Saturday, June 18, 2011

Matam-e-Hussain by Shaheed Mohsin Naqvi

Dukhte diloon ki sada, Matam-e-hussain (a.s)
yani khiraj-e-sil-e-wafa, Matam-e-hussain (a.s)

jab tak yazidiyat hai muheet dil-e-furat
kerti rahe gi meri Ana, Matam-e-hussain (a.s)

darbar-e-aezdi mien basd ehtamam
taseer iltmas dua, Matam-e-hussain (a.s)

fart-e-alm se mere firshte bhi ro pare
jab gosha-e-lehd mien kia, Matam-e-hussain (a.s)

iss ki dahmk se zalzale qasr-e-yazeed mien
tarkeeb-e-radd-e-ranj o bala, Matam-e-hussain (a.s)

mien soch hee raha tha ilaj-e-gham-e-hayat
be sakhta kisi ne kaha, Matam-e-hussain (a.s)

pabandiyan hazar hoon iss zikr pe magar
Mohsin karien ge hum to sada, Matam-e-hussain (a.s)

Friday, June 17, 2011

Haider Ki adawat

Haider ki adaawat wo jahanum hai ke jis mein.
Ahl-e-amal sab apney amal kar k gawaein.
Rab ne Ali ko rizq ki taqseem ata ki.
Kuch maang kar ley letey hain, kuch bhonk ke khaein.

Ali Ki Gawahi

Takhleeq Abhi Goum thi Hijabat-e-Adam mey
Us Waqt Musauvvir ki Nigahoon mey Ali tha

Jab kon-O-makan Kun kay Iradon mai Nehaan thay
Os waqt Bhi Khaliq k Gawahon mey Ali tha !

Wednesday, June 15, 2011

Ali Ka Matlub!

Kaha Khuda Ney Ali Ke Dushman tu Banda-e-Moatabar Nahi Hai
Utha Na Hathon Ko Meri Janib, Teri Dua Mey Asar Nahi Hai

Ali Ko Logon Ali Samjhna, Ali Ka tum Tarjuma Na Kerna !
Ali tu Ism-e-Khuda Hai Leykin, Ali Ka Matlub Bashar Nahi Hai !

Tuesday, June 7, 2011

Zehra ka Namak

Zehra s.a, teri jageer hai Jannat bhi, Fidak bhi
Ye jabal, ye ashjar, ye paani bhi, falak bhi
Shauhar ki taraf say hain ghulami mein Malak bhi
Bibi s.a teray haq mehr mein shaamil hai namak bhi

Bus teri zameenon pay busi jati hai duniya
Sadiyon say faqat tera namak khati hai duniya

Thursday, June 2, 2011

Parda Daari

Bulandiyon se buland hai muqaam Zainab (S.A) ka,
Durood parhh kay lia kar tu naam Zainab (S.A) ka;
Yeh sar pay chaadarain ab bhi gawahi daiti hain,
Hai pardey-daari ka saara nizaam Zainab (S.A) ka."

Rouza-e-Bibi Zainab s.a