Tuesday, May 29, 2012

Salam K Qabil

Hukum-e-quran-e-paak ka hamil hai ya nahi
Ayat-e-kirdigaar ka hamil hai ya nahi
Khe ker mey ya ali madad kerta hon yeh pata
Kia tu mère salam k qabil hai ya nahi ?

Monday, May 28, 2012

Meri Ma KI Dua

Sard raaton mey bhi asaan safar lagta hai
yeh meri maa ki dua'on ka asar lagta hai

Aur sekhdiya hai mujeh Ya Ali Madad khena
Ab her mushkil mey yeh asaan hunar lagta hai

Bithaya Hai majlison mey yun K, dil mera
Kahin Lagey Na Lagey, wahan Magar Lagta Hai

Adat daali sabeelon ki k ab jab bhi peeta hun
Pani hota hai wohi per taskeen-e-jiger lagta hai

Phir Abis ki Shayiri Phari tu woh yakjaa'n Boley
Jis ka yeh phal hai koi paak shajar lagta hai

Meri Maa Ki Duaon Ka Asar Lagta Hai :)

Wednesday, May 16, 2012

Midhat k Safeeney

Sarwar Ney kaha Zikr-e-Ali bhi ibaadat
Midhat k Safeeney bhi Wali hi k Liye Hen

Aye jo Ali Jhuk Gyien Kaaba ko Jabeeney
Samjho tu yeh Sajde Bhi Ali Hi k Liye Hen

Saturday, May 12, 2012

Imam-e-Mazloom a.s ka Khitaab ibn-e-saad sey

mere nasab sey bhi ashina ho mager sada ajnabi rahe ho
meri hi khatir bana hai paani mera karam hai k pii rahe ho
tum ajj badr-o-ahud sey khaiber talak sab hi zakhm see rahe ho
mey ajj bhi tum pey rehem dil hon daleel yeh hai k jee rahe ho
karam ka aesa chaman ho jis mey adu ki taqdeer khil rahi hai
meri wajha sey hi mere qatil ko rey ki jageer mil rahi hai

yeh bandish-e-rizq-o-aab kia hai yeh sab tu zeyre falak raha hai
meri hukumat ka daira tu sareeray wahdat talaq raha hai
mujeh darane laga hai tu bhi tera muqadar bhatak raha hai
mey woh pyasa hon jis ki sanson mey aab-e-kausar chalak raha hai
mujeh akela samjhne walo sabhi zamaano k sath mey hon
jo rizq taqseem ker raha hai khuda sey pocho woh hath mey hoon

zara sey lashkar pey naaz maat ker k mey hoon arzo sama ka waali
yeh teer-o-talwaar mere nokar zameen baandhi fiza mawali
tujhe dekhaon mey apna lashkar? meri sipha hai buhat nirali
rasool fauji, nabi sipahi, imam yawar, malak sawali
tumhare sir ki bisaat kia hai mey arsh-e-aazam ka sir jhukalon !
haqeer bando ka tazkira kia khuda ko chahon yahan bolalon?

Thursday, May 10, 2012

Aur

Shabnum mai nahayegi abhi bade saba aur,
Ubhrenge gulabon pa nishanate azaa aur.

Ashkon ke diye hain ye bujhaye na bujhenge,
Tufaano se kah do ke utha laayen hawa aur.

Milti hai mohabbat se ibaadat ko bulandi,
In ashkon se badh jata hai sajdon ka sila aur.

Allah ki wahdat kahin dhoonde nahin milti,
Shabbeer na hote to nazar aate Khuda aur.

Jannat ki ghizaein to bahot khoob hain lekin,
Hai majlise Sarwar ke tabarruk ka maza aur.

Ye deene Nabi baghe Husain Ibne Ali hai,
Milti hai ise dhoop to hota hai hara aur.

Har teer pa aa jata hai honton pa tabassum,
Kiya iss se siwa hogi mujahid kee ada aur.

Shabbir ke dushman ka muqaddar tha jhulasna,
Dekha jo hame aag pa chalte to jala aur.

Taron ki chamak aur hai ashkon ki ziya aur,
Wo arshe barin aur hai ye farshe aza aur.

Sab sher barabar ke nahin hote hain Kazim,
Takhleeqe sukhan aur hai Maula ki ata aur.

Aal-e-Mohammed K Khiloney

Khuda se guftugu, Fitrat pe qabza, mout pe qudrat.
Yeh sab kuch insaan ke zehen ki rasai se mubrr'aa hai.

Yeh mushkil marhaley Aal-e-Muhammed ke khiloney hain.
Jisey hum mojaza kehtey hain in ka roz mar'javascript:void(0)ra hai.