Shabbir (a.s) K Sajday Say Milay Gi

Abutalib ka bughz khas nishani ha nasal ki - Pehchan leta hoon kay marvan koan hai !

Kehte Hain Rif’at Kisey Aur Auj-e-Insaani Hai Kya - Fatima Zehra Ke Dar Par Sar Jhukaa Kar Sochna !

Hum Ghulamaan-e-Ali Hain Daulaton Se Be-Niaz - Har Shahenshahi Se Humko Qumbari Achi Lagi !

Such tu ye hai ke dilon ki taharat ke liye - Zikr-e-Shabbir mein ashkon se wuzu hota hai !

Mushkilon ka shukriya, mujh per inaayat hogyi - Ya Ali Mushkil-Kusha (a.s) khene ki A'adat ho gayi.

DAST-E-YAZID-E-ASR MEIN HAI PHIR NIZAAM-E-WAQT / HAR HAR QADAM HAI KARBOBALA, YA ALI MADAD

Zamaane Walon K Agey Woh Jhuk Nahi Sakte - Alam Jo Hazrat-e-Abbas Ka Utha K Chale !

Woh khaak jo Sajjad k ashkon sey hue num - Os khaak sey Mola k Azadar bane hen

Kerte Ho Tum Rasool Ka Kitna Aheteram / Zehra Ki Qabar Dhoop Mey Is Ki Daleel Hai !

Tauheed ki chahat hai tu phr karbobala chal - Warna yeh kalli khul k khilli hai na khiley gi

Dozakh munafiqon ki ibaadat ka hai jeyheyz - Jannat Ali k zikr ki pheli zakat hai!

Mey Saya-e-Tooba Ki Khanuk Rut Sey Hoon Waqif / Mola teri Galiyon Ki Mager Chaoon Ghani Hai !

Baad-e-Naseem Kheti Hai Her Gul Ko Cher Ker / Tum bhi Tu Muskora K Kaho , Ya Ali Madad :)

Log khene lage Shia ko kafir kafir - Apney Ajdad ke kartoot chupane k liye !

Sir hateli pe liye phirte hen hum tu Mohsin -Dosti Aal-e-Muhammed sey nibhane kay liye !

Shaukat jo Mubahiley Mein Muhammed ki gawah thi - Us Sey Bhi Musalman Gawaah Maang Raha Hai ?

Kal ka yazid khush tha na yeh hath kaat kay? Ab Aik khauf Os Kay muqaddar Kay sath hai.

Sajde Mey 7 uzn lagey jab zameen per - 14 ki hogyi na ziyarat namaz Mey ! :)

Is Qoum K Roney Ko Yehi Baat Barri Hai - Zehra Bhare Darbar Ney Haq Maang Rahi Hai!

Ye Sooch Ker Kerte Nahi Dushman Say Marawwat - Jo Sheh Ka Nahi Wo Mera Ho Nahi Sakta !

BeKhauf Ho Rahi Hai Azadari-e-Hussain - Dil ko Sukoon Hai k Alamdar Sath Hai !

Zamin se Aasmaan talak nazar gyi jahan jahan - Dua Dua Asar Asar Hussain hi Hussain hai !

Un Kay Hathon sey Luti Bagh-e-Risalat ki bahaar - Jo Namazon Mein Sada Parhtey Rahey SALLEY ALA !

Pocho na ta'ajub se aqeede ko humare - kitnoo ne to ghabraa k khuda maan liya hai!

Majlis Mey Tu Hen 5 Bhi Saye Mey Isi K - Abbas Ka Parcham bhi Hai Zehra Ki Kissa Sa!

Hai Zikr-e-Panjetan isi panjey ke sayey main - In Paanch unglioun pe bharosa hai paanch ka.

Dekho arooj-e-khak-e-rah-e-Karbala kay aaj - Jannat yeh chahti hai mein hoti zameen per!

Kuch der farz kijiye, ye majlisen na hon - Sara jahan Hussain ka qaatil dikhayi dey!

Khuda ki zaat moimma hai aasmano per - Zameen pey os k bhi haal ko Hussain khete hen !

Tu Qaber K Bahar Jo kerle - Teri Qaber K Ander, Ali Ali

Hotey Hongay Kunj-e-Marqad Mey Farishton K Sawal / Hum Sey Tu Kuch Bhi Nah Pocha Shakl-e-Haider Dekh Ker =)

Naam Donoo Per Likhe Hen Warna Duniya Pouchti - Koan Si Nehaj-ul-Balagha , Koan Sa Quran Hai !!!

kushta shod aaz jaffa - Ya Hussain - Ya Hussain !

Aazan Dengi Tumhari Aankhen, Namaz Misray Adaa Karain Gey / Tum Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main, Hussain Parh kar, Hussain liknna!

Jis Ali ne Ali ko Banaya Ali, Woh Ali Janta Hai muqam-e-Ali / Asr-e-misaaq per Dil ki Jageeer per, Chal raha hai musalsal Nizam-e-Ali

Yeh mehsoos hoga k janat mey ho tum - Zara majlison mey tum aakar tu dekho

Hum Rooh-e-Safar Hen Humey Namo Sey Nah Phechan - Kal or Kisi Doar Mey Ajayen Gey Hum Log! :)

Mashq-e-Sakina

Abbas us jalal ka paikar ka naam hai.
Jo dhup ke badal se bhi saya nikal ley.

Aur ab tak kisi yazeed ki himmat nahi hui.
Parcham se barh ke Mashq-e-Sakina nikal le!

Monday, December 19, 2011

Hajj For Munkir

Wo Ghar Banaya Tha Jisko Ali k Shiyaon Ne
Tujhe Wahan Na Bulaya Toh Mai Khuda He Nahi

Jahan Se Guzri Thi Umull Ali Basad Azmat
Wohi Nishan Na Dikhaya To Mai Khuda he Nahi

Ali k Shiyon Ke Paoon Se Muss Shuda Pani
Na Bar Bar Pilaya To Mai Khuda He Nahi

Inhe Manasik e Hajj Mai Do Namazon Ko
Na Gar Mila K Parhaya To Mai Khuda He Nahi

Ghilaf-e-Kaaba Jo Kala Hai Usko Khud Ja Kar
Na Tu Ne Mou Se Lagaya Toh Mai Khuda He Nahi

Tujhe To Chirr Hai Tabaruk Se? Aab-e-Zam Zam ko
Tabarukan Tu Na Laya Toh Mai Khuda He Nahi

Jahan Ali Ko Utara Tha Us Jagah Mai Ne
Tumhara Sir Na Jhukaya Toh Mai Khuda He Nahi

Aehad Kar k Tumhare Taan Pe Saja K Buss Ek Chadar Ko
Tujhe Malang Na Banaya To Mai Khuda He Nahi

Zuljinah

Ro Ro k har jaloos ma kheta hy Zuljanah
logo kahin pey dekha hai Zehra s.a k ain ko ?

Bichraa hai jab sy dhoond raha hun ma ab tak :(
Matam k har hajoom mey Mola Hussain(a.s) ko :(

Molvi Ki Shalwaar!

Ata Hai Nazer Bhugz Mey Beemaar Buhat Hai
Bhugz-e-Ali Ka Seene Mey Ghubaar Buhat Hai

Zarori Nahi Nam-e-Ali Ley Ker Hi Mey Parkhon
Onchi Teri Takhno Sey Yeh Shalwar Buhat Hai

Friday, December 16, 2011

Band-e-Kafan

Ishq-e-Mola Mey Gohar Toal Diye Jatey Hen
Hum Ko Tohfey Wahan Anmol Diye Jatey Hen

Hath Matam K Liye Qabar Mey Azad Rahen !
Is Liye Band-e-Kafan Khol Diye Jatey Hen

Zameen or Asmaan

Ik din baray ghuroor se kehne lagi zameen
Aaya mere neseeb mein parcham Hussain(as) ka
Mahtaab ne kaha mere seenay ke daagh dekh
Hota hai aasma`n pay bhi matam Hussain(as) ka

Phir aasma`n ne hans ke kaha haysiyat na bhool
Tou auj-e-arsh-o-kursi-o-loho qalam nahi
Jab se jabeen-e-sibt-e-nabi mujh pay kham howi
Ous din se main bhi Arsh-e-Mu`alla se kam nahi

Kehne laga falak ke zara dekh ae zameen
Meri bulandiyon ki tou mohtaaj hogai
Bas aik shab ko aaye thay is simt Mustafa(saww)
Wo shab jahaan mein Shab-e-Mayraaj hogai

Chheda hai tazkira shab-e-mayraaj ka to soun
Mera khayal hai ke tery bhool barh gayee
Nalen-e-Mustafa(saww) ki qasam, munsafi to kar
Tujh se to martabay mein mery dhool barh gayee

Tou jinkay faiz se hai munawwar wo noor-e-zaad
Saaray azal ke din se mery apni had mein hain
Pehle to main khala ka urati rahi mazaq
Shams-o-qamar bhi ab mere bayto`n ki zad mein hain

Bayto`n ki tarbiyat pay buhot naaz bhi na kar
Kuch in mein hain sakhi, kayee kanjoos bhi to hain
Kehne lagi zamee`n ke sitaro`n ko bhi tou dekh
Kuch in mein naik hain, kayee manhoos bhi to hain

Ye sheher-e-kehkashaan ye mah-o-meher ke dayaar
Aa dekh to sahi mere daman mein kya nahi
Kehne lagi zameen sar-e-tasleem-e-kham baja
Sab kuch hai tere paas magar Karbala nahi

Wo din bhi thay ke jab mery wus`at ke aas paas
Rehta tha markab-e-shah-e-konain yaad kar
Itni si baat per tujhe itna ghuroor hai
Kehelay hain mery khak per Hasnain(as) yaad kar

Kar yaad tere paas hai jhoolay ke roop mein
Jibreel(as) lay kar aaye amari Hussain(as) ki
Tou bhi to yaad kar ke zamee`n per baroz-e-eid
Khatm-e-Rusul(saww) banay thay sawari Hussain(as) ki

Soun ae adooway aman-o-sukoo`n dushman-e-bashar
Tou aik bojh ban gayee nabyo`n ki jaan per
Eesa(as) ne aik umr sahay hain tere sitam
Aakhir sukoo`n mila hai ousay aasman per

Ae intezaar gaah Imam-e-Jahan na chhed
Jhooti shikan na daal munawwar jabeen per
Aanay day mere aakhiree waris ko aik baar
Eesa(as) ko phir utarna parega zameen per

Kehne laga falak ke zaba`n ko lagaam day
Pehle bhi tery zid ka sataya howa hoon main
Har soo muheet hain mery sarhad ki wus`atain
Tujh per azal ki subho se chhaya howa hoon main

Gustakhiya`n fuzool hain mere huzoor mein
Ab kiya kahoon ke tou to bara bad mizaj hai
Tou jinki khak tak bhi na ud kar pohonch sakain
Oun sarhado`n pay bhi mere abba ka raaj hai

Aakhir Falak ne jhuk ke Zamee`n ko kiya salam
Allah ray ye shaoor ye soorat jaha`n ki hai
Kis ne sikhai hain tujhe hazir jawabiyan
Kiya shajra-e-nasab hai tera tou kahan ki hai?

Kehne lagi zamee`n ke falak ji khata maaf
Ab theek hogai hai tabiyat janab ki
Kafi hai is qadar he mera shajra-e-nasab
Adna si ik kaneez hoon mein Bu-Turab(as) Ki

Inteha Hi Nahi!

Ali Shaoor Ki Sarhad Mai Aa Saka Bhi Nahii
Or Ye Inteha e Ali Hai K Inteha Bhi Nahi

Ali Khuda o Muhammad K Baad Sab Se Buland
Ye Mere Zehan Ki Had Hai Magar Pata Bhi Nahi

Tamam Mushkilain Haal Ho Gaen Hain Lamhon Mai
Abhi Mai Soch Raha Tha Ali Kaha Bhi Nahi

Ajib Marz Hai Bughz e Ali Jis Mai
Koi Dawa Bhi Nahi Hai Koi Shifa Bhi Nahi

Molvi Baghair Ishq e Ali Tu Ny Is Zamanay Mai
Taweeel Umar Guzari Magar Jiya Bhi Nahi

Jisay Ali Ki Mohabat Pe Mout ai Hai
Maza Ye Hai Wo Mar Bhi Gaya Mara Bhi Nahi

Ali Se Hashar Mai Allah Khud Ye Keh Dy Ga
Koi Tera Bhi Nahi Hai To Phir Mera Bhi Nahi

Tera Libas e Shariyat Willa e Dhagay Se
Agar Seela Bhi Nahi Hai To Phir Sillah Bhi Nahi

Andheray Qabar Mai Ye Sochna K Ajar e Rasool
Wahan Dia Bhi Nahi Hai Yahan Diyya Bhi Nahi

Ali Wali K Adoo Or Kiya Saza Ho Tujhay
Namaz Parh Bhi Raha Hai Or Adda Bhi Nahi

Mola Abbas a.s First Battle Siffeen !

DUKHTAR-E-RANJ-O-MEHAAM BUN KAY TAN
HAR BADAN MAI AJAL KI AGHAN GHOOL DAY

LASHKAROO KA JIGR CHEER MASTI MAI AA
ZALZALOO KI TARHA GHUN GHANAN GHOOL DAY

DUSHMANOO KAY LAHOO KI HAR AIK MOUJ MAI
APNAY MATHAY KI HAR AIK SHIKAN GHOOL DAY

APNAY AADA KAY SIR AASMA PAY URA
AAB-E-DAJLA MAI INKAY KAFAN GHOOL DAY.

SUN KISSI KI NA SUN AIK HI DHUN KO BHUN
AUR CHUN CHUN KAY MAGHROOR SIR KAAT DAY

SANSANATI HOWI SABSARO SAY GUZAR
WAR SEENAY PAY KAR AUR JIGAR KAAT DAY

NOOK SAY ROOKH LEIN WAQT KI GARDISHEIN
DASHT-T-SHAM-E WAJOOD-O-SAHAR KAAT DAY

AJJ JIBRAIL(AS) BHI PER BHEECHAYEIN AGAR
TU RIYAAT NA KAR US KAY PER KAAT DAIN.

DEEKH BAZM-E-SHUJAYAAT KA HAR TAJWAR
TERAY JAZDEEK HAI AUR MERAY PASS HAI

YOUN LARAYEIN DUSHMANO KO GUMA NA HO
YEH ALI(AS) LAR RAHA HAIN KAY ABBAS(AS) HAI.

Imam Hussain a.s & Kerbala

Imam Hussain (A.S) Aur Karbala
HUSSAIN(as)

Tujh per mera Salaam ho aik dasht-e-be gayah
meri muhabbato ki aqeedat wasool kar
aaya hoo riffato ki tamana liay huay
Mera khaloos meri Duaain qabool kar

KARBALA

ay ajnabi thehar mujay itni duaa na day
pehli bhi meri khaak hay nabio say sharmsaar
meri hado say juld guzar ja ba-ahtiyat
Main Karabala hoo meri tabahi say hoshyaar

HUSSAIN(as)
tere ujaar pan ka mere paas hay ilaaj
tujh ko khabarnahi kay main ISSA (as) ka naaz ho
may nay to bachpanay may farishto ko parr diay
apna maraz bata may kaarsaaz hoo

KARBALA
Meri raggo may hanmpti rehti hay shub ko maut
din main meri fiza may barasti hain bijliaa
Shaam-o-Sehar balaoo ka amskan may har taraf
hur soo bikhar rahi hain hawaoo may hichkia

HUSSAIN
ay nainwa uddas naa ho hosla na haar
laya hoo tere waastay pegham-e-zindagi
may khud ujar kay tujh ko basaoo ga iss tarah
teri sehar banay gi meri shaam-e-zindagi

KARBALA
mera ye mashwara hay musafir palat hi jaa
shayad tujay khabar nahi mere junoon ki
garmi say jaa ba lub hain tere kaaflay kay log
laikin meri rago ko zaroorat hay khoon ki

HUSSAIN
dhoonday ga aasman teri zarro may nikhatain
tujh ko ata karoo gaa woh pochak dekhna
mere lahoo say tujh ko mile ga wo martaba
khaak-e-shifa banay gi teri khaak dekhna

KARBALA
Dawa na kar kay mujh ko basana muhaal hay
aisa koi jahaan may paida nahi hua
hur fard ko talash-e-musarrat hay dehar may
koi tabahio ka to sheda nahi hua

HUSSAIN
may woh hoo jis ko sirf tabahi say pyaar hay
mere hi dum say arz-e-tawalla banay gi tu
may iss tarah parhoo gaa yaha akhrii namaz
rutbay may misl-e-arsh-e-muallah banay gi tu

KARBALA
Mumkin nahi kahi pay bhi yeh keemya gari
jo farsh-e-berida ko koi taaj bakhshday
aisa koi bashar nahi dekha jo iss tarah
zaro ko choo kay arsh ki mairaaj bakhsh day

HUSSAIN(AS)
ay khaak-e-besamar mera aijaaz dekhna
ik baar mere saath zara muskura ke dekh
zamin hoo tujh ko khuld say barh kar sajaoo gaa
ay khita-e-udaas mujhay aazma kay dekh

KARBALA
aaye thay log mujh ko basanay kay shouq may
aik pal may sub kay subr kay saagar chalak gaye
tu taaza dum sahi magar itna khayaal kar
meri udaasio say payamber bhi thuk gaye

HUSSAIN (as)
wo log anbiya thay magar may imam hoo
mumkin nahi kay deed kay badlay shaneed loo
tujh ko sanwarnay ki tamanna bhi zid bhi hay
chal tay yeh hochuka haykay tujh ko khareed loo

KARBALA
mujh ko sanwarnay ki tamman hay gar to sun
itna lahoo to ho kay may jis say sanwar sakoo
roz-e-azal say hay meri qismat bujhi hui
kia kuchh hay tere paas may jis say nikhar sakoo

HUSSAIN (as)
laya hoo apnay saath bahatar(72) dilo ka rang
is kay siwa nazar may kaii aur gurr bhi hain
chay (6) may kay sheer khuwar bhi humrah hay mere
behno ki chadrain hain sakeena kay durr bhi hain

Muslim, HAbib, Joan say ashaab hay yaha
jo mar bhi jaye aur tujay aasra bhi dain
laye gain woh bahaar yaha apnay khoon say
dekhay tujay malak to falak say duaa bhi dain

KARBALA
Hur chand la ilaaj hain meri uddasiaa
laikin yeh hosla yeh muhabbat kamal hay
nuskhay sabhi durust sahii khawahishain baja
may kia karoo kay tu koi ZEHRA ka laal hay

Hussain (as)
aahista bol itni daleelay naa day mujay
gustakhia naa kar kay shah-e-mashreqain hoo
lay abb laga raha hoo teri khaak per qayaam
itna bharak rahi hay to sun may HUSSAIN (as) hoo

Tuesday, December 13, 2011

Pathar

Lo Aaj Meri Nazam Ka Unwaan Hai Phatar
Heera Hai, Agar Sahib e Erfaan Hai Phatar
Zillat K Nishan Hai, Kabhi Zeeshan Hai Phatar
Haider Ki Adawat Ho To Insaan Hai Phatar
Phatar K Bhi Seenay Mai Agar Ishq e Ali Hai
Phir Taaj Ki Zeenat Usi Phatar Ki Dalli Hai

Allah Ny Jab Khalq Kiya Arz o Sama Ko
Paani Ko, Zameenon Ko, Paharon Ko, Hawa Ko
Tashkeel Diya Usny Suraiyya Ko Seera Ko
Nazil Kiya Har Cheez Par Haider Ki Willa Ko
Duniya Ny Usi Shay Ko Ali Maan Liya Hai
Jis Ny Mere Haider Ko Walli Maan Liya Hai


Moujood Hai Quraan Mai Phatar Ki Heqayat
Milti Hai Kitab'on Mai Bhi Ab tk Ye Riwayat
Ki Waqt K Allah Ny Jis Waqt Inayat
Phatar K Paharon Pe Utari Ye Willayat
Is Amr Pe Dil Jis Ny Bhi Masroor Banaya
Kush Ho K Khuda Ny Usay Koh e Toor Banaya

Mansoob Jo Phatar Mere Mola Ki Taraf Hai
Phatar Kabhi Yaqoot, Kabhi Durr e Najaf Hai
Phatar Ko Agar Shah Ki Ulfat Ka Sharaf Hai
Allah Ka Ghar Phr Usi Phatar Ka Sadaf Hai
Han Han Wo Hajar e Ashiq e Masoom Raha Hai
Ab Tak Usi Phatar Ko Jahan, Chum Raha Hai

Phatar Ki Bani Markaz e Toheen Shabihain
Sarkar Ki Munkir Hain Wo Be'Deen Shabihain
Phatar Se Hee Mazroob Huin 3 Shabihain
Hajj Pe To Ibadat Ka Hain Aaiyen Shabihain
Hai Mera Sawal Aaj Har Ek Fiqqay Pe
Fatwa Hai To Shabbir K Ghoray Ki Shabih Pe

Phatar Se Ibraheem Ny Taswir Kya Ghar
Aqsa Ki Haweli Se Hee Tabeer Kya Ghar
Allah Ny Yun sahib e Touqeer Kya Ghar
Tanzeel e Ali K Liye Tameer Kya Ghar
Phatar Mai Jo Moujood Willayat Ka Asr Tha
Jab Elm Ka Darr Aaya To Deewar Mai Dar Tha

Jab Arsh Pe Taqreeb Hui Aqad e Ali Ki
Anwar Se Maamur Haweli Thi Jalli Ki
Sarkar K Chahnay Walon Ny Khushi Ki
Chupti Nahi Ye Baat AgarCha Hai Kabhi Ki
Darain Ki Taqdeer K Yawar Huwe Phatar
Sidrah K Khazanay Se Nichawar Huwe Phatar

Jab aalam e Izhaar Se Zahir Huwe Phatar
Phatar Na Huwe Balkay Jawahir Huwe Phatar
Tatheer Ki Tazeem Se Tahir Huwe Phatar
Taqdeer Badalnay Mai Bhi Mahir Huwe Phatar
Kiya Elm Wo Phatar Bhi Jiye Jainge Kab Tak??
Masoom Mazaron Pe Nazar Aatay Hain Ab Tak

Kuch Khass Muqamat Pe Aata Raha Phatar
Quraan K Dushman Ko Mitta'ta Raha Phatar
Kaabay K Udoo Maar Girata Raha Phatar
Har Munkir e Haider Ko Jalata Raha Phatar
Phatar K Rawayye Se Hee Ye Baat Khuli Hai
Quraan Hee Kaaba Hai To Kaaba Hee Ali Hai

Shehra Huwa Elaan e Wilayyat Ka Jo Har Soo
Haris Bin Nouman Ny Paali Kahin Soo Boo
Allah Ki Rehmat Se Ye Kehnay Laga Bad Khoo
Haider Ko Nahi Manta, Wo Kehta Hai Ya Tu
Haris Ny Wilayyat Ka Jo Inkaar Kiya Hai
Fill Al Foor Khuda Ny Usay Sangsaar Kiya Hai

Is Nazam Ki Jilbaab Mai Jo Alfaz Seeye Hain
Quraan Ki Tareekh Se Maqtal Se Liye Hain
Ye Faislay Arbaab e Qalam Ny Bhi Kiye Hain
Phatar Ko Khuda Paak Ny Bhi 2 Roop diye Hain
Momin Hai To Momin Ki Anghoti Mai Jarra Hai
Munkir Hai To Makhlooq K Paon Mai Para Hai

Kuch Sang Dilon Mai Jo Gae Phool Ki Beti
Ek Dasht Mai Phatar Ki Ridah Sar Pe Lapeti
Yun Zainab e Muztar Ny Wo Takleef Sameti
Araam Se Phir Aun Ki Madar Nahi Leti
Us Waqt Se Phatar Huwe Yun Naam e Ghareeban
Phatar Se Ubalta Hai Lahoo Sham e Ghareeban.....

Hasab Nasab

Ye Khun, Badan, Rang, Nasab,Zaat K Rishtay
Be Mayni Hain Agar In Mai Na Rishta Ho Walli Ka
Meesaq Mai Hum Ny To Yehi Ehad Kiya Hai
Us Baap Pe Lanat Hai Jo Dushman Hai Ali Ka...........

~~~~~~~~

Haq Ny Bana Dya Humain Qayam Maqam Ku
Rakha Humaray Hath Mai Saara Nizaam Ku
Gar Tum kaho To In Ko Mai Zubanain Atta Karun
Ye Ya ALi Madad Na Kahain Mai Imam Ku

~~~~~

Mariyam Ka Pisar Wo To Mai Zehra Ka Pisar Hun
Wo Sirf Walli Tha Mai Walli Ibn e Walli Hun
Haan Mujh Mai Or Essa Mai Yehi Faraq Bohat Hai
Wo Naad e Ali Parhta Tha Mai Ap Ali Hun......

~~~~~

Baghair Naam e Ali Jo Bhi Azaan Deta Hai
Ali K Ghar Mai Wo Jhuta Bayan Deta Hai
Ali K Haq Ko Kis Tarah Chupao Gay Logon
Ali K Haq Ki To Gawahi Quraan Deta Hai

Aun o Muhammed a.s

Jab Se Mera Unwaan Banay Aun o Muhammad
Alfaz Ki Ek Shan Banay Aun o Muhammad
Yun Zeenat e Maidan Banay Aun O Muhammad
Ek Jism Mai 2 Jan Banay Aun o Muhammad
Maidan Mai Dono K Utarnay ka Ye Khat Hai
Lagta Hai K Ye Burrsh e Toheed Ka Qat Hai

Shabbir K Paalay Huwe Toheed K Shahkaar
Abbas Ny Hathon Se Banaye Hain Alamdar
Kiya Or Ho Dono Ki Shuja'at Ka Bhi Izhaar
Nanhiyaal Bhi Qaraar Hai, Dadhiyaal Bhi Qaraar
Maa Ko Bhi Ye Mamoo K Hee Akkas Lagay Hain
Hadd Ho Gae Bachpan Mai Hee Abbas Lagay Hain

Larnay Ko Chalay Jab Shah e Saqlain K Sibtain
Har Ang Pe Har Rang Pe Qurbaan Thay Daarain
Maidan Mai Yun Aaye Hain Zainab K Haseen Chain
Jis Tarah Thay Utray Kabhi Safeen Mai Hasnain
Maidan Mai Dono Ki Ajab Shan Bhali Hai
Hai Aun, Muhammad, To Muhammad Hee Ali Hai

Chehron Pe Jali He K Jalalat K Asar Hain
Qadmon Mai Qaza, Hath Mai Jeewan K Hunar Hain
Dil Jin k Haqeeqat Mai Wafaon K Nagar Hain
Raftar Se Lagta Hai Yehi Shams o Qamar Hain
Abbas K Shairon Sa Koi Shair Nahi Hai
Haan Aun o Muhammad Mai Kahin Zair Nahi Hai

Kousar Se Hain Sairaab Kaee Din K Piyasay
Jaffer K Ye PoTay Hain To Haider K Nawasay
Kahay Ko Larain Kis Se Larain Huq K Dilasay
Taqdeer, Qaza, Jang Ye Hain Kam Zara Se
Maa Baap Ki Nisbat Se Bhi Dono Mai Ye Khoo Hai
Haan Doodh Bhi Masoom Hai Or Paak Lahoo Hai

" TA'ARUF "

Dono Ny Kiya Dasht Mai Atay Hee Ye Elaan
Zahir Mai Hum Insaan Hain, Batin Mai Hain Quraan
Such Much Tumhain Hasil Hee Nahi Deen Ka Erfaan
Kafir Hai Jo Shabbir Se Ho Door Musalman
Jab Hum Ny Kiye Baap K Andaz Mai Hamlay
Mumkin Ho to Phr Mout Se Kehna K Wo Dam Ly

Khaliq Ny Ye Duniya Na Banaee Thi K Hum Thay
Bandon Ki Khuda Tak Na Rasaee Thi K Hum Thay
Ejaad Ki Mohtaaj Laraee Thi K Hum Thay'
Talwaar Bhi Ban Hee Na Paee Thi K Hum Thay
Dhokay Mai Na Rehna Humain Kamsin Na Samjhna
Khud Mout Ko Hum Dono Ka Hum Sin Na Samjhna


" JANG "

Ye Kehtay Huwe Dono Ny Talwar Nikali
Phir Ek Nazar Lashkar e Kuffar Pe Dalli
Jis Raah Ko Chalay, Fouj Ny Phr Mout Ki Raah Li
Khud Mout Ny Shabbir K Daman Mai Panah Li
Jibraeel Ny Awaz Di Sidrah Ki Fazza Mai
Khaiber Hee Nazar Anay Laga Karb o Bala Mai

Dar Dar K Ye Kehnay Lagay ishraar, Ye Kia Hai?
Bachpan Mai Hee Yun Bar Sar e Paikaar, Ye Kia Hai?
Har Aan Mai Har Sar Pe Hee Talwaar, Ye Kia Hai?
Ek Waqt Mai 2 Haider e Qaraar, Ye Kia Hai?
Mehsoos To Hota Hai Ye Dono Ki Adda Se
Lagta Hai K Ye Kheltay Rehtay Hain Qaza Se

Shezadon K Qadmon Mai Jabeen Raiz Qaza Thi
Talwaar Ki Tehreek Mai Khaliq Ki Raza Thi
Shabbir K Honton Pe Tabassum Tha, Dua Thi
9 Lakh Zabano Pe Yehi Ek Sada Thi
Qarraar Hain, Jarraar Hain, Jangjoo Hain Walli Hain
Maray Gaye Is Ghar Mai To Saray K Saray Hee Ali Hain.......

Aun Ki Ma

" Aqeela Bani Hashim "
Khuda Ka Deen ! Teri Subh o Sham, Aun Ki Maa
Rukoo, Sajood Mai Tera Qayyam, Aun Ki Maa

Teri Sanaa K Liye Chahiye Jalli Ka Qalam
Meri Bisaat Mai Kab Hai Ye Kaam, Aun Ki Maa

Yazeed Apni Hee Basti Mai Ho Gaya Gumnaam
Ye Teri Jeet Hai Ya Ineqaam, Aun Ki Maa

Dilon K Shehron Pe Jis K Alam Ka Raj Huwa
Suna Hai Wo Bhi Hai Tera Ghulaam, Aun Ki Maa

Batool Jaan K Tujhko, Rasool Khud Ban Kar
Kiya Ali Ny Tera Ahtaraam, Aun Ki Maa !

Hussain Tu Ny Bachaya, Hussain Ny Sab Ko
Teri Waja Se Hain 12 Imam, Aun Ki Maa

Jahan Jahan Bhi Ridah Ka Waqar Qayyam Hai
Pohnch Gaya Wahan Tera Payam,Aun Ki Maa

Imam Sath Tha Or Mir e Karwaan Tu Thi
Samjh Se Baala Hai Tera Muqaam, Aun Ki Maa

Khuda,Rasool,Walli,Ambiyah,Imam,Bashar
Kiya Hai Sab Ny Hee Tujh Par Salam, Aun Ki Maa

Suna Hai Shaam K Darbar Mai Ali Ban K
Yazeediyat Se Hui Hum'Kalam, Aun Ki Maa.......

Bus Ali

Ajj ki is nazam ka unwaan hai tu Bus Ali,
Deen Hai, Islam hai, Imaan hai, tu bus ali

Parh zara Quran mai Nafas-e-Nabi ka tazkira,
Sari Duniya mai Nabi ki jaan hai tu Bus Ali,

Tum jisey hakim banao ya Khalifa manlo,
Ajj bhi Quran mai Sultan hai Tu Bus Ali.

Mustafa ke haat se jis ney paraha kabal a`z Nazul,
Dahar mai wo Qari-e-Quran Hai tu Bus Ali.

Parda-e-Wehdat ke bahar tu ga’ey hain Mustafa,
Pardey ke ander koi mehmaan hai tu Bus Ali.

Murtaza ko khalaq karkey khud kia us ney ghuror,
Kibriya ki Kibriyaai shan hai tu bus Ali.

Ba’ey Bismillah se wannaas se karlo safar,
Khud Khuda bhi jis ka madha khwan hai tu bus Ali,

Aalimana Umer mai jis ki Samaj aai nahi,
Shafaai ki soch ka armaan hai tu Bus Ali…….

Surma Dheron Rahey mere Nabi ke ird Gird,
Mard hai tu bus Ali, Maidan hai tu Bus Ali….

Jesy Momin ka nufka haina Wilaey Murtaza,
Wesy Munkir ke liye nuksaan hai Tu Bus Ali…


Hashar ke din hasher hojaey ga jab amal ka,
Us kayamat ka koi saman hai tu Bus Ali

Tere Ali Ko Salam

" Tere Ali Ko Salam "

Sipah e Deen Ki Toheed Aagahi Ko Salam
Kiya Khuda Ny Bhi Bandon Ki Bandagi Ko Salam

Suno Furaat Ki Lehr'on Se Aarahi Hai Sada
Ali K Ladlay Potay Ki Tishnagi Ko Salam

Yazeediyat Jisay Sadiyon Mai Bhi Na Maar Saki
Hussainiyat ! Tere Asghar Ki Zindagi Ko Salam

Tera Sukon Qazza K Liye, Qazza Tehra
Hansi Ka Waqt Na Tha Par Teri Hansi Ko Salam

Jahan Jahan Se Bhi Jhoola Guzar Gaya Tera
Woh Rasta Hai Mouziz Usi Gali Ko Salam

Na Janay Chotay Ali Ny Ye Kiya Kiya Run Mai
Shabab ! Aaj Bhi Karta Hai Kamsani Ko Salam

Rabab ! Ab Tera Beta Bhi Betay Deta Hai
Khuda Mizhaj, Payamber Sifat Sakhi Ko Salam

Najaf K Shah Ny Karb o Bala K Shah Se Kaha
Hussain ! Mai Bhi Ali Hun, Tere Ali Ko Salam

Zameen Karb o Bala Se Yehi Kaho SHOKAT
K Tere Piyasay Muhammad Ki Be'Kassi Ko Salam.........

Kerbala Ki Surah-e-Kausar

Kehnay Ko Mera Aaj Ka Unwaan Hai Asghar
Lekin Mere Adraak Ki Pehchaan Hai Asghar

Mana K Qalam K Liye Zeeshan Hai Asghar
Kis Tarah Se Likhun Mera Irfaan Hai Asghar

Mujh Pe Mere Malik Ka Ye Ehsaan Bara Hai
Jo Kuch Mere Pass Hai Wo Asghar Ki Atta Hai

Jab Ibn Wali Dasht Mai Aaye Thay Adan Se
Guul Chayn Nay Chuna Tha isay Masoom Chaman Se

Kuch Din Ka Hee Lay Aaye Thay Shabbir Watan Se
Samjho Kabhi Masoom K Masoom Chalan Se

Asghar K Bina Shah Ka Chara Bhi Nahi Tha
Khaliq Ki Zarurat Ka Guzara Bhi Nahi Tha

Shah'on Ka Shehnshah Tha Mere Shah Ka Bacha
Jis Raah Pe Ahmed Thay Us Hee Raah Ka Bacha

Har Haal Mai Toheed Se Aagah Ka Bacha
Lo Aagaya Maidaan Mai "6"Maah Ka Bacha

Besheer K Betaab Rawaye Se Ye Tay Hai
Is Umar Ka Kiya, Umar To Bekar Ki Shay Hai

Jis Nay Bhi Musibat Mai Ye Naam Alapa
Choton Ko Diya Hai Is Hee Chotay Nay Baraapa

Sheeshmahay Badan Mai Kaee Sadiyon Ka Saraapa
Aanay Na Diya Lafz e Ali Pe Bhi Bhuraapa

Maidaan e Shahadat Mai Ye Jurrat Ka Walli Hai
Hadd Ho Gae Asghar Se Hee Pehlay Ye Ali Hai

" HAZRAT ALI ASGHAR a.s KA KHITAAB "

Karna Na Gunahon Ki Koi Chaap Faramoush
Ho Payega Tum Se Na Kabhi Paap Faramoush

Tareekh Se Ho Jao Ge Tum Ap Faramoush
Shabbir Ka Dushman Hai Faqat Baap Faramoush

Al ilm Se Takra K Jahalat Mai Na Parna
Mumkin Hee Nahi Bandon Ka Allah Se Larna

Kis Shaan Se Hum Aalm e Emkaan Mai Aaye
Ehsaan Kiya, Surat e Insaan Mai Aaye

Ayat Ki Surat Mai Kabhi Quraan Mai Aaye
islam Seekhanay Kabhi Maidan Mai Aaye

Such Ye Hai K Ye Such Tumhain Bhulay Ki Tarah Hai
Maidaan Humaray Liye Jhulay Ki Tarah Hai

Baba Mujhe Le Aay Hain Zeeshan Samjh Kar
Ummat K Liye Khuld Ka Saman Samjh Kar

Mat Reham Karo Tum Mujhe Quraan Samjh Kar
Naadaan Na Ban na Kahin Naadan Samjh Kar

Akhir Mai Jo Aaya Hun, Samjhtay Ho Mai Kiya Hun???
Asghar Hun Magar Jang Mai Akbar Se Bara Hun

Ye Dasht Ye Paani, Ye Zameenen Ye Ghizaaen
Saanson Ka Haseen Rizq, Ye Mehmeez Hawaaen

Suraj Ki Tapish, Chand Ki Pur Kaif Addaaen
Mehroom Raho, Hum Se Agar ezn Na Paayen

Maalum Hai Sab Kuch Tumhain Ku Daal Rahay Hain
Har Qoum Ko Ek "Hurr" K Liye Paal Rahay Hain

Tum Kartay Ho Masmoom Hawaon Ko Mehmeez
Hum Log Bhi Kar Detay Hain Rehwaar Karam Taiz

Socho Kabhi Larr Saktay Hain Kiya Banjar o Zar'Khaiz?
Labraiz Piyasay Ho, To Hum Piyaas Se Labraiz

Dhundain Hain Tumharay Liye Bakhshish K Sabab Kiya
Hum Paani Se Pehlay, Humain Paani Ki Talab Kiya

Shehzada e Ali Asghar a.s

Haan Lashkar e Yazeed K Bhurron K Doston
Maazi Ki Ek Shakal Dikhaee Hussain Nay
Kar k Buland Hath Pe Is Dour Ka Ali a.s
Sub Ko Ghadeer Yaad Karaee Hussain Nay
~~~~~~~~~~
Noor, Masoom, Sharaf, Hussn, Walli Likhtay Hain
Phool Jatay Hain Jab Ismat Ki Kalli Likhtay Hain
Hum Ny Is Ghar Mai Na Pasti Ka Tasawar Dekha
Hum To Asghar Ko Bhi Likhain To Ali Likhtay Hain

Baqi Hai!

Piyas Ki Himat Toot Gae Hai Or Piyasa Baqi Hai
Ab Bhi Har Ek Aankh Mai Us K Naam Ka Dariya Baqi Hai

14 Sadiyan Beet Gaen Ek Dasht Mai Uska Khun Gira
Kitnay Shehar Ujaar Huwe Hain Or Wo Sehra Baqi Hai

Ek Ki Khatir Ek Ny Aesa Ek Kiya Hai Duniya Ko
Lakhon Lashkar Khak Huwe Hain Or Wo Tanha Baqi Hai

Khanjar,Teer,Kamanain,Bhalay,Talwarain Sab Toot Gaen
Aslehy Walay Faan Huwe Or Ek Nihatta Baqi Hai

Mehshar Mai Shabbir Jo Aaye, Be Awaz Pukaray Ga
Dekho Har Ek Cheez Faani Hai Or Wajah Allah Baqi Hai

Jiski Nasal Kooshi Ki Khatir Tum Ny Kitni Jangain Ki
Aaj Bhi Ghaibat K Parday Mai Uska Beta Baqi Hai

Makah,Koofa,Sham Madina, Ghumo Dekho, Phr Samjho
Arbon Arab Paray Hain Lekin Kis Ka Shajra Baqi Hai??

1400 Barason Mai Kitnay Haris Bin Nouman Jalay
Sab Pakiza Saanson Mai "Man Kunto Mola" Baqi Hai

Kitnay Mohsin, Kitnay Nusrat, Tum Ny Roz Shaheed Kiye
Kon Ruka Hai Kon Darra Hai Sabka Jazba Baqi Hai

Shia Ki Tareekh Mittana Tab Tak To Namumkin Hai
Jab Tak Is Quraan K Ander Lafz e Shia Baqi Hai

Kiya Fouladi Jism Hai Uska Kiya Mazboot Eradah
Sar tapa Hai Para Para Or Saraapa Baqi Hai

Mere Shah Ny Deen Ki Khatir Jo Rasta Tameer Kiya
Roz Hazaron Aandhiyan Aain Or Wo Rasta Baqi Hai

Saaray Matami Bakhsh K Khaliq Ye Shabbir Se Keh Dy Ga
Tu Ny Jo Ehsaan Kiya Tha Uska Qarza Baqi Hai

Shimar Se Har Shaami Ny Pucha Tum Kehtay Thay QATAL Huwa
Chehra, Jalwa, Lehja Balkay Ye To Saara Baqi Hai

Naaz Bharay Andaz Mai Ye Shabbir, Yazeed Se Kehta Hai
Ab Kiya Mere Pass Nahi Hai Or Tera Kiya Baqi Hai

Duniya Walon agar Samjho To Jeet is hi Ko Kehtay Hain
Saara Kunba Qatal Huwa Or Saara Kunba Baqi Hai

Mere Haan Jo Lafz Thay Maine Kaghaz Par Undail Diye
SHOKAT Is Anwaan Pe Ab Bhi Sab Kuch Kehna Baqi Hai ........

Hussain Ki Ma

Hareem e Qalb o Nazar Ki Azan, Hussain Ki Maa
Jahan Jahan Bhi Risalat, Wahan, Hussain Ki Maa

Kalam e Haq Mai Kahin Par Bhi Tera Naam Nahi
Ye Tere Parday Ka Hai Ek Dheeyan, Hussain Ki Maa

Ali K Laal ! Tere Zikar Ka Karam Warna
Ghareeb Khana Kahan, Or Kahan Hussain Ki Maa

Suna Hai Hashar Ki Garmi Mai Ambiya Ko Bhi
Teri Ridah K Talay Hai Amma, Hussain Ki Maa

Ali K Jouf Mai, Kaaba Ki Chat Pe Hai Mehdi a.s
Khuda Ka Ghar Bhi Hai Tera Makan, Hussain Ki Maa

Hussain o Mini Kaha Is Liye Muhammad(saww) Ny
Tu Mustafa K Liye Bhi Hai Maa, Hussain Ki Maa

Mere Yaqeen Ka Saara Hunar Bhi Sarf Huwa
Mai Pa Na Saka Tumhara Gumaan, Hussain Ki Maa

Tera Hee Zikar Shafa'at Hai Aasiyon K Liye
Meri Nijaat, Teri Dastaan, Hussain Ki Maa

Padar Rasool, Walli Zojah Or Pisar Masoom
Tamam Rishton Ki Rooh Rawan, Hussain Ki Maa

Teri Hee Goud Se Mehshar Talak Hai Nasal e Muhammad
Tu Ek Ho K Bhi Hai Karwaan, Hussain Ki Maa

Zameen, Aab, Namak Hai, Sadaq Bint e Nabi
Jahan Walon Ka Saara Jahan, Hussain Ki Maa

Khuda Ki Khalq Mai Kiya Shareek Hai Koi ??
Jawab Iska Ye Hoga Haan,Hussain Ki Maa

Hijab e Ghaib Mai Sadiyan Guzar Gaen Ab Tak
Imam a.s, Tujh Pe Hai Girya Kunaa, Hussain Ki Maa

Maashray Ki Tapish Haar Bhi Gae SHOKAT
Mere Qalam K Liye Sayebaan, Hussain Ki Maa

Hazrat Abutalib a.s

Mein Hon ABU TALIB meri pehchan yehi hai,
kehtey ho Nabovat jisse godi mei palli hai,

Paida hua Ghar mein mere payambar-e-Akher,
Betey ki Wiladat mere Kaabey mein hui hai,

ghar mei hai nabovat mere ghar mein hai imamat
jo MAALIKA-E-JANNAT hai BAHO mujhko milli hai

Kia hai mera EMAAN ab pocho KHUDA SEY,
Bachpan mein Nabovat mere Seeney par rahi hai,

Jo hum b na hotay to yeh KAABA bhi na hota,
KAABEY Ki yeh bunyad merey jad ne rakhi hai,

Talwar key saey mein sulaya hai ALI KO
tab Jake MUHAMMAD ki kahin jan bachi hai,

FATWA to lagatey ho magar YAD ye rakhna,
PARDEY SEY AIK AOLAD MERI DEKH RAHI HAI

Saaqi-e-Kausar ki Bahu

Pyaas ki shiddat se Ali Akbar ne palatt kar dekha..
Maa ne khaime ke elaabo se lipatt kar dekha...
Itni majboor hui Saaqi-e-Kausar ki Bahu...
khushk Mashkeeze ko...kayi baar ulatt kar dekha :(

Ghairat Ka Khuda

Yarab ! Koi Mil Jaye Na Pehchanay Wala
Bazar Mai SAJJAD "a.s" Dua Maang Raha Hai

Tareekh Nay Ghairat Ka Khuda Likha Hai Jissy
Her Mor Pai ZAINAB "s.a" Ki Rida Maang Raha Hai .