Tuesday, June 29, 2010

Qasoor

Kabhi Bhi Jashan-e-Wiladat Nahi Likhi Maine
Khuda K Noor Ka Jashn-e-Zahoor Likhta Hun
Ali Ka Piyaar Bhi Maon Ki Dain Hai Shokat
Ali Ka Bughz Bhi Maa Ka Qasoor Likhta Hun

By Shaukat Raza Shaukat

Sunday, June 27, 2010

13 Rajab - Updated

Murtaza Ki Aamad K Rang Dekh Kar
Mustafa Nay Kaha Ye Hai Mera RAJAB

Sun K Toheed Nay Muskura K Kaha
Yehi Yaksaan Karay Ga Sawera RAJAB

Is Tarha Bant Letay Hain Maah-e-RAJAB
Tu Bhi Razi Rahay Mey Bhi Razi Rahun

Mai Arsh Pe Manaon To Mera RAJAB
Tu Farsh Pe Manaye To Tera RAJAB

By Shaukat Raza Shaukat

Friday, June 25, 2010

13 Rajab

Khuda k Ghar ki Roshni yun Khuda k Ghar mey Utar rahi hai

Kay Bazm-e-imkan mey La Makan k , Makan ki kismat sanwar rahi hai

Butan-e-alam k buth paraston , butoon ki nabzon pey hath rakhna

Jahan yeh dobyen wahin samjhna , Rajab ki 13 ubhar rahi hai .

By Aqeel Mohsin Naqvi

Wednesday, June 23, 2010

Bagh-e-Fadak K Chor

Ali wali say jo dushmani hai, to jaltay kortay hayat kato

Tumhe mayasar nahi lehad mey, sakoon say eik raat kato !

Jo roz-e-mehshar saza milegi jab apne apne bure amal ki

Nida yeh ayegi sub say pehlay, fadak kay choron kay hath kato !

Tuesday, June 22, 2010

Os Baap Pey Bhi

Yeh Khoon, Badan, Rung, Nasab, Zaat k rishte .

Beymaini hen ager in mey na rishta ho Wali ka .

Meesaq mey hum ney tu yehi ehed kia hai .

Os Baap pey bhi lanat hein jo dushman hai Ali ka!

Wednesday, June 16, 2010

Do Markay

Do markey ta hashar na bholey ga Zamana
Khaiber ki taraf Haider-e-karar ka Jana
Masqiza liye neher pey Abbas ka Jana
Woh baap ka qissa tha yeh bete ka fasana!

Thursday, June 10, 2010

Sher-e-Sher-e-Jali

This Poetry is based on the verdict between Imam Hussain A.S and Mola Abbas A.S. We all know that Mola Abbas was the Flag Bearer "Alamdar" of Imam Hussain's A.s army in kerbala and he never received permission from Imam Hussain a.s. to fight against yazid's army. The only time he interacted with yazid's army was when Imam Hussain sent him to talk to Ibn-e-ziyad after he blocked the shores of the river furaat and stopped the water supply for Imam Hussain's a.s army and family after 7th muharrum.

Imam Hussain called Mola Abbas and said :

Taaj Daar-e-Wafa Meri Maa Ki Dua
Esmato'n K Wali Mera Ek Kam Ker

Mere Lashkar k Salaar Nasir Alamdar
Piyarey Hakee Mera Ek Kam Ker

Murtaza Ki Shabhi Ae Meri Zindagi
Sher e Sher e Jali Mera Ek Kam Kar

Mey Muhammad Hun Is Waqt Is Doar Ka
Aaj Mere Ali Mera Ek Kam Kar !!!!

Mera Dil Hai Muareekh Ki Chashm-e-Qalam
Teri Tad'beer Ko Heelim Ko Dekh Le

Teri Jurrat To Sub Pe Ayaan Hai Magar
Yeh Zamana Tere Ilm Ko Dekh Le

Ban K Waris Salooni K Mimber Ka Tu
Kar Zara Guftagu Lashkar e Sham Se

Ye Hain Na Aashna Apne Aaghaz Se
Bey Khaber Hain Subhi Apne Anjam Se

Ye Samajhtay Hain K Jeet Jainge Yeh
Ja K Pardah Utha In K Ebhaam Se

Ja Inhain Ja k Samjha k Taqdeer bhi
Kanmp Jati Hai Shabbir k Naam Se !!!!

Bol Aese K Khaliq Ko Kehna Paray
Zaat e Haider K Akkas Kia Baat Hai

Aaj Nehj ul Balagha Ka Khaliq Kahay
Wah Mere Laal Abbas Kia Baat Hai :)


After getting orders from his brother and his commander Imam Hussain, he sat on his horse "ashal" with an anger on his face ; exactly like his father and went to see ibn-e-ziyad.

Sun K Ibn e Samad Le K
Daman Mey Ek Beniyazi Chala

Aaj Taigh e Dahan Se Ali Ka Pissar
Munkiron Ki Ulatne Ko Baazi Chala

Sir Pe Zill e Khuda Thokaro'n Mai Qazza
Kiss Adda Se Muqadas Namazi Chala

Murtaza Se Muhammad Ko Kehna Para !
Ya Ali Ap Khud Hain K Ghazi Chala ! :)

Malak Ul Mout Ne Kibriya Se Kaha
Ban K Tere Qehar Ki Misaal Aagaya !

Qabzehrwa Mere To Bus Mai Nahi
Gar Ali K Ali Ko Jalal Aagaya......

Some elders in yazid's army saw Mola Abbas coming towards them, which reminded them of Mola-e-kayenat Ali a.s. Indeed Abbas was his son and the blood showed the shadow of Ali in Khaiber as Abbas in Kerbala. Some of them as a fact were confuse..


Buzdilo'n Ab Qazza Ki Tayyari Karo
Aanay Wala Hussaini Alamdar Hai

Do Jari Khandano'n Ka Sangam Hai Ye
Is k Chehray Se Jurrat Namudaar Hai

Mout Ko Is k Saaye Se Lagta Hai Darr
Is Ki Talwaar Ka Waar humwaar Hai

Dabdaba Roob Tamkanad Phr Sakoon !!
Apni Har Ek Adda Se Ye Qaraar Hai

Then there was a silence!

Sub Saro'n Pe Sehaab e Qazza Chaa Gaya
Sub Ye Samjhay k Qehar e Jalli Aagaya

Jo Thay Bhooray Jawano Se Kehnay Lagay
Hum Galat Hain k Such Much Ali Aagaya !!!!

Mola Abbas's arrival was unexpected and the whole army was intimidated by the fact that Hussain has sent THE ABBAS already! Finally the voice of Ali was heard once again by some who remembered it from the battle of siffin, neherwan and jamal. Hussaini Alamdar said ....

Bad'Chalan Be'adab La'Nasab Shamiyon :@
Ye Hujoom e Baghawat Yahan Kiss liye ?

Tum Ho Haiwaan Seerat Geroh Dar Geroh
Mou Uthaye Chale Ho Wahan Kiss Liye ?

Zull Karam Zee'Sharaf Khandan K Liye
Hai Ye Zulmat Bhara Karwan Kiss Liye ?

Ku Ye Lashkar Bana? Tum Bhala Ho Bhi Kiya ?
Jaheelo'n Aagaye Ho Kahan Kiss Liye ??? :@

Sir Kashi Karne Walo'n Suno Ghour Se !
Ye Walli Apne Allah Ka Bhi Aun Hai !

Jis Ki Chokhat Pe Ghazi Ghulami Karay
Tum Nahi Jantay Ho k Woh Koun Hai.... :@


and the son of nejul balaghs's creator said :

Chal Raha Hai ye Sara Nizaam e Daher
Mere Mola Ki Anghusht K Phair Se

Mai Wazeer e Hussain Or Musheer e Hassan
Is Haqeqat Ko Samjho Ge Tum Dair Se

Na Gunaho'n Ki Hadd, Na Pa'dar Ki Sanad
Phir Ulajhtay Ho Tatheer K Shair Se !

Shehr-e-issiyan Ebtar k Makino'n Suno :@
Tum Mile Gandagi K kisi Dhehr Se :@

Mout Khud Mujh se Darti Hai Mai Kia Daro'n :)
Kanmpti Hai Qazza Mere Is Hath Se

Ehmaqo'n Qatal Ki Dhamkiyaan Or Mujhe ! :@
Buzdilli Ki Tawaqou, Wo Bhi Abbas Se ??

Gar mey Chahun Mere Ek Esharay Pe Tum
Zindagi Ki Haado'n Se Guzar Jao Gey

Mai Charo'n Taraf Phoonk He Maar Dun
Mout Ka Daayera Hai Jidhaar Jao Gey

Taigh Uthanay Ki Mohlat Mai Dun to Larro
Taigh He Na Chalay To Kidhar Jao Gey ???

Kiya Zarurat Hai Mujhe Teer O Talwar Ki
Tum Nihatay Ki Haibat Se Mar Jao Gey

Kia Karun k Karam Meri Ghutti Mai Hai :)
Dusra Amr-e-Shabbir Hai Sath Mai :)

Warna Chahun To ajsaam Thehre Rahen
Or Aajain Roohain Mere Hath Mai !!!


Written by Shaire Al-e-Imran Janab Shaukat Raza Shaukat..

Thora Pani Chaye

Phir Zamane ko koi Haider ka saani chaye

Waqt kheta hai Duaoon mey rawani chaye

Aoo Hum sub Roza-e-Abbas per chal kar Kahen

Jal rahi hai sari Duniya Thora Pani Chaye!

Wednesday, June 9, 2010

Kia Bataon Ap ko Khush Kismati Abbas Ki!

Kia bataoon aap ko khush qismati Abbas ki
Fatima Zehra sey hai wabastagi Abbas k
i

Goud mein Zainab ki dey kar hat gaeen Ummul Baneen
Karbala par waqf kardi zindagi Abbas k
i

Hamla-e-Akbar mein dekho naujawani ki jhalak
Jurrat-e-Asghar mein dekho kamsini Abbas ki

Dushmanon ko khauf hai, Zainab ko hai itminaan
Jab talak khaimon mein hai mojoodgi Abbas ki

Paar kar paya na lashkar ek halki si lakeer
Thi tu halki see magar khenchi hui Abbas ki

Meri Hasti

Mere ehsas mein paiwast hai yun yaad-e-Hussain

Dil mein tooti hui barchhi ki anni ho jaise

Karbala mujh mein hai yun teri zameen ki khushbu

Meri hasti teri mitti se bani ho jaise!

Thursday, June 3, 2010

Ausaf-e-Jali

Har koi zamane ka Wali ho nahi sakta

Aur Mazhar-e-Ausaaf-e-Jali ho nahi sakta

Mat toal isey aqal kay meezan mein Irfan

Jo aqal mein aaye woh Ali ho nahi sakta!

Syed Irfan Ali Abedi

Aulad-e-Ali

Ankh Soti Hai Hamare Dil Kabhi Sotey Nahi

Apne Mansab ki Haqeeqat ko Kahin Khotey Nahi

Teer Kha ker Muskora Ker Khe Gaya Asghar Mujhe..

Hum Hein Aulad-e-Ali Maidan Mey Rotey Nahi !

By Shaukat Raza Shaukat