Saturday, July 23, 2011

Sher-e-Jali Part 2

Ghazi Abbas ko deke dee(n) ka alam
Bole sibt-e-nabi mera ik kaam kar

Mere bazu alamdar-e-shaah-e-wafa
Ay ghani-o-sakhi mera ik kaam kar

Ay khuda-e-wafa sayyeada ki dua
...Jurraton ke wali mera ik kaam kar

Ay sabke wali ay meri zindagi
Misle naade Ali mera ik kaam kar

Chahta hai ye Shabbir bhai mere
Aaj tak tera jaaho Hasham dekhle

Is tarah shamiyon se tu kar guftagoo
Lahjaye haidery ka bharam dekhle

Ab ye parda utha inko jaake bata
Azme Shabbir azme Hussaini hai kya

Hum muhafiz hai Quran-o-islam ke
Kis liye aaya hai bar sare Karbala

Bol aise ke khaliq ko kehna pare
Zate haider ke aqqas kya baat hai

Aaj nehje balagha ka khaliq kahe
Wah mere laal Abbas kya baat hai !

Baat aqa ki ghazi ne jis dam suni
Daftan sher ne ek angraee li

Shaam ki fauj mein mach gayi khalbali
Log kehne lage aa gaye kya Ali

Aur roohe Ali muskurane lagi!

Bole Abbas ye lashkare shaam se
Wo jo waqif nahi hai mere naam se

Ba khabar wo nahi apne anjaam se
Munsalik mei bhi hu(n) unke paighaam se

Yu(n) nawaza mujhe sheh ne inaam se
Mei bataawu tumhe kon shabbir hai

Aqse islam Quran ki tafseer hai
Khuld baagh-e-iram uski jageer hai

Uske qadmo(n) tale hur ki taqdeer hai
Mere baare mei uski ye taqreer hai

Ye ghulaami ye sheh ka sharaf hai mila
Malka-e-khuld ne mujh ko beta kaha

Naam Abbas Zainab ne mera rakha
Jhula Shabbir ne hai jhulaya mera

Phir Hassan ne gale se laga kar kaha
Pyaas bacho(n) ki laayi yaha tak mujhe

Mashk ek bhar ke le jaawunga neher se
Mere aaqa ne roka laraayi se hai

Warna roke mujhe hosla hai kise
Mei hu betab sunlo yahi ek sada

Wah mere laal Abbas kya baat hai.....!




For Part 1 Click Here

Wednesday, July 20, 2011

Taza Kerbala

Aye qoum phir wohi hai tabahi ka zamana
Islam hai phir teer-e-hawadis ka nishana
Kiun chup hai osi shaan sey phir cher tarana
Tareeq mey reh jaye ga mardon ka fasana

Aye zindagi Jalal-e-shah-e-Mashraqyen dey
Is taza kerbala ko bhi Azm-e-Hussain dey

Sunday, July 17, 2011

Ghazi Ki Ishara

Abbas(a.s) k Qadmon ko Wafa Choom Rahi Hai
Pehlu Me Shuja'at Bhi khari Jhoom Rahi Hai
Haider(a.s ) Ke Ishare Pe Palat Aya Tha Suraj
Ghazi(a.s) key Ishare Pa Zame'n Ghoom Rahi Hai

Monday, July 11, 2011

Ghazi Ki Ata

Kis tarha bataoon tujhe kya baant raha hai
Bas jism nahi rooh ki ghiza baant raha hai
Kuch aise saleeqe se ata karta hai Ghazi (as)
Duniya ye samajti hai Khuda baant raha hai

Sunday, July 10, 2011

Siyasat

Gham-e-Hussain (A.S) main shaamil na kar siyasat ko
Hazaar baar kaha hay mazeed keh dain gay
Kisi hawa nay ulat dee agar naqab teri
to tujh ko daikhnay walay yazeed keh dain gey

Saturday, July 9, 2011

Jeena

Amboh-e-Gham Mey Sabr Ki Talwar ban K Jee
Abbas a.s Ki Wafa Ka Talabgaar Ban K Jee
Is Dor-e-Zolm-o-Jor Ko Dena Hai Gar Shikast
Mazlom-e-Karbala a.s Ka Azadaar ban K Jee

Thursday, July 7, 2011

Shabaan By Shaukat Raza Shaukat

Yun To Hain Sab Maheenay Muqadass Magar,Mustafa Ka Maheena Ye Shaabaan Hai
Jo Nabi K Maheenay Mai Khush Na Rahay,Na Wo Insan Hai Na Musalman Hai
Is Maheenay Ki Azmat Zarra Dekhiye,Kitna Khush Is Maheenay Pe Rehmaan Hai
Maah Ramzaan Mai Ek Shab Khaas Hai,Is Mai Har Shab Mai Tanzeel e Quraan Hai
Is Mai Tareekh Ki Koi Qaid Nahi,Dekhna Kia Ajab Chand 14 K Hain
3 Ho, 4 Ho, 5 Ho, 7 Ho, Is Maheenay Mai Sab Chand 14 K Hain

1st Shaban Janab e Zainab S.A....
is Maheenay Mai Ai Wo Bint e Ali, Jis Nay Sab Ko Shanas e Ali Bakhsh Di
Apnay Khaliq Ki Zeenat Ki Zeenat Bani, Lafz e Baiyat Ko Shrmindagi Bakhsh Di
Wo Samad Zaat BeJism BeJaan Hai, Is Nay BeJaan Ko Jaan Bakhsh Di
Di Muhammad Ko Shabbir Nay Zindagi, Is Nay Shabbir Ko Zindagi Bakhsh Di
Kibriya Ki Sanaa, Deen Ki Baqa, Ye Farayez To Bibi K Mansab Mai Hain
Panjatan Mai Bhi Thay Paanch Nuqtay Magar, Paanch Nuqtay Akeeli Zainab Mai Hain

3rd Shaban Imam Hussain a.s.......
3 Ko Phr Wo Sardar Nazil Hua, Jis K Dam Se Shareeyat Ko Chain Aagaya
Noor Ko Noor Se Ye Basharat Mili, Noor K Noor Ka Noor e Ayn Aagaya
Fakhar Se Yun Muhammad Bhi Goya Huway, Aaj Se Deen Par Mera Dain Aagaya
Muskura Kar Mashiyyat Se Kehnay Lagay, Ab Na Ghabrao Ab To Hussain Aagaya
Ghar K Saaray Makinon Pe Daali Nazar, Phir Kaha Sab Raees e Adan Ho Gaye
Mere Malik Bari Mehrbaani Teri, Is K Aanay Pe Hum Panjatan Ho Gaye.....

4th Shaban Ghazi Abbas Alamdar a.s
4 Shaban Aamad Hai Us Shair Ki, Ban K Zehra Ki Jo Aabroo Aagaya
Naqsh Bhi, Nain Bhi, Khal Bhi Ayn Bhi, Ghar Ali K Hu Ba Hu Ali Aagaya
Le K Qarar Hathon Pe, Taknay Lagay, Kia Koi aaiyna Ru Baru aagaya?
Phr Bal'akhir Pisar Se Ye Bolay Ali, Phir Se Mai Aagaya Hun K Tu aagaya
Ek He Ghar Mai Ab Do Ali Aagaye, Ab Muhbon K Rastay Juda Ho Gaye
Aaj Se To Nusairi Bhi Mushrik Huwe,Aaj Se Un K Bhi 2 Khuda Ho Gaye.....


7th Shaban Shehzada Qasim Ibn e Hassan a.s....
7 Shaban Ko Puch Tareekh Se, Ghar Mai Shabbar K Ek Paak Zaat Aagae
Farsh Pe Ghar Ali Ka Kuch Aesa Saja, Arsh Walon Ki Kull Kaiynaat Aagaee
Sooona Sooona Sa Ghar Sona Sona Hua, Khud Jabin Zair Honay Hayat Aagaee
Is Haseen Shab Mai Qasim Ki Aamad Hui, Khuld Taqseem Honay Ki Raat Aagaee
Gulshan e Panjatan Pe Bahar Aagaee, Ye Haseen Husn e Chaman Ban K Aagaya
Le K Hathon Pe Shabbir Kehnay Lagay, Lo Meri Karbala Ka Hassan Aagaya

11th Shehzada e Ali Akbar a.s
Phir 11 Ko Aesa Haseen Aagaya, Husn Bhi Jis Ka Darweeza Gar Ban Gaya
Jo Zulaikha K SirTaaj Ka Sir Bana, Jis Ki Chokhat Pe Yousaf Nagar Ban Gaya
Jis K Baray Mai Khatm Ul Arsal Nay Kaha, Mere Noor e Nazar Ki Nazar Ban Gaya
Jisko Khaliq Bhi Akbar Banata Raha, Bantay Bantay Muhammad, Magar Ban Gaya
Saaray Andazay Mafroozay Bekar Hain, Uski Apni Tabyat Hai Jesa Lagay
Jiska Bachpan, Nabi Ki Jawani Sa Ho, Kia Khabar Wo Jawani Mai Kesa Lagay?

15th Imam Muhammad Mehdi Akhir Uz Zaman a.s
Chand Ki 14wen, Noor Bhi 14wah, 14wen K Utarnay Ki Shab Doston
Aese Pardon Mai Rehnay Ki Aadat Usay, Jese Ab Tak Hai Parday Mai Rab Doston
Dekh Kar Us, Na Dekhay Ki Raah Dekhna, Kia Khabar K Woh Aajaye Kab Doston
Hum Bulanay K Fun Se Hain Na Aashna, Ye Bhi Mumkin Hai Aata Ho Ab Doston
Mere Mola Meri Aqal Majboor Hai, Qalb K Pass Hai, Aankh Se Door Hai
Aa Humain Aaj Apni Ziyarat Kara, Phir Qayamat Bhi Aaye To Manzoor Hai....!!!!!!!

Monday, July 4, 2011

Hussain Ka Hai

Jahan May Aaj Bhi Zalim Ko Dar Hussain (A.S) Ka Hay,
Jahan Bhi Hoti Hay Majlis Wo Ghar Hussain (A.S) Ka Hay,
Likha Howa Hay Yeh Zulm-o-Sitam K Senay Pay,
Jo Jhuk Saka Na Kisi Say Wo Sar Hussain (A.S) Ka Ha

Nazam By Hazrat-e-Allama Rasheed Turabi

majboor tere ziker sey hein ziker nahi or
leykin hai asar is ka kahin or kahin or

jab nakhsh-e-qadam in k mitata hai zamana
her nakhs ko ley k ubharti hai zameen or

maloom hai parwan-e-haqeqat mey hein kitne
woh shama bujhate hein k hojaye yaqeen or

yeh raat yeh chingariyan is shak k nichey
kia apne bhi tinko jala k yahin or

din dhal gaya bheta hun guzargah mey onki
aese mey woh ajayen tu marjaon yahin or:$

mey apko dhoond aya hun imkan ki hudon tak
ab ap mujeh dhond k ley jaayen kahin or

aye jazb-e-safar khastagi-e-shok mubarruk
rukte hein qadam dil ki hai awaz NAHI OORRRR

aye kafila salar Turabi pey karam hai
woh dekh nahi bethen kuch khak nasheen or