Monday, November 29, 2010

Idraak

Imkan Ki Handon sey hai bala qalam ka qud
Sidra talak hue mere idraak ki rasad

Alfaz gom hogaye, kam par gaye adad
leykin mujhe nah mil saki Mola Ali ki Hud

Samjhon bhi kia Ali ki fazilat k toool ko!
Ata hai yeh Khuda ko samjh, yeh Rasool ko!

Friday, November 26, 2010

Hasil-e-Jaffa

Guroor toot gaya koi martaba na mila

Jaffa kay baad bhi kuch hasil-e-jaffa na mila

Sir-e-Hussain mila hai yazid ko leykin

Shikast tu yeh hai k phir bhi jhuka howa na mila

Saturday, November 20, 2010

Mere Ashaar

ASHAAR MAY MERAY JO HUNAAR BOL RAHA HAI
ZEHRA(S.A) KE DUAO KA ASUR BOL RAHA HAI

IS BAAT PAY HAIRAAN HAI HER DOR KA MUNKIR
KHAMOSHEYAAY DEEWAR MAAY DUR BOL RAHA HAI

YEH KON C MANZIL HAI TERAY ISHQ KE MEESUM(R.A)
TU DAAR SAY BAYKHOF-O-KHATAR BOL RAHA HAI

POOCHOO ABUTALIB(A.S) K BATHEJAY(SAWW) HE SAY POOCHOO
MAIRAJ MAY YEH KIS KA PISUR BOL RAHA HAI

BACHNA KOI ASAAN TU NAHEE TAIGH-E-ALI(A.S) SAY
YEH MAY NAHEE JIBRAEL(A.S) KA PAR BOL RAHA HAI

BIDA'AT JO AZADARI KO TU KEHTA HAI WAIZ
YEH TU NAHEE SUFIYAN KA SHUR BOL RAHA HAI

TU APNAY ZAMANAY KA OWAIS-E-QARANI(R.A) HAI
MATAM KE HIMAYAT MAY AGUR BOL RAHA HAI

AWAZ AZANO KE JO HUR SU HAI JAHAN MAY
SHABBIR(A.S) TERA LAKHT-E-JIGUR(A.S) BOL RAHA HAI

YEH MANZIL-E-AIZAZ SAY AAGAY KE HAI MANZIL
JO NEZAAY PAY RUKHA HAI WO SIR BOL RAHA HAI

BACHOO KE ZUBAN PER HAI JO KERBAL KE KAHANI
BANO(S.A) YEH TERA NOOR-E-NAZAR BOL RAHA HAI

GHAR GHAR HAI BAPA AAJ JO SHABBIR(AS) KE MAJLIS
YEH KHUTBAA-E-ZAINAB(S.A) KA ASUR BOL RAHA HAI

SUNNAY KO SOHAIL AAY HAIN MoLA(A.S) TERAY ASHAAR
TEHRRER KA HER ZER-O-ZABAR BOL RAHA HAI

Wednesday, November 17, 2010

Shaheed

Jo Bughz-e-Aal-e-Muhammed Mey Mar Gaya Mohsin
Koi bhi dour ho woh bus yazid hota hai

labon pey nad-e-Ali or hath seene per
Jo is tarhan sey gaya woh shaheed hota hai

Zehra kay dushman

Zehra kay dushmano kay Moqadar sey khouf kha!
Dozakh bhi on kay jurm ki pori saza nahe

Karbala

NA JANAY KIUN MERI AANKON MAIN AA GAYE ANSO

SIKHA RAHA THA MAIN BACHAY KO KARBALA LIKHNA

Tuesday, November 16, 2010

Sipah-e-Sahaba

Saqifa Se Nikli Jahalat Ki Tukri
Na Manzil Mayasar Na Raa-e-Sahaba

Woh Niyat Mai Andhi, Shareeyat Mai Bhengi
Woh Na Aashna-e-Nigah-e-Sahaba

Yehi Hai Woh Aal-e-Mohammad Ki Dushman
Jo Ab Dhundti Hai Panah-e-Sahaba

Isi Ka Takhalus Tha Fouj-e-Yazeedi
Isi Ka Laqab Hai Sipah-e-Sahaba

Monday, November 15, 2010

Bood Ali Bood - Rumi & Shams

Ta soorat e paiwand Jahan bood Ali bood
Ta naqsh e zameen bood, zamaaN bood, Ali Bood

Ham awwal o, ham aakhir o, ham zaahir o baatin
ham aabid of ham maaabad o maabood Ali bood

Shahi keh vali bood o wasi bood Ali bood
Soltan Sakha o karam o jood Ali bood

Ham adam o ham shis o ham ayoob o ham edris
ham yusuf o ham yunus o ham hood Ali bood

ham moosa o ham isa o ham khez o elayas
ham saleh o ham peyqamber davod Ali bood

Masjood Malayek keh shod adam ze ali shod,
dar qiblah Mohammad bod o Maqsood Ali bood

Vejehi keh bayan kard khodavand dar "al-hamd
an vejeh bayan kard o befarmood ali bood

Isa be vojood amad o fi al-hal sokhan goft
an notq o fesahat keh dar ooo bood Ali bood

Chandankeh dar afaq nazar kardam o didam
az rooyeh Yaqin dar hameh mojood ali bood

An kashef quran keh khoda dar hame quran
kardash sefat Esmat o bestood Ali bood

In kufr nabashad , sokhan kufr nah in ast
ta hast Ali bashad o ta bood Ali bood

In do seh beyti keh begoftam beh Mo3ama
haqa keh morad man o maqsood man Ali bood

An shir delavard keh ze bahr tam3 nafs
bar khan jahan panjeh nayalood Ali bood

Sar do jahan jomleh ze peyda o penhan
shams al-haq tabriz keh benmood ali bood

Thursday, November 11, 2010

Jashan-e-Wafa

Sakhi K Zikr e Wafa Mai Tu Aa Saka To Nahi
Phr Apnay Ap Se Puch, tu Bewafa To Nahi

Yeh Arahi Hai Sada Badshah K Panjay Se
Humara Hath Kata Hai Magar Jhuka To Nahi

Nusairiyon Ney Ye Ek Dusray Se Pucha Hai
Khuda Ki Goud Mai Soya Huwa Khuda To Nahi

Or Ali Zikar Se Jalta Hai Tera Dil To Zarra
Tu Apni Maa Se Pata Kar Koi Khata To Nahi

Tuesday, November 9, 2010

Meezan-e-Jihalat

Meezan-e-Jihalat mey gohar tol raha hai
Peymana-e-Tableegh mey sum ghol raha hai

Gar Ya Ali kehne se koi roke to samjho
Shaytaan ki mehfil se koi bol raha hai

Saturday, November 6, 2010

Halali Mawali

Yeh Zaba'n kaat do , Jism-o- Jaan Kaat do, midhat-e-MURTAZA ki saza do mujhay ..
Tukray Tukray karo mera sara badan Aag Roshan karo or Jala do Mujhay ..
Zikr-e- Shah-e- NAJAF say Rukun ga nahin, chahay 100 baar sooli charha do mujhay.
Jub mere Jism ki raakh bun jaey to Lay k haathon mein Apnay Ura do mujhay .

Aik do din hi nahi shab-e-mheshar talak , jab jahan jis taraf woh hawa jaye gi
Aik halali mawali ka wada raha Ya Ali , Ya Ali ki sada ayegi.

Fatima

Dulhan Nabi ki Ladli , Dulha Khuda ka lal
Kia arsh pey charhi teri baraat Fatima

Parti namaz moo pey hai phirte hen jin k moo
tujh per jo bhejte nahi salwaat Fatima

Mey on bhikariyon ko ghani kis tarhan kahon?
Jo log khagaye tere bhagaat Fatima

Aur mumkin nahi kay mey raziallah kahon onhe
Kerti rahi hai jinki shikayat Fatima

Sa

Bando Ko Ali kerta hai tauheed shanasa
Wahdat ki hai taskeen risalata ka dilasa

Mana kay ibadat hai yeh roza yeh namazyen
Kab kis mey maza hai koi haider ki wila sa

Haider sey adawat hai tu phir chordey sajde
Such yeh hai waiz tera taqwa hai ghuna sa

Asghar ka tabassum howa nou lakh pey bhari
Shabbir ka chota sa pisar bhi hai bara sa

Majlis mey tu hai paanch bhi saye mey isi kay
Abbas ka parcham bhi hai Zehra ki kissa sa

Shabbir K barey mey yeh khete hen nuseri
Allah ka beta hai muhammed ka nawasa

Allah bachaye mujhe her shirk sey shaukat
Wese yeh nuseri ka khuda hai tu khuda sa.

Samjho kay ossey Ma k gunahon pey yaqeen hai
Shaq ho jissey Haider ki wilayat mey zara SA!

Banda koi , Mola koi , Allah ossey samjha
Her ankh ney Qarar ko dekha hai Juda Sa

Friday, November 5, 2010

khiyal-o-jawab

Lehed mey ayen gay woh yeh saans-e-akhir tak
dil mey aik basa howa khiyal raha

kab sey , kis k sath hen or kab tak rahen gay
dil mey aik chupa howa sawal raha

or phir meri zuban pey Saqi Murtaza ka naam
dil mey her aik sawal ka jawab raha

Tuesday, November 2, 2010

"Ali Tha " by Shams Tabrizi ( Spiritual instructor of Rumi )

Taroon ne abhi aankh na kholi thi Ali(a.s) tha,
Na Amn Ka Pegham na holi thi Ali(a.s) tha,
Daata tha Duain thee na jholi thi Ali(a.s) tha,
Khaliq ki Zuban "Kun" bhi na boli thi Ali(a.s) tha,
Hud hogyi Adam ki jabeen mey bhi Ali tha
Angosht-e-Suleman k nageen mey bhi Ali tha
Yousuf k haseen naqsh-e-haseen mey bhi Ali tha
Yaqoob k Allah pey yaqeen mey bhi Ali tha
Allah ki taqleeq ka Maqsood Ali Hai
Khud apne Khuda ki Liye Masood Ali Hai
Hud Hogyi Abid Ka bhi Mabood Ali Hai
Mairaj K Pardey Mey bhi Moujood Ali Hai
Nooh thay na Abhi un ka Safina thaa Ali(a.s) tha,
Yasrab thay na Makkah tha Madeena tha Ali(a.s) tha,
AAbid na Ibadat ka Qarina tha Ali(a.s) tha,
Marjao na Marna tha na Jeena tha Ali(a.s) tha,
Na Looh o Qalam thay na MOUA'ALLA tha Ali(a.s) tha,
Malakoot mahel thay na Mohalla thaa Ali(a.s) tha,
Wahid ussi Wahid ka Tajalla tha Ali(a.s) tha,
Us Waqt 'Ali' thay k jab Allah tha,'Ali(a.s) tha.

Monday, November 1, 2010

Koi tu hai 2

Abis sey poch ley koi yeh baar baar kiun ?
Munkir-e-Batool per saawal rakhta hai?

kisi mushkil mey koi mushkil meri mushkil nahi rheti
koi tu hai jo mera khiyal rakhta hai !

Koi tu hai

Ali ka ziker mujhe ba kamaal lagta hai
Woh mere aaib per bhi parde daal rakhta hai

hazaar moat sey nikal k mey ab bhi zinda hun
Koi tu hai jo mera khiyal rakhta hai