Friday, July 23, 2010

Aur Hoti Hai

Kiya Dawa Salooni Ka Ali Ney Ye Batanay Ko
Khilafat Or Hoti Hai Imamat Or Hoti Hai

KahaN Sadaat K Dushman KahaN Zehra K Shehzaday
Nahosat Or Hoti Hai Karamat Or Hoti Hai

Gunahgaron Ko Masoomon Se Kiun Mansoob Karte Ho
Halakat Or Hoti Hai Shahadat Or Hoti Hai

Bakshish Nahi Hogi Kisi Be'Namazi Ki
Magar Farsh-e-Aza Wali Ibadat Or Hoti Hai.

By Shaukat Raza Shaukat

Tuesday, July 20, 2010

Dhondh Raha Hun!

Koi tu chaley sath mere kerbobala tak
Measum ho k Salman ossey dhondh raha hun

Woh zakhm jo apno sey hi lagte hein hamesha
Han On k liye khaak-e-shifa dhondh raha hun

Intezar ki hud hai koi ? Aao khud hi batado?
Koan hai Mehdi jisse mey dhondh raha hun !

Toofan-e-yazidi mey Ali ka nara laga kay
Jo Parcham ko utha ley mey ossey dhondh raha hun

OR

Hairat hai k munkir k liye aj bhi zaidi
Bakshish ka koi aik sabab dhondh raha hun


Is Mujrim-e-Haider ki Shakal dekh k Abis
Forun hi jo miljaye saza ,dhoond raha hun !

Wednesday, July 14, 2010

Rona or Hasna

Woh teer-o-tabar k her aik ghumsan mey hasta hai
Jab mout sey larta hai her aan mey hasta hai

Ya Rab tere Haider k andaaz nirale hein
Mherab mey rota hai , maidan mey hasta hai

By Shaukat Raza Shaukat

Friday, July 9, 2010

Baqi Hai !

Piyas Ki Himmat Toot Gae Hai Or Piyasa Baqi Hai
Ab Bhi Har Aankh Mai Us k Naam Ka Dariya Baqi Hai

Soch Saqeefa Har Gaya Hai Dekh Mubahila Jeet gaya Hai
Saray Jhotay Jhoot Huwe Hain Or Woh Sucha Baqi Hai

Naaz Bharay Andaaz Mai Ye Shabir Yazeed Se Puchay Hai
Ab Kiya Mere Pass Nahi Hai Or Tera Kiya Baqi Hai

Duniya Walo'n agar Samjho Toh Jeet Isi Ko Kehtay Hain
Sara Kunmba Qatal Huwa Or Saara Kunmba Baqi Hai

Baap k Har Ek Dushman Se Shabir Abhi Tak Puchay Hai
Aao Dekho,Sun lo Kis k Baap Ka Naara Baqi Hai

Shimar Se Har Shaami Ne Pucha,Tum Kia Kaat K Laye Ho
chehra,jalwa,Lehja, Balkay Ye Toh Sara Baqi Hai

Saaray Matami Bakhsh k Allah Ye Shabir Se Keh Dega
Tu Ne Jo Ehsaan Kia Tha Uska Karza Baqi Hai

Saaray Bush,Saddam,Yazeed Or Saray Mulla Maan Gaye
Toot Gaee Barood Ki Taqat Or Moal'la Baqi Hai

Makka Madina Sham Kufa saray Ghumo Dekho phr Smjho
Arbo'n Arab Parain Hain Lekin,Kis Ka Shjra Baqi Hai

Jiski Nasal Kushi Ki Khatir tumne Sainkro'n Jangain Ki
Aaj Bhi Ghaybat k Parday Mai Uska Beta Baqi Hai

By Shaukat Raza Shaukat

Monday, July 5, 2010

yazid ki gardun

Baham bata rahey hein Alam or Zuljinah

Abbas or Hussain ka sadiyon ka sath hai !

Ja Ja lagey hue hein yeh panjey isi liyeee

Ghazi ka her yazid ki gardun pey hath hai

Sunday, July 4, 2010

Ya Ali Madad - by Abis Zaidi

Wilayat ki seyhahi mey qalam ghol k Abis

Saanso ney wazzu ker k likha Ya Ali Madad

Mola ki Ziaraat ko yun byechain howa hun

Ankho sey bhi tapke hai sada Ya Ali Madad

Ab app hi ajayen na aik baar najaf sey

Seekhane k liye apni fiqa Ya Ali madad

Saturday, July 3, 2010

Zaat-e-Jali ; Phele Ali

Mera Mola (Bay) Ka Nuqta hai Ba Hukum-e-Kibriyah
Ta K Usko Mazhar-e-Zaat e Jali Kehna Paray

Is Liye Bismillah Wajib Kar Diya Har Kam Mai
Jo Bashar Allah Kahay Pehlay Ali Kehna Paray.....

By Shaukat Raza Shaukat

Friday, July 2, 2010

Salam

Sipah e Deen Ki Toheed Aagahi Ko Salam
Kiya Khuda Ny Bhi Bandon Ki Bandagi Ko Salam

Suno Furaat Ki Lehr'on Se Aarahi Hai Sada
Ali K Ladlay Potay Ki Tishnagi Ko Salam

Yazeediyat Jisay Sadiyon Mai Bhi Na Maar Saki
Hussainiyat ! Tere Asghar Ki Zindagi Ko Salam

Tera Sukon Qazza K Liye, Qazza Tehra
Hansi Ka Waqt Na Tha Par Teri Hansi Ko Salam

Jahan Jahan Se Bhi Jhoola Guzar Gaya Tera
Woh Rasta Hai Mouziz Usi Gali Ko Salam

Na Janay Chotay Ali Ney Ye Kia Kiya Run Mai
Shabab ! Aaj Bhi Karta Hai Kamsani Ko Salam

Rabab ! Ab Tera Beta Bhi Betay Deta Hai?
Khuda Mizhaj, Payamber Sifat Sakhi Ko Salam

Najaf K Shah Ny Karb o Bala K Shah Se Kaha
Hussain ! Mai Bhi Ali Hun, Tere Ali Ko Salam

Zameen-e-Karb-o-Bala Se Yehi Kaho SHOKAT
K Tere Piyasay Muhammad Ki Be'Kassi Ko Salam.........

By Shair Al-e-Imran Janab Shaukat Raza Shaukat

Thursday, July 1, 2010

Izhaar-e-mawaddat By Abis Zaidi

Jahan walon sey dushmani kuch is tarhan li hai
Jese sher ney jungle sey hi mo morh lia ho

Ali k dushmano sey nafrat kuch is tarhan ki hai
Jese duniya ko isi baat pey sada chor dia ho

Ghazi ki wafa lab-e-qalb sey is tarhan pi hai
Jese parcham k pharerey sey rishta jor lia ho

Matam ki ghari Abis ney qasam is tarhan di hai
Jese jism ka khoon pani ki tarhan nichor dia ho