Thursday, July 7, 2011

Shabaan By Shaukat Raza Shaukat

Yun To Hain Sab Maheenay Muqadass Magar,Mustafa Ka Maheena Ye Shaabaan Hai
Jo Nabi K Maheenay Mai Khush Na Rahay,Na Wo Insan Hai Na Musalman Hai
Is Maheenay Ki Azmat Zarra Dekhiye,Kitna Khush Is Maheenay Pe Rehmaan Hai
Maah Ramzaan Mai Ek Shab Khaas Hai,Is Mai Har Shab Mai Tanzeel e Quraan Hai
Is Mai Tareekh Ki Koi Qaid Nahi,Dekhna Kia Ajab Chand 14 K Hain
3 Ho, 4 Ho, 5 Ho, 7 Ho, Is Maheenay Mai Sab Chand 14 K Hain

1st Shaban Janab e Zainab S.A....
is Maheenay Mai Ai Wo Bint e Ali, Jis Nay Sab Ko Shanas e Ali Bakhsh Di
Apnay Khaliq Ki Zeenat Ki Zeenat Bani, Lafz e Baiyat Ko Shrmindagi Bakhsh Di
Wo Samad Zaat BeJism BeJaan Hai, Is Nay BeJaan Ko Jaan Bakhsh Di
Di Muhammad Ko Shabbir Nay Zindagi, Is Nay Shabbir Ko Zindagi Bakhsh Di
Kibriya Ki Sanaa, Deen Ki Baqa, Ye Farayez To Bibi K Mansab Mai Hain
Panjatan Mai Bhi Thay Paanch Nuqtay Magar, Paanch Nuqtay Akeeli Zainab Mai Hain

3rd Shaban Imam Hussain a.s.......
3 Ko Phr Wo Sardar Nazil Hua, Jis K Dam Se Shareeyat Ko Chain Aagaya
Noor Ko Noor Se Ye Basharat Mili, Noor K Noor Ka Noor e Ayn Aagaya
Fakhar Se Yun Muhammad Bhi Goya Huway, Aaj Se Deen Par Mera Dain Aagaya
Muskura Kar Mashiyyat Se Kehnay Lagay, Ab Na Ghabrao Ab To Hussain Aagaya
Ghar K Saaray Makinon Pe Daali Nazar, Phir Kaha Sab Raees e Adan Ho Gaye
Mere Malik Bari Mehrbaani Teri, Is K Aanay Pe Hum Panjatan Ho Gaye.....

4th Shaban Ghazi Abbas Alamdar a.s
4 Shaban Aamad Hai Us Shair Ki, Ban K Zehra Ki Jo Aabroo Aagaya
Naqsh Bhi, Nain Bhi, Khal Bhi Ayn Bhi, Ghar Ali K Hu Ba Hu Ali Aagaya
Le K Qarar Hathon Pe, Taknay Lagay, Kia Koi aaiyna Ru Baru aagaya?
Phr Bal'akhir Pisar Se Ye Bolay Ali, Phir Se Mai Aagaya Hun K Tu aagaya
Ek He Ghar Mai Ab Do Ali Aagaye, Ab Muhbon K Rastay Juda Ho Gaye
Aaj Se To Nusairi Bhi Mushrik Huwe,Aaj Se Un K Bhi 2 Khuda Ho Gaye.....


7th Shaban Shehzada Qasim Ibn e Hassan a.s....
7 Shaban Ko Puch Tareekh Se, Ghar Mai Shabbar K Ek Paak Zaat Aagae
Farsh Pe Ghar Ali Ka Kuch Aesa Saja, Arsh Walon Ki Kull Kaiynaat Aagaee
Sooona Sooona Sa Ghar Sona Sona Hua, Khud Jabin Zair Honay Hayat Aagaee
Is Haseen Shab Mai Qasim Ki Aamad Hui, Khuld Taqseem Honay Ki Raat Aagaee
Gulshan e Panjatan Pe Bahar Aagaee, Ye Haseen Husn e Chaman Ban K Aagaya
Le K Hathon Pe Shabbir Kehnay Lagay, Lo Meri Karbala Ka Hassan Aagaya

11th Shehzada e Ali Akbar a.s
Phir 11 Ko Aesa Haseen Aagaya, Husn Bhi Jis Ka Darweeza Gar Ban Gaya
Jo Zulaikha K SirTaaj Ka Sir Bana, Jis Ki Chokhat Pe Yousaf Nagar Ban Gaya
Jis K Baray Mai Khatm Ul Arsal Nay Kaha, Mere Noor e Nazar Ki Nazar Ban Gaya
Jisko Khaliq Bhi Akbar Banata Raha, Bantay Bantay Muhammad, Magar Ban Gaya
Saaray Andazay Mafroozay Bekar Hain, Uski Apni Tabyat Hai Jesa Lagay
Jiska Bachpan, Nabi Ki Jawani Sa Ho, Kia Khabar Wo Jawani Mai Kesa Lagay?

15th Imam Muhammad Mehdi Akhir Uz Zaman a.s
Chand Ki 14wen, Noor Bhi 14wah, 14wen K Utarnay Ki Shab Doston
Aese Pardon Mai Rehnay Ki Aadat Usay, Jese Ab Tak Hai Parday Mai Rab Doston
Dekh Kar Us, Na Dekhay Ki Raah Dekhna, Kia Khabar K Woh Aajaye Kab Doston
Hum Bulanay K Fun Se Hain Na Aashna, Ye Bhi Mumkin Hai Aata Ho Ab Doston
Mere Mola Meri Aqal Majboor Hai, Qalb K Pass Hai, Aankh Se Door Hai
Aa Humain Aaj Apni Ziyarat Kara, Phir Qayamat Bhi Aaye To Manzoor Hai....!!!!!!!

No comments:

Post a Comment