Monday, August 30, 2010

Ali

Tu Ne Samjha Hai K Khaiber He Urata Hai Ali?
Ya Faqat Pardah-e-Mayraaj Mai Jata Hai Ali?

Mere Qarrar Ki Jurrat Ka Yeh Andaaz Bhi Dekh
Apne Soye Huwe Qatil Ko Jagata Hai Ali :(

Thursday, August 26, 2010

aal-e-saud

Paglee rahiyat k ghunegar wali aal-e-saud.

Zulm kerte rahe or adal ka unwaan rahe.

Hum sahaba ki ghulami karen tab bhi kafir

Woh mazarat gira ker bhi musalman rahe?

Tuesday, August 24, 2010

Shabbir Ka Daman

Wo Ibn-e-Mazahir Ho k Hurr John k Muslim

Ye Khe k Bicharta Tha Har Ek Dar-e-Fanna Se

Jannat Mey Bhi Mushkil Se Meri Aankh Khulay Gi

Soya Hun Mai Shabbir k Daman Ki Hawa Se

Monday, August 23, 2010

Qarz-e-Ibn-e-Ali

Mushkil Ha Qarz-e-Ibn-e-Ali Ki Adayegi

Qudart Ko Phir Udhar Na Leyna Paray Kahin

Jannat Tu Kuch Nahin Mujhe Dar Hai K Hashar Mey

Allah Ko Apna Arsh Hi Na Deena Paray Kahin.

Mere Agey

Sheh khete they yeh lashkar-e-aada mere agey
aese k hoo khaak ka zarra mere agey.

Kaiber mey Ali khete they derwaza gira ker
Kiun rakha tha tumne yeh khelona mere agey

Jibreal yeh kisi Maa sey kaha kerte they akser
Rakh dijiye Shabir ka jhola mere agey.

Mey jab bhi uthata hun Alam Ibn-e-Ali ka
Chalta hai Alamdar ka Saya mere agey

Do Ashk Hi Ankhon Sey Girey They Sir-e-majlis
Saya Kissi Rumaal Ka Aya Mere Agay.

Friday, August 20, 2010

Douzakh

Dil mey ager iblees ki mourat hi na parti

Zehno mey mawaddat ki kadorat hi na parti

Kerte sabhi insan ager pyar ALI se

Douzakh ko banane ki zaroorat hi na parti

Monday, August 16, 2010

Matam-e-Hussain

Hai marze la dawa ki dawa Matam-e-Hussain
Mushkil mey bhetareen dua Matam-e-Hussain

Marta hai jism roh mey hoti hai zindagi
Rooh ki hai bhetareen ghiza Matam-E-Hussain

Yeh ehed wafa hai taluq hai bakht hai
Meesaq mey hi humney chuna Matam-e-Hussain

Ma loriyon mey nohay sunati rahi mujhe
Mene tu apni Maa sey liya Matam-e-Hussain

Roza,namaz,qhums,zakat-o-jehad-o-hajj
Yeh sab k sab amal hen , jaza Matam-e-Hussain

Aye Ashiqan-e-Ale-Muhammed na chorna!
Ishq-e-Ali, Namaz-e-Khuda, Matam-e-Hussain

Her matami k ghar pey zarori hai doston
Jaye namaz, farsh-e-aza, Matam-e-Hussain

Chalti hawa ko ruk saka hai bhala koi?
Ab tu gali gali mey howa Matam-E-Hussain

Hum khalq jab huen hen Dua-e-Batool sey
phir tu batool sey hai wafa Matam-e-Hussain

Pachtaye ga yeh khe k jahanum mey molvi
kia kia kiya mager na kiya Matam-e-Hussain

Sidra sey Jibarel ney mujh ko yeh di khabar
shaukat raza , khuda ki raza Matam-e-Hussain

Jalan kis liye?

Mere mathe pey mherab-e-ishq-e-Ali
Tere mathe pey akhir shikan kis liye?

Apni ankhe meri apne anso mere
Teri ankho mey hai yeh dukhan kis liye?

Yeh seena mera hath apne mere
Tere seene mey hai yeh chuban kis liye?

Mere paon jaleyn na jalayen tujh ko kia!
Mey jalon na tujhe hai jalan kis liye?

Thursday, August 12, 2010

Ghazi ka Hath

Kal Ka yazeed khush tha na yeh Hath kat k?

Ab aik khauf os k muqqadar kay sath hai!

Kia hath hogaya hai umaiyya ki nasal sey!

Ab tu gali gali mey hi Ghazi ka hath hai: )