Tuesday, December 4, 2012

Bara-e-Matam

Qasam khuda ki har ek bashar ko banaya rab ne bara-e-matam
Jo apnay seenay pe hath rakh tu sunayi dey gi sada-e-matam,

Namaz teri qaza hui to jahan mai iski ada hai mumkin,
Kabhi bhi isko qaza na karna ada na hogi Qaza-e-matam

Fariste mujh sey ager kahen gey batao dunia mey kia kiya hai ?
Tu mey kahon ga nahi kia kuch jahan mey kuch bhi siwa-e-matam

Tauziye-e-Masaail

Tauziy-e-Masaail mey giraa dhoondh raha hai
or fatwon mey tu khaliq ka pata dhoodh raha hai

Aye mufte deen sajda-e-shabbir bhula ker
Batla tu zara sajde mey kia dhooodh raha hai?

Thursday, September 13, 2012

Ali a.s Ki Ongliyaan

Ali K Dushmano Per Yeh Ilahi Qeher Hai Shaukat
Ali K Dar ko Chora Hai tu Ley Ab Dar Badar Hojaa

Ali Ki Ongliyon Ki Mojzey Samjhe Nahi Jatey
Kabhi Roti Na Toote Hai Kabhi Khaibar Ka Dar Woh Ja !

Tuesday, September 11, 2012

Kamaal


Toheed se HUSSAIN ki hai agahi kamaal.
Ab tak HUSSAIN baant raha hai wohi kamaal.

Khoon e HUSSAIN khaak mein phir khaak me shifa.
Zulmat ravi kamal hai chaara gari Kamaal.

Sajdey mein sar jhuka hua naizey pe sar buland.
Iqraar b kamaal hai inkaar b kamaal.

Moqa miley kabhi to zara HUR se puchna.
woh sarwari kamaal k ye nokri kamaal?.

ASGHAR hansa to RAB ne kaha yeh HUSSAIN se.
Mera ALI kamaal k tera ALI kamaal.

Thursday, July 5, 2012

Sooch raha hoon by Rehan Azmi

Is Wqt Mey Kia Maango Dua Soch Raha Hoon
Maango Tere parcham ki hawa Soch Raha Hoon

Jo Daar pey mesum ki zabaan loot chuki hai
Is ziker ka kesa tha maza soch raha hoon

Bethon zara dyer ko saaye mey alam K
beemaar hon khud apni dawa Soch Raha Hoon

Abbas ko Abbas banaya yeh kisne
woh mashk-o-alam they k Rida Soch Raha Hoon

Khushbo se qabar hogyi rehan moatar
marqad mey qadam kisne rakha sooch raha hoon

Monday, June 25, 2012

Hur Ka Matlub

Bolwaakey Apne Chahne Walon Ko Kerbala
Rab Se Barahey Rast Milaya Hussain Ney

Zanjeer-e-sharm tor k woh azaad hogya
Maqsad jo Hur Ko Hur ka Bataya Hussain Ney !

Wednesday, June 20, 2012

Zehra K Hath Mey

ALLAH ne manga li sar e arsh rotiyan,
koi toh aisi baat hai ZAHRA S.A k hath main,

jis drrr se chl raha zamanay ka hr nizam,
us ki mashiyat hai ZAHRA S.A k hath main,

beti ko sath laye hain is wastay RASOOL (SAWW),
NAJRANIYON ki maat hai ZAHRA S.A K HATH MAIN,

Malik hai jaisay chahy yeh tabdeeliyan karay ,
LOH o QALAM Dawat hai ZAHRA S.A K hath main,

kehne lage HUSSAIN A.S yeh roomaal bandh kr ,
Ja HUR teri nijaat hai ZAHRA S.A k hath main,

haton main hath SHABBAR O SHABBIR K nahi,
islam ki hayat hai ZAHRA S.A k hath main,

kaisay mitaye koi AZA ki nishaniyan,
Hifz e tabbarukat hai ZAHRA S.A k hath main,

tasbeeh e FATIMA S.A NE TAKKALUM bta diya ,
hr Radd e mushkillat hai ZAHRA S.A K hath main......

Tuesday, May 29, 2012

Salam K Qabil

Hukum-e-quran-e-paak ka hamil hai ya nahi
Ayat-e-kirdigaar ka hamil hai ya nahi
Khe ker mey ya ali madad kerta hon yeh pata
Kia tu mère salam k qabil hai ya nahi ?

Monday, May 28, 2012

Meri Ma KI Dua

Sard raaton mey bhi asaan safar lagta hai
yeh meri maa ki dua'on ka asar lagta hai

Aur sekhdiya hai mujeh Ya Ali Madad khena
Ab her mushkil mey yeh asaan hunar lagta hai

Bithaya Hai majlison mey yun K, dil mera
Kahin Lagey Na Lagey, wahan Magar Lagta Hai

Adat daali sabeelon ki k ab jab bhi peeta hun
Pani hota hai wohi per taskeen-e-jiger lagta hai

Phir Abis ki Shayiri Phari tu woh yakjaa'n Boley
Jis ka yeh phal hai koi paak shajar lagta hai

Meri Maa Ki Duaon Ka Asar Lagta Hai :)

Wednesday, May 16, 2012

Midhat k Safeeney

Sarwar Ney kaha Zikr-e-Ali bhi ibaadat
Midhat k Safeeney bhi Wali hi k Liye Hen

Aye jo Ali Jhuk Gyien Kaaba ko Jabeeney
Samjho tu yeh Sajde Bhi Ali Hi k Liye Hen

Saturday, May 12, 2012

Imam-e-Mazloom a.s ka Khitaab ibn-e-saad sey

mere nasab sey bhi ashina ho mager sada ajnabi rahe ho
meri hi khatir bana hai paani mera karam hai k pii rahe ho
tum ajj badr-o-ahud sey khaiber talak sab hi zakhm see rahe ho
mey ajj bhi tum pey rehem dil hon daleel yeh hai k jee rahe ho
karam ka aesa chaman ho jis mey adu ki taqdeer khil rahi hai
meri wajha sey hi mere qatil ko rey ki jageer mil rahi hai

yeh bandish-e-rizq-o-aab kia hai yeh sab tu zeyre falak raha hai
meri hukumat ka daira tu sareeray wahdat talaq raha hai
mujeh darane laga hai tu bhi tera muqadar bhatak raha hai
mey woh pyasa hon jis ki sanson mey aab-e-kausar chalak raha hai
mujeh akela samjhne walo sabhi zamaano k sath mey hon
jo rizq taqseem ker raha hai khuda sey pocho woh hath mey hoon

zara sey lashkar pey naaz maat ker k mey hoon arzo sama ka waali
yeh teer-o-talwaar mere nokar zameen baandhi fiza mawali
tujhe dekhaon mey apna lashkar? meri sipha hai buhat nirali
rasool fauji, nabi sipahi, imam yawar, malak sawali
tumhare sir ki bisaat kia hai mey arsh-e-aazam ka sir jhukalon !
haqeer bando ka tazkira kia khuda ko chahon yahan bolalon?

Thursday, May 10, 2012

Aur

Shabnum mai nahayegi abhi bade saba aur,
Ubhrenge gulabon pa nishanate azaa aur.

Ashkon ke diye hain ye bujhaye na bujhenge,
Tufaano se kah do ke utha laayen hawa aur.

Milti hai mohabbat se ibaadat ko bulandi,
In ashkon se badh jata hai sajdon ka sila aur.

Allah ki wahdat kahin dhoonde nahin milti,
Shabbeer na hote to nazar aate Khuda aur.

Jannat ki ghizaein to bahot khoob hain lekin,
Hai majlise Sarwar ke tabarruk ka maza aur.

Ye deene Nabi baghe Husain Ibne Ali hai,
Milti hai ise dhoop to hota hai hara aur.

Har teer pa aa jata hai honton pa tabassum,
Kiya iss se siwa hogi mujahid kee ada aur.

Shabbir ke dushman ka muqaddar tha jhulasna,
Dekha jo hame aag pa chalte to jala aur.

Taron ki chamak aur hai ashkon ki ziya aur,
Wo arshe barin aur hai ye farshe aza aur.

Sab sher barabar ke nahin hote hain Kazim,
Takhleeqe sukhan aur hai Maula ki ata aur.

Aal-e-Mohammed K Khiloney

Khuda se guftugu, Fitrat pe qabza, mout pe qudrat.
Yeh sab kuch insaan ke zehen ki rasai se mubrr'aa hai.

Yeh mushkil marhaley Aal-e-Muhammed ke khiloney hain.
Jisey hum mojaza kehtey hain in ka roz mar'javascript:void(0)ra hai.

Saturday, April 21, 2012

Mauj-e-Toofan

Hoon Mureed-e-Khandan-e-Khufta-e-Khak-e-Najaf
Mauj-e-Toofan aap liye jaye gi sahil per mujhe

Hai mere dil main firozaan dagh-e-ishq-e-Ahl-Bayt
Dhoondta phirta hey Zil-e-Daman-e-Haider mujhe

Ronay wala hoon Shaheed-e-Kerbala ke gham men
Kiya durey maqsad na dengey Saqi-e Kausar mujhe

Friday, April 20, 2012

All Time Favorite

hum mawali dushmano sey roz-o-shab larte rahey
yeh mulla haq mey batil k sada likhta raha

qasre-shahi k kinare pey hai fatwe ki dukan
molvi her doar mey bakta raha bikta raha..

..



bin lari jung k bhagte fojiyon larkharate hue yeh qadam rok do
antari khaibery dab dabo sey dari gardano k sharam nak qham rok do
saf kerlo jabeeno sey arq-e-qaza apni ankho mey moujod nam rokdo
kufr ki bargah mey jokhao na sir, sir nago honey waley alam rokdo


mat daro mat jukho suk k ab sanslo mustafa ka muhafiz wali agaya
mout ko jis k saye sey lagta hai dar buzdilon woh bahadur ALI AGAYA:D

.......

wo teer-o-tabar k her aik ghumsan mey hasta hai
jab mout sey larta hai her aan mey hasta hai

ya rab tere haider k andaaz nirale hein
mherab mey rota hai , maidan mey hasta hai..


............

mere karar ka sona her aik soney sey mhenga hai
ali ko raat bhar tuheed ki ulfat jagati hai

adu bister nabi ka mout ka dar khuaf ka phera
ager mahul yeh hotu Ali ko neend ati hai :)


...............

qalam jab ilm-o-hikmat ki sahi tadad likhta hai
hussain ibn-e-Ali k is Ali ki yaad likhta hai

zara tum os k sajdon ki qaboliyat ka qad dekho
ossey dushman bhi likhe tu faqat sajjad likhta hai
..........


kuch log samjhte hein sitam ker k jiyen gyen
kuch soch rahey hein k yeh ab dar k jiyen gyen

hum akbar-o-abbas k hubdaar hen shokat
apna yeh aqeeda hai k hum mar k jiyen gyen

.........

kisi sorat yazidiyat sey na darna shahadat hai
hussain ibn-e-ali ka tazkira kerna shahadat hai

saa'dat hai Ali sey agahi per mout pa lenA
Azadaro ka ghar pey beth k marna shahadat hai..

.....



....


osne jo banaya tha hawaon pey madina
kerta tha hawaon mey safar os ka safina
angusht-e-suleman mey tha aik nagina
tha os k karamat ka woh qaas qareena

malom hai kiunos pey yeh khaliq ka karam tha?
os paak naginey pey mera naam rakham tha:)


.............

jahan pey zikre-e-ali ki saza bhi goli ho
ali ka zikr wahin per kero tu baaat baney
o qaza tu wese bhi ani hai mar tu jana hai
kis k nam jo lag ker maro tu baat baney :)

.............


fatima ki goud ka ab tak salam hai
jo is mey pal gaya woh nabi yeh imam hai !

.....


baham bata rahey hein alam or zuljanah

Abbas or Hussain ka sadiyon ka sath hai

or ja ja lagey hue hein yeh panjey isi liyeee

Ghazi ka her yazid ki gardan per hath hai

Hussain by Mohsin Naqvi Shaheed

Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar
Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna

Huroof Khushboo ke Phool Ban kar
Tumharay Seenay Main Khil Uthain ge
Tum aisa Karna Ke Apni Ankhown
Aur Apnay Lab Par Hussain liknna

Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinday
Adab Se Sajda Karain Ge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawaown
Ki Jhaalarown Par Hussain liknna

Tumharay Taareek Manzarown Main
Ujaalay Phootain Ge Noor Ban Kar
Tum Aisa Karna Ke Apnay Ghar Main
Darood Parh Kar Hussain liknna

Kasheed Kar Ke Gullab Ka Araq
Fizaa Main PaiHam Chhirhakna Uss Ko
Phir Unn Sunehri Fizzaoun Par Tum
Raushni Ka Paikar Hussain liknna

Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna
Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aj Tak Tum Ne Jo Be Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna

Aazan DainGi Tumhari Aankhain
Namaz Misray Adaa Karain Gi
TUm Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchhiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedown Ka Naam Likhna
to Sab se OOpar Hussain liknna

Ali Ali by Mohsin Naqvi Shaheed

Abad Dama Dum Aadam ki Sheh Rug Mein Ali..Tan Tan mein Ali
Lafzon mein Ali Nabzon mein Ali Saanson mein Ali Dhrkan mein Ali

Ashkon mein Ali Aahon mein Ali Palkon mein Ali Aankhon mein Ali
Darya mein Ali Mojon mein Ali Badal mein Ali Sawan mein Ali

Sar mast pawan Rim jhim mein Ali, Bijli mein Ali, Khurman mein Ali
Jharno ki jhapkti Aankhon mein, Taaron se bharey Aangn mein Ali

Kosar ke Husn ka sar chashma, Tooba ke Jal Jobhan mein Ali
Qirtas-0-Qalam ka Rakh wala, Taqdir k har Bandhan mein Ali

Aflaak talak Masnad Aara, Be-Maskan ke Maskan mein Ali
Kaabey mein Ali Qibley mein Ali… Moolid mein Ali, Madfan mein Ali

Isrrar-E-Shab-e-Isra ki Qasam, Aayat ke Ujley-Pan mein Ali
Noroz ki Zoo mein Jalwa Numa Aur 14ween raat key Chann mein Ali

Khaiber mein Ali, Khandak mein Ali aur Badr-o-Uhad ke Run mein Ali
Mairaaj ki raat ki baat karo,, Islam ki har Uljhan mein Ali

Har Molaai ka Un-Data, Har khaak nasheen ke Mann mein Ali
Poorab mein Ali Puchhm mein Ali, Uttar mein Ali Dakhhin mein Ali
Quraan utha kar Kehta hoon Bismillaah ke Daaman mein Ali

Haidar se Adawat mat rkhna Har Gaam pe Thokar khaogy
Pachhtaao gy Ghabraao gy, Bar Dosh-e-Hawa Jal jaaogy

Khutbon k Waar

kerbobala sey Sani-e-zehra ko sham tak
aesi sipah aesa risala nahi milla

nyezon k waar rokne waley buhat miley
khutbon ka waar rokne wala nahi mila:)

Manzil-e-Mairaj

lheje ki bulandi ney yeh zainab ko sada di
zalim tere hotey hue kia bol raha hai

takreer ko os manzil-e-mairaj pey lega
jibreal bhi khede ki khuda bol raha hai

Sunday, April 1, 2012

Naap Tol

Daman Yun bhar raha Hun Dua-e-Batool se
Mehshar mein bhi Milega Sila Naap Tol kar

Mushkil ka Khauf Mujhko kabhi bhi nahin Raha,
Naad-e-Ali Pilayi hai Madar ne Ghol kar

Ali Wali Khena

Duhahi Dey Ga Koi Chekh Chekh Ker Aik Din
Khilaf-e-Deen Nahi Hai Ali Wali Khena

Woh Apni Maa Ki Shikayat Karey Ga Mheshar Mey
K Osney Kiun Na Sekhaya Ali Wali Khena

Khat Likha Jaye

Haq Ki Bato'n K Parastaar Ko Khat Likkha Jaye
Nukhtaye Ba K Tarafdaar Ko Khat Likkha Jaye

Ho Gayi Dushman-E-Shabbir (a.s) Ki Taadad Bahot
Ab Zaroorat Hai K "Mukhtar" Ko Khat Likkha Jaye

Bolne Wala Bata Matam-E-Sarwar (a.s) K Khilaaf
Kya Sakina (s.a) K "Alamdaar" Ko Khat Likkha Jaye

Yazidi Dulhan

Kal Shab Ko KhuwaB Mai Aaye Mere Dor e Pur FataN
Dekhi YazeediyaT k QabilaY Ki Ek DulhaN

AankhoN Mai Zulm O Jor k Kajal Ki DoriyaaN
Matha MunafiQat Ki Tapish Se Shikan ShikaN

GardaN MAi ToQ e LanaT e ParwardigaaR Tha
Tan Par Jahan BhaR Ki HakaraT Ka PerahaN

Chashma JabeeN Py Aal e MuhammaD Ki Dushmani
ChehraY k Khad o Khaal Py FirooN Ki PhawaN

Nas Nas Mai DeeN e HaQ Se BaghawaT Bhari Hui
SansOn Mai Gard e Raah e SaQifa Se Thi GhutaN

Lagti Thi DooR Se Abu SufiyaaN Ki KaneeZ
Saancha Gaya Tha Shola e NamrooD Se BadaN

TohmaT Nabi K DeeN Py Lagana Tha Mashghala
IslaM KA MAzaQ Urata Howa SukhaN

Guzri Jo Paas Se Wo Abu JehaL Ki BahoO
Mainy Kaha Ye KoN Hai Bad;Kar o Bad'ChalaN

Ai Sada k Is k MuQabiL KAro JahaD
DekhO Ye Hai Sipah e Sahaba Ki AnjumaN

Go KhuwaaB Tha Magar Wo Fiza Or Dhul Gaye
Socha k Us Se Baat KaruN MAgaR Aankh Khul Gaye

Sunday, March 25, 2012

Apna Kafan

Sir qalam Hota Hai Or Hath Bhi Katwatay Hen
Janay Walay Tere Rozay Pey Magar Jatay Hen
Mout Ka Khouf Nikal Jata Hai Aesa Dil Se
Jab Palat'taY Hain Tu Khud Apna KafaN Laatay Hen

Oncha Sunna

Likha hua hai jo Had-e-Nigaah se aage.
Mujhe wo dida-e-dil se dikhayi deta hai.
Siwaaye Naam-e-Ali, koi naam yaad nahi.
Main kya karu ! Mujhe oo'nchaa sunayi deta hai :)

Doar-e-Sitam

Seylaab Araha Hai Gunahon K Shehar Mey
Aye Doston Hussain Ka Daman Na Chorna !
Doar-e-Sitam Hai Kese Bhi Guzrey Guzarlo
Leykin Kisi yazid Sey Rishta Na Jorna

Thursday, March 1, 2012

Phr Aik Hussain

Bhatak na jaye Andhero'n mein Karwan-e-Hayat
Amal ki Sham'a jalana Bohot Zaruri hai ,

Yazeediyat ki Ghata chha gai hai Dunia Par
Phir Ek HUSAIN (a.s) ka Aana Bohot Zaruri Hai

Saturday, February 18, 2012

GREAT ASHAAR BY ALLAMA IRFAN HAIDER ABIDI SHAHEED

YAHI TO HUSNE-HAQEEQAT HAI BANDAGI KELIYE
JIYO NABI[SWW] KELIYE JAAN DO ALI[AS] KELIYE

KHALEEL-E-HAQ NE BANAYA THA JO KHUDA KELIYE
KHUDA NE KARDIA MAQSOOS WOH ALI[AS] KELIYE

NUSEHRIYON KE KHUDA KA BANA JAHAN ZACHAKHANA
WAHAN PE JAATE HAIN SAB LOG BANDAGI KELIYE

NABI NABI[SWW] KI SADAYEN ALI ALI[AS] KI PUKAR
BAHOT HASEEN WAZEEFA HAI ZINDAGI KELIYE

ZAMANA MUJHKO KAHE ZAKIRE-ABUTALIB
BADA SHARAF HAI YE IRFAN ABIDI KELIYE

Tuesday, February 14, 2012

Meri Izzat

Guzar Rahi hai tabarruk pe zindagi apni -
Gham-e-Hussain(a.s) Hai izzat meri bachaye Hue ! :)

Parri Phohaar tu Maloom Howa Raaz-e-Nihaan
Falak Bhi Roota hai Farsh-e-Aza Bichaye Hue

Aur Wafadar sey Wafa ajab nibhahi Hai
Her Alamdar Ney Os ka Alam Uthaye Hue

Sawaar Sey Yeh Mawaddat ki Kesi Manzil Hai ?
Zuljinah Ajj Bhi Chalta hai Sir Jhukaye Hue !

Poori Hoti Hen Malango Ki Dua'en Jis per
Humne Bhi Rakha Hai Woh Jhola Yunhi Sajjaye Hue

Ali K Laal Ka Sadqa Yeh Taqatyen Abis
yazid-e-wqt ko rakhta hon Mey Sataye hue

Saturday, February 11, 2012

Namaz

HAI HUKM.E.KIBRIYA KI ATTA'D HAI NAMAZ MEIN

WAJIB HAI BANDAGI KI RIWAYAT NAMAZ MEIN,



SAJDE MEIN HAI RASOOL TO HAI PUSHT PER HUSSAIN(A.S)

DONO KI HO RAHI HAI EBADAT NAMAZ MEIN,



SHABBIR KI NAMAZ QAZA HAI, NAHE NAHE

PUSHT.E.RASOOL PER HAI IMAMAT NAMAZ MEIN,



PAKEEZGI.E.ROOH O BADAN HAI ALI KA PYAAR

HAI IS LYE TO SHART TAHARAT NAMAZ MEIN,



KHAIR.UL.AMAL KO CHOR KR PARHTE HAI JO NAMAZ

KRTE HAI KHUDA SE SHARARAT NAMAZ MEIN,



JAI.E.NAMAZ PER HAI ALI TO YE JANIYE

QURAN KR RAHA TILAWAT NAMAZ MEIN


14 K AASRAY PE GUNAGHAAR MAT HONA

BILKUL NAE HAI KOE RIYAYAT NAMAZ MEIN,

APNA RAFAYADAIN TABBARE KI MISL HAI
AADAT BANI HUWI HAI IBADAT NAMAZ MEIN,

SAJDE MEIN 7 AOJAB LAGAY JB ZAMEEN PER
14 KI HO GAI NA ZIARAT NAMAZ MEIN,

KESE HO UN GHARON KI TAHARAT KA FAISLA
HOTI HAI JIN GHARO MEIN WILADAT NAMAZ MEIN,

MAIRAAJ K SAFR MEIN NA DHEKA IDHR UDHR
MASROOF HO CHUKI THI RISALAT NAMAZ MEIN,

JO BHE NAMAZ PARHTA HAI ISHQ.E.ALI BIGHAIR
WO KR RAHA HAI MAA KI SHIKAYAT NAMAZ MEIN,

AUR SHUKAT QABOOLIAT KI SANNAT HAI YE MERE PASS
PARHTA HUN MEIN ALI KI WILAYAT NAMAZ MEIN,

AUR WO KITNAY BADNASEEB JIN K WAJOOD PER
KRTI RAHE BATOOL BHE LANAT NAMAZ MEIN

Monday, February 6, 2012

Mere Aziz

Jis Roz sey seeney pey Ali(a.s) likkha hai mainey.....

Kuch khaas Azizo ney mujhey chhor diya hai.....

Mainey bhi Har ek Lafz ko ek teer bana kar.....

Har Dushman-e-Haider(a.s) ka Jigar tod diya hai..

Wednesday, January 4, 2012

Bibi Sakina s.a

IS BAAT SAY MEHSOOS KARO KYA HAI SAKINA(A.S)
ABBAS(A.S) K HONTOON KA QASEEDA HAI SAKINA(A.S)

AENA-E-ZEHRA(A.S) MEIN JO DAIKHA TERA BACHPAN
HER AKS PUKARA K TU ZEHRA(A.S) HAI SAKINA(A.S)

JO PAIYAS K PERCHAM KI ALAMDAR HAI ABB TAK
ABBAS(A.S) KI WOH PAYARI SAKINA(A.S) HAI SAKINA(A.S)

ABBASS(A.S) KI NAZROON SAY KOI PERH K DAIKHAY
EHSAAS KI EK NEHJ-E-BALAGHA HAI SAKINA(A.S)

JO MASHK MEIN BHAR SAKTA HAI DUNYA K SAMANDER
KAUNAIN MEIN BAS WOH TAIRA SAQQA HAI SAKINA(A.S)

HER UMR KAY HAIDER NAY JHULAYA TAIRA JHOLA
YE AUOOJ FAQAT TU NAY HI PAYA HAI SAKINA(A.S)

DARYAOON K LABNOO K QALAM CHUM RAHAY HAIN
MEIN ABHI LIKHA NAHEE SOOCHA HAI SAKINA(A.S)

IS BAAT SAY MEHSOOS KARO KYA HAI SAKINA(A.S)
ABBAS(A.S) K HONTOON KA QASEEDA HAI SAKINA(A.S)

Monday, January 2, 2012

Askari Raza Shaheed

A'ey Askari Zara Dekho! Jina'n Say Janib'e Farsh
• Tumharay Azam Ko Khonay Nahin Diya HUM Nay
• Anderi Raat K Seenay Pe Likh K Naam'e HUSSAiN
• Kisi yazeeeeeeed Ko Sonay Nahin Diya HUM Nay