Thursday, February 27, 2014

Meri Sifaarish

Gardish Ko Kya Khabar K Main Kis Ki Dua Me Hun

Bachpan Se Hi Hisar_e_Hadees_e_Kisa Me Hun

12 Imam as Meri Sifarish Karen Gey Kal

Main Aaj Se Hi Khuld Ki Aab_o_Hawa Me Hun

Sargoshi Kr Raha Hy Qalam Mujh Se Bar Bar

Zikr_e_Ali Liye Main Dar_e_Syeda Pe Hun

Mehsoos Ho Rahi Hai Khurasan Ki Mehak

Mimber Pe Hun K Shehar.e.Imam.e.Raza (as) M

Sunday, February 16, 2014

Mola Ali

Chehra hai k Anwaar -e- Do Alam ka Saheefa 
Aankhein hein k Behreen e Taqaddus k Nageen hain 
Matha hai k wahdat ki tajalli ka warq hai 
Aariz hein k "WalFajr" ki ayat k ameen hain 

Gaisu hein k "Wallaiel" k bikhrey huve saaye 
Abru hein Qauseen -e- Shab -e- Qadr khuley hein 
Gardan hai k Bar Farq-e-Zameen Aouj-e-Surayya
Lab,Soorat-e-Yaqoot Shuaaon mein dhuley hein

Qadd hai k Nabuvvat k Khud o Khaal ka Maiyar 
Baazu hein k Touheed ki Azmat k Alam hein
Seena hai Ramz-e-Dil Hasti ka Khazeena
Palkein hein k Alfaaz-e-Rukh-e-Loh-o-Qalam hein

Baatein hein k Tooba ki chatakti hui kaliyan
Lehja hai k Yazdaan ki zubaan bol rahi hai
Khutbey hein k savan k umandtey huve darya
Qirat hai k Asraar e Jahan khool rahi hai

Ye Daant , Ye Sheraza-e-Shabnam k tarashey
Yaqoot ki vadi mein damaktey huve heerey
sharminda e Taab e lab o Dandan e Payambar (SAWW)
Harfey ba sana khaani o Khama ba Sareery

Ye moj e Tabassum hai k rangon ki dhank hai
ye aks e matanat hai k thehra hua mosam
Ye shukr k sajdey hein k ayaat ki tanzeel
Ye aankh k aansu hein k ilhaam ki rim jhim

Ye Haath ye kounain ki taqdeer k auraaq 
Ye khatt , ye Khud o Khaal e Rukh e Mushaf o Injeel
Ye paaon ye mehtaab ki kirnon k ma'abid
Ye naqsh e qadam , bosa Gah-e-Raf raf o Jibreel

Ye Rif'at e Dastaar hai ya aoj e takhayyul
Ye Band e Qaba hai k shaguft e gul e Naheed
Ye saya damaan hai phela hua badal
ye subh-e-giraibaan hai k khamyaza -e- Khursheed

Ye dosh e pa chadar hai k bakhshish ki ghata hai
ye mohre nabuvvat hai naqsh e Dil e Mehtaab
Rukhsaar ki Zav hai k Namu Subh e Azal ki
Aankhon ki malahat hai k roy-e shab e kam Khaab

Wo ilm k Quraan ka teri itrat ka qaseeda
Wo Hilm k dushman ko b ummeed e karam hai
Wo Sabr k Shabbeer (AS) teri Shaakh e Samar daar
Wo Zabt k jis Zabt mein Irfaan o Umam hai

"Aurang e sulaimaan" teri nalain ka khaaka
"Aijaaz e Maseeha" teri bikhri hui khushbu
"Husne yade beza" teri dehleez ki kheraat
Kounain ki saj dhaj teri araiesh e Gaisu

Sar chashma e kousar tere seeney ka paseena
Saya teri deevar ka maiyar e iram hai
Zarrey teri mah o anjam e Aflaak
"sooraj" tere rahvaar ka ik naqsh e qadam hai

Zaahir ho tou Har barg e gul e tar teri khushbu
Ghaieb ho dunya ko sarapa nahi milta
Wo Ism , k jis Ism ko lab choom lein har bar
Wo jism k sooraj ko b saya nahi milta

Haider (as) teri haibat hai tou Husnain(as) tera Husn
Ashaab wafadar tou Naieb tre Masool
Salma teri ismat hai Khadeeja teri touqeer
Zahra (SA) tri qismat hai tou Zainab(SA) tera maqsoom

Kis Rang se tarteeb tujhey dijiye mola ??
Tanveer k tasveer , tasavvur k musavvir??
Kis naam se imdaaad talab kijiye tujh se
Yaseen k Taaha , k muzammil k mudassir ??

Maidaan tere Buzar (RA) ki Hukoomat k muzafaat
Kohsaar trey Qanbr o Salmaan (ra) k baserey
Sehra trey Habshi ki mohabbat k Musalley !
Gulzaar trey Meesam o Miqdaad(ra) k derey 

Zehan mein aaye k tu utra tha kahan se
Kia koi bataye teri sarhad hai kahan tak ??
Pohanchi hai jahan par tri Na'lain ki matti
Khaakistar-e-Jibreel b pohanchey na wahan tak

Aey Fik e Mukammal , Rukh e Fitrat Lab e Alam 
Aey Haadi e Kull , Khatm e Rusul , Rehmat e peham
Aey Waaqif e Meraaj e Bashar , waaris e Kounain
Aey maqsad e takhleeq e zamaan , Husne Mujassam

Aey baies e Aaien e Shabo roz e Khalaieq 
Aey Halqa e Arwaah e Muqaddas k Payambar (SAWW)
Aey tajor e bazm e shariyat mere AAQA !
Aey Aarif e Meraaj e Bashar , Saahib e Minbar

Aey Shakir o mashkoor o Shakeel e Shab e Alam 
Aey naasir o Mansoor o Naseer e Dil e Insaan
Aey shaahid o Mash'hood o Shaheed e Rukh e Touheed,
Aey Naazir o Manzoor o Nazeer e Lab e Yazdaan

Aey Yusuf o Yaqoob (as) ki ummed ki mehwar
Aey baab e munajaat e di Yunus o Idrees(AS)
Aeu Nooh (as) ki kashti k liye saahil e taskeem
Aey Qibla e Haajat e sulemaan (as) shah e Bilqees

Sochein tou Khudaai teri marhoon e Tasavvur
Dekhein tou khudaai se har andaaz juda hai
Ye kaam bashar ka hai na Jibreel k bass mein
Tu Khud hi bata aey mere Moula(SAWW) k tu kia hai ????

Friday, February 14, 2014

Abu Talib as Key Bachey

Tera Qud Hai Kahin Sidra Sey Bala, Arsh Sey Oncha
Abutalib Bashar Ki Ankh Is Qaamat Ko Kia Dekhe

Nuseri Or Mey Is Baat Per Hen Mutafiq Dono
Tere Bachey Wali Dekhe , Nabi Dekhe , Khuda Dekhe

Hussain K Supurd

Kaar-e-Iilahiyaat Mey Masroof Hai Hussain
Os La Shareek Ko Isi Shirkat Sey cheyn Hai

Hai Sari Kayenaat Supurd-e-Khuda Magar
Tuheed Kerbala Sey Supurd-e-Hussain Hai

Bakhshish

Ali ki shehnshahi mey jo inki badshahi hai
Bus dil mera Haqeeqat Shinaas Rheta hai

BeyKhuaf hum chalte hen julooson mey is liye
Sir pey Jo her pal Panja-e-Abbas Rheta hai

Abis Ki Ghulami per Riza-e-Fatima Zehra
Bakhshish Hona Ho, Sukoon ka Ehsas Rheta Hai