Wednesday, March 23, 2011

Hum Hi Kafi Hen

Ghamon ki bheer mein ghir jayen gay baroz-e-hisaab.
Wahan khushi kay liye in kay ghum hi kafi hain.
Na di namaz ki mohlat Hussain ney Hurr ko.
Bata rahey thay k bakhshish ko hum hi kafi hain.

Aaina-e-Dil

Ya Ali terey siwa koi mera peer nahi
Or aaina-e-dil mein koi tasweer nahi

Haidery naaro'n sey kat jata hai dushman ka jigar
Munkiron kay liye is jaisa koi teer nahi

Bughz-e-Haider b shifa'at ki talab bhi dil mein
Yeh to woh khawaab hai jis ki koi tabeer nahi

Bachey ki Piyaas

Pani Pani kar gyi dariya ko ik bachey ki pyaas
Tashnagi ko saans leney ka kareena agaya
Teer kha kar hans para Asghar kuch is andaaz sey
Sharm sey qatil kay mathey pay pasina agaya

Salami

Abbas ki wafa sey jisey bhi anaad ho
Us ko khitaab-e-kofi-o-shami diya karo
Jab bhi muqabaley mein saffen hun yazeed ki
Abbas kay alam ko salami diya karo

Masti

Malangon ki nigahon mein bari masti nazar aye
Bulandi asmaanon ki inhen pasti nazar aye
Kabhi Behlol ney bechi,Kabhi Hur ney kharidi
Khudawanda teri jannat bari sasti nazar aye

Wednesday, March 16, 2011

Ya Ali Madad 2

Dastey Nabi-o-sher-e-Khuda Ya Ali MAdad

Imkaan ki Sarhadoon se tera Martaba Buland
Tu bhi Buland aur tera Silsila Buland
Har Us Jagah pe tera ab bhi ektedaar hai
Jis jis Jagah hai Parchamey Sidko Saba Buland

Dastey Nabi-o-sher-e-Khuda Ya Ali Madad
Insaniyat ke rahanuma Ya Ali Madad
Dastey Yazeedey Asr mey hai pir nizamey wqt
Har har kadam hai karbobala Ya Ali Madad


Cheeni hawaye gharb ne Fashion ke Naam par
Syedaniyo K sir sey rida Ya Ali Madad
Kohraam hai Khayamey Sadakat me aaj bhi
Ati hai Al atash ki sada Ya Ali Madad

Ahle nazar bhi deney lagey zulm ko khiraaj
Bebus hai kitni khalkey khuda Ya Ali Madad
Ghar jal rahey hai parchamey islam ke taley
Sir hoo rahey hai tan se juda Ya Ali Madad


Had hoo gayi mere Qabiley ke loog bhi
Zulmat ko keh rahey hai zia Ya Ali Madad
Lehraha rahein hai jhoot ke parcham har aik su
Sach bolana hai Jurm khata Ya Ali Madad

Maula bataye jurratey izhaar lut gayi
Seeno me ghut gayi hai Nawa Ya Ali Madad
Hum ney kaha to muridey ilzaam hoo gaye
Khaibar me khud nabi ne kaha Ya Ali Madad

Mushkil nahi aisi koi jiska hal na hoo
Dil se koi Keh tu Zara Ya Ali Madad

Thursday, March 10, 2011

Shabbir Ka Hamla

Dil Hai K Likhon Aj Mey Shabbir Ka Hamla!

3 years ago I heard this poetry by Shaukat Raza Shaukat about the attack Imam Hussain (as) lead on yazid's army on the day of ashura at the battle field of karbala. Whenever we think/talk about Imam Hussain a.s our heart starts sinking by just thinking that how hard the day of ashura was for Him. I've been crying over him and his family since i don't even remember but I do get happy when I read this poetry because it shows how tough the blood of Ali is .


I fall a sleep like a proud man every night after telling myself that ; Islam is the name of Mohammad's insight perception, Abutalib's support, Khadija's money and Ali's courage.

*****

Dil hai k pharon aj mey Shabbir ka Hamla!
buth khano pay tauheed ki tasveer ka hamla
kuffar pay jabbar ki shamsher ka hamla
shabbir ka hamla hai k taqqdeer ka hamla?
yeh jung lari shah nay kuch itnay hunnar say
meydaan mai daad ayi hai Abbas k sir say

After saying the final good bye to his daughter he came to his horse (murtajis) and said :

rahwar say mola nay kaha day wo tajjali
duldul ho pareyshan tou hairan mujjali
bay bas ho jibreel sa aflak muhalli
bas ho teri raftar say vehdat ko tasalli
raazi kia tu ney agar is waqat faqqi ko
chumay ga jahan hasher talak teri shabi ko

Horse ( Zuljinah ) Replied :

Di murtajisi noorey sarapa nay yeh awaz
raftar k anjam say hoga mera aghaaz
khud moat k bas mai nahi paa lay meri parwaz
mey tera hi ijaz say hon sahibe ijaz
is rah mey khud moat bhi do hath chaley gi
shamsheer sey pochyen , woh mere sath chaley gi?

and ..

larnay pay gar dil hai tou phir kahey ka gham hai ?
yeh fatehey mubeen hai k alam main bhi alam hai
kiya kijiye aakhir teri ghutti mai karam hai :)
warna yeh lashkar tou terey ghorey say bhi kaam hai :@
jo aaj merey paaon ki thoker say marengay
wo hasahr talak meri shabi say bhi darengey

He kissed his horse and started a conversation with his sword the one and only "Zulfiqar" :

Shamsher say mola nay kaha chal magar aisey
ho khaibar -o- khandaq mai bhi halchal magar aisey
is thal mai rahey moat ki jal thal magar aisey
is dasht mai ho khoon ki dal dal magar aisey
tu jis pay uttari gayi mai us ka waali hoon!
wo sirf Ali tha mey Hussain ibn-e-Ali hoon!


A long awaited ; blood thirsty Zulfiqar replied :

talwaar pukaari yeh qayamat ka safar hai
ankhen bhi nahi or meri sab pey nazer hai
kaaton kissey, choron kissey mujh ko yeh khabar hai
hathon mey qaza hai meri junbish mey qadar hai
bus rehem ki aye gi sada char taraf sey
mey dasht mey chalti rahon daad aye najaf sey



Hussain !

Gar apni pay aajaon tou ik jast kay ander
sajday mai girren teri adawat k yeh mandar
kiya sher say lar payengay yeh zaat kay bandar?
hai dasht bhicha don yahan lashon ka samandar!
sarkar ka sadqay mai yeh sarey banay hain
hum dono uttarey gaye yeh sarey banay hain

after this the moment arrived when a father who pulled the spear out of his 18 year old son, a father who pulled an arrow out of his 6 month old son, a brother who saw his brother dyeing in his hands, a friend who saw his friends getting martyred in front of his eyes , a person who's throat hasn't felt a single drop of water for 3 days ; yes the son of Fatima and Ali , arrived fearlessly in the battle field of Karbala, pointing his zulfiqar towards yazid's army and said:

Chahon tou yahan moat ka bazaar saja don!
sao (100) bar bana ker tumhein sao bar mita don
khaliq say yeh malik nay kaha aur mai kiya don?
aja mey tujeh ajj teri jang dekha don!
mairaj Mohammed ki hai Mairaj pey jana!
Shabbir ki Mairaj hai Allah ko Bolana

and than he attacked!


piyasay k alfaaz abhi ruk hi nah paye
maidaan mey sajne lage tauheed Saraaye
jabroot ney laahoot k khaimey bhi lagaye
mumkin nahi Shabbir bolaye woh nah aye
markooz howa farsh pey khud arsh-e-ali bhi
piyasey ki larayi ka piyasa tha khuda ki bhi

Bus taigh uthi shor howa zard hue rang
maqtal my panah lene lagey aehen-o-ahang
mazloom, jarri, roop samad, os pey ajal dang
khud jung ney dekhi nah thi aesi bhi kahin jung
jo shaam key they shaam dhaley haanp rahe they
garmi thi qayamat ki addu kaanp rahey they

kia kia nah kahen taig-e-Hussain Ka asar tha
khud seena-e-talwaar pey mardoon ka jiger tha
jungle mey larayi thi , jahanum mey bhi dar tha
jannat ki jagha aman ki hai khauf mager tha
hud hogyi aslaab mey ghabra gaye bachey
kuch maaon k arhaam mey sehma gaye bachey

sholey sey ogalne lagin talwar ki ankhen
dochar howien moath sey do chaar ki ankhen
thin lashkar-e-farrar mey karrar ki ankhen
ankhen nah utha payin thin ashrar ki ankhen
tanhayi mey tanha ney ajab moat macha di
Allah ney bhi Allah ho akber ki sada di


Dekhi na kabhi chasm-e-falak ney yeh larayi
Jibreal ney Mola sey amaan jan ki payi
bando ki katayi mey kahan hai yeh safayi?
sir kat gaye ajsaam ko awaz na ayi!
Jungle mey Mohammed ka Madina utar aya
Khud moat k mathe pey pasina utar aya

Aftermath

jab khoon sey Shabbir ney bhardi woh araazi
yaad agaya islam ko shabbir ka maazi
besakhta khene laga mheshar ka woh qaazi
Shabbir mey raazi tu ab mujh sey ho raazi!
jab or jahan tak mera islam rahe ga
wada howa shabbir tera naam rahe ga

tauheed ki awaaz pey muztar hue masoom
jung rok di khene lage hazir hai yeh halqoom
Abbas ka mola howa lamhaat mey mazloom
bola k Khuda hami ho aye Zainab-o-kulsoom
islam pey gar zulm karey ab bhi zamana
phir sham-e-gharibaan issey chadar sey bachana

os wqt mey utri kahin madar ki sawari
woh phelu shikasta thi buhat dard ki maari
mehzoon hue ashq howe ankh sey jari
athara baras ki woh zaeefa si pukaari
lo mil gaye matti mey meri goad k paale
Ghazi ko bolao mere bache ko bachaley



By Shair-e-Al-e-Imran Janab Shaukat Raza Shaukat...

Tareekh k Ishaare

Samajh zara kabhi tareekh ke ishaaro ko...
Shumaar kar to sahi,saare be-shumaro ko...
Tere lahu me zara bhi agar sharafat hai..
Ghani na kehna Khadija ke qarzdaron ko...

Thursday, March 3, 2011

Matam Ki Saf

Abis k sath dekh inhi matam ki saffon mey

Ruk Ruk k dekhte hen koi Roakta na ho :@

Wednesday, March 2, 2011

AbuTalib

Mumkin hi nahi hashr talak Deen-e-PAYAMBER
Kaabey ke nigheban ka ehsaan bhula dey

Bikhri hai ye awaaz-e-JABRAIL fiza mey
Islam se kehna ABU TALIB ko dua dey