Sunday, April 17, 2011

Jannat Ki Chahat

Fitrat yeh keh rahi hai ke konain ka naseeb.
Tehreer hai HUSSAIN ki zakhmi jabeen per.
dekho arooj-e-khak-e-rah-e-Karbala kay aaj.
Jannat yeh chahti hai "mein hoti zameen per

Thursday, April 14, 2011

Ya Ali Madad 3

Baad-e-Naseem kehti hai her gul ko cher ker
Tum bhi tho muskura k kaho Ya Ali (A.S) Madad

Hum ne kaha tho moorid-e-ilzam ho gye
Khyber main khud Nabi (S.A.W) ne kaha Ya Ali (A.S) Madad

Momin ki hai sada qalander ka qaul hai
Munkir ka dil jala k kaho Ya Ali (A.S) Madad

So ker khuda ki sari rizain kahreed leen
Jibreel (A.S) ne jaga k kaha Ya ALI (A.S) Madad

Mohsin meri lehad main woh manzer ajeeb tha
Jab main ne khud ALI (A.S) se Kaha Ya ALI (A.S) Madad

Monday, April 11, 2011

Maa Ki Aaghosh

Maa ki aaghosh mein wo jam piya hai mein ne
Lab hilay tau Ali (A.S) naam liya hai mein ne
Aur mili quwwat-e-junbish jo meray haathon ko
Goad mein maatam-e-Shabbir kiya hai mein ne

Zehra Ka Hath

“Be khof ho rahi hai Azadari e HUSSAIN (A.S),
Dil ko sukoon hai ke Alamdar (A.S) saath hai;
Sadiyon se ek pal bhi ye Panja na jhuk saka,
ABBAS (A.S) teray haath pe ZEHRA (S.A) ka haath hai.”

Paristar

Tehreek-e-zul-o-jaur gawara nahin kartay,
Hum daulat-e-dunia pay sahara nahin kartay;
Hum 12 imamon (a.s) kay paristar hain logon,
Marr jatay hain, ghairon ko pukara nahin kartay

Syelaab

Bharti Hai Barhami Si Zara Noor-e-Ayen Mey
Milta hai izteraab Yunhi Dil k Chain Mey

Syelaab Dekhta Hon Tu Ata Hai Yeh Khiyal
Paani Bhatak Raha Hai Talaash-e-Hussain Mey

Saturday, April 9, 2011

Momin Ki Ziyarat

Kis Ko Maloom Hen Is Qabr K Ayezaz Jahan
Kursi-e-Shah-e-Wilayat ho Sadarat K liye

Yeh Alag Baat K Hojata Hai Deedar-e-Ali
Khud Ali Atey Hen Momin Ki Ziyarat K liye!

Janab-e-Molana

Naza ka wqt yaqeenan bara hi mushkil hai

Jo bey wila hen woh is marhaley sey darte hen

Yeh moath hogi musibat Janab-e-molana!

Humey pata nahi, hum tu Ali pey marte hen

Ali Asgher ( Chote Ali )

Larne ki umr bhi nahi ,tayar bhi nahi

Tan pey koi ziya nahi, hatiyar bhi nahi

Chotey Ali ki ajj larai tu dekhiye!

kerte hen qatal hath mey talwar bhi nahi!

Ali sey Mulaqaat

Wabasta lehed mey ho meri zaat Ali sey
Mumkin ho k hojaye kabhi baat Ali sey

Shaukat mujeh marna hai basad shokh Gawara
Hoti hai ager marke mulaqaat Ali sey :)

Friday, April 8, 2011

Neher Per Asar

Inhe kab ikteyar-e-khushk-o-tar haasil nahi hote
Mager Sabr-o-raza waley idher maail nahi hote

Asar Hai Neher Per Shabeer Ki Tashna Dahani Ka
K paani taaba lub hai ter lab-e-sahil nahi hote

Wednesday, April 6, 2011

Sulh-e-Hassan

Hassan yeh khete they kerlyen jafa, jafa waley
Khuda ka raaz batate nahi khuda waley

Sawal mujh sey jo kerte ho sulha kiun kerli?
jawab is ka tumhe dyen gey kerbala waley

Tuesday, April 5, 2011

Gham-e-Firaaq

Khuda ney bhej di baad-e-Nabi Hussain k ghar
Rakhi thi apne liye jo Shabi-e-Pyeghambar

Gaye Rasool Udher Akbar iss taraf Aye
Gham-e-firaaq Ka shikwa raha idher na udher

Nam-e-Wafa

Nah hon gey bhai bhi Abbas-e-zee hasham Ki tarhan
Manaya jata hai gham jin ka Sheh k gham ki tarhan

Nah chori taa dam-e-akhir iteaat-e-shabbir
Buland ker gaye nam-e-wafa alam ki tarhan

Monday, April 4, 2011

Sakina ka Wasta

Bey Aas Hokey jab mere ehsas agaye

Kuch aashina sey naam mujhe raas agaye

Maangi madad jo deyke Sakina ka wasta

Phele Ali sey Hazrat-e-Abbas agaye !

Sunday, April 3, 2011

Nehaj-ul-Balagha / Quran

Sab Kitabyen Hen Riayaa, Badshah Quran Hai
Ek Hidayat Ka Mukammal Silsila Quran Hai

Hain Azal Say Abad Tak, Quran Kay Waris Wohi
Jin Kay Ghar Ka Bacha Bacha, Bolta Quran Hai

Naam Donoo Per Likhe Hen Warna Duniya Pouchti
Koan Si Nehaj-ul-Balagha , Koan Sa Quran Hai!

Saturday, April 2, 2011

Khuda Ko Moo Dekhana

Mere Amaal Ki Copiyan kaali Hen Kuch Khali
Nahi Hai Rasta Koi Bhi Os K Pass Janey Ka

Marron Mey Tu Mere Moo Per Lagana Khaak Karbal Ki
Bahana Koi tu Hona Khuda Ko Moo dekhane Ka

Friday, April 1, 2011

Ali ka laal

Ehsan Manta Hoon Mey Ummil Baneen Ka
Kaabe Ka rukh Nahi Kia Angan ko Chor Ker

Warna Ali ka lal yaqeenan Ali hi Tha
Aata woh bhi Kaabe ki Dewaar Tor Ker!

A Beautiful Nazam - Shahzada-e-Aun (A.S)

Maa ne isay khud haider-e-karrar banaya
Shabbir ne rahwaar pe dilber ko bithaya
Abbas ne phir jaang ka aaieen bataya
jab naad-e-Ali perh ke wo maidaan mai aya
wallah wo es shaan se maidaan mai utra
jaisay koi QURAAN ho juz-daan mai utra

keein shair ke shagird ne jab oonchi nigahain
ha ho ki jagah lainay lagien kanpti aahain
karrar ke farzand ne jab khool dien banhain
Mastood huwien lashkaar-e-kuffar ki rahain
bolay ke mera mansab-e-ajdad hai GHAZI
larna ho to aao mera ustaad hai GHAZI

kam zarf thay lartay bhi kahan aali sharaf se
daar daar ke aadu hatnay lagay apne hadaf se
bas reham karain aai sada chaar taraf se
tab shah-e-madina ne kaha shah-e-najaf se
youn tishna dahan aap ne bhi jang larri hai?
daikhain to qaza bandhay huway hath khari hai

shahbaaz ke hamlay ne zameen sari hila di
pindaar-e-umayya ki bhi dastaar girra di
bayyat ki jabeen sersh ke paoon pe jhuka di
lashkaar ki taraf daikh ke GHAZI ne sada di
tum jaang pe tyaar thay karrar ki khou se
ab bach ke dikhaoo mujhe haider ke lahoo se

kia jaang thi kia walwala-e-naaz-e-arab tha
touheed se her naqsh-e-ada daad talab tha
wallah ghazab-ullah ke chehray pe ghazab tha
ruktti bhi qaza kaisay ousay paas-e-adab tha
shagird ko abbas-e-jareen thamnay aye
jo samnya aye wo na phir samnay aye

jab OUN ke qadmoon pe jabeen raiz qaza thi
talwaar ki tehreek mai khaliq ki riza thi
Shabbir ke hontoon pe tabasum tha dua thi
9 lakh zubanoon pe yehi aik sada thi
karrar hain jarrar hain jangju hai wali hai
maray gaye es gher mai to saray hi ALI hain

Qasida by Mirza Ghalib

SALAM USEY KE AGAR BAADSHAH KAHEN USKO
TO PHIR KAHEn KE KUCH ISSE SAWA KAHEn USKO

NA BAADSHAH, NA SULTAAn YEH KYA SATAESH HAI
KAHO KE KHAMISE AALE ABA KAHEIn USKO

KHUDA KI RAAH MEIn SHAAHI WA KHUSRAWI KAISI
KAHO KE RAHBARE RAAHE KHUDA KAHEn USKO

KHUDA KA BANDA, KHUDAWANDGAR BANDOn KA
AGAR KAHEIn NA KHUDAWAND KYA KAHEIn USKO

FAROGHE JAUHARE EIMAAn, HUSSAIN IBNE ALI
KE SHAMME ANJUMANE KIBRIYA KAHEn USKO

KAFEELE BAKHSHISHE UMMAT HAI BAN NAHEIn PARTI
AGAR NA SHAAFAEY ROZEY JAZA KAHEIn USKO

MASEEH JIS SE KAREY AKHZE FAIZE JAAn BAKHSHI
SITAM HAI KUSHTAEY TEGHE JAFA KAHEIn USKO

WOH JIS KE MAATAMIUn PAR HAI SALSABEELE SABEEL
SHAHEEDE TASHNALABEY KARBALA KAHEIn USKO

ADU KE SAMEY REZA MEIn JAGAH NA PAAEY WOH BAAT
KE JINNO INSO MALAK SUB BAJAA KAHEIn USKO

BAHUT HAI PAAYAE GARDE RAHE HUSAIN BULAND
BAQADRE FAHEM HAI GAR KEEMYA KAHEIn USKO

NAZARA SOUZ HAI YAAn TAK HAR EIK ZARRAEY KHAAK
KE EIK JAUHARE TEGHE QAZAA KAHEIn USKO

HAMAREY DARD KI YARAB KAHIn DAWA NA MILEY
AGAR NA DARD KI APNE DAWA KAHEIn USKO

HAMARA MUnH HAI KE DEIn USKE HUSNE SABR KI DAAD
MAGAR NABI WA ALI MARHABA KAHEIn USKO

ZAMAME NAAQA KAF USKEY MEIn HAI KE HAAEY GHAZAB
PAS AZ HUSAINE ALI PESHWA KAHEIn USKO

WOH REIGE TUFHTAEY WAADI PA GAAM FARSAA HAI
KE TAALIBAANE KHUDA RAHNUMA KAHEIn USKO

IMAAME WAQT KI YEH QADR HAI KE AHLE ENAAD
PIYAADA LECHALEIn AUR NASAZAA KAHEIn USKO

YEH EJTEHAAD AJAB HAI KE EK DUSHMANE DEEn
ALI SE AAKE LARE AUR KHATA KAHEIn USKO

YAZID KO TO NA THA IJTEHAAD KA PAAYA
BURA NA MAANIYE GAR HUM BURA KAHEIn USKO

ALI KE BAAD HASSAN, AUR HASSAN KE BAAD HUSAIN
KAREY JO INSE BURAAI BHALA KAHEIn USKO ?

NABI KA HO NA JISEY AITEQAAD KAAFIR HAI
RAKHE IMAM SE JO BUGHZ KYA KAHEIn USKO

BHARA HAI GHALIBE DIL KHASTA KE KALAM MEIn DARD
GHALAT NAHEIn HAI KE KHOONEEn NAWA KAHEIn USKO


By Mirza Ghalib ( Translation available upon request )

Hussain likhna

Khuloos-e-Dil ki Roshnaai le kar
Ba Deeda Tar Hussain Likhna
Tum Aisa karna Kitab-e-Dil ke
Waraq Waraq Par Hussain liknna

Huroof Khushboo ke Phool Ban kar
Tumharay Seenay Main Khil Uthain ge
Tum aisa Karna Ke Apni Ankhown
Aur Apnay Lab Par Hussain liknna

Ye Pairh Saaray Ye Sab Parinday
Adab Se Sajda Karain Ge Unn ko
Tum Aisa Karna Ke Unn Hawaown
Ki Jhaalarown Par Hussain liknna

Tumharay Taareek Manzarown Main
Ujaalay Phootain Ge Noor Ban Kar
Tum Aisa Karna Ke Apnay Ghar Main
Darood Parh Kar Hussain liknna

Kasheed Kar Ke Gullab Ka Araq
Fizaa Main PaiHam Chhirhakna Uss Ko
Phir Unn Sunehri Fizzaoun Par Tum
Raushni Ka Paikar Hussain liknna

Hussain likh Kar Phir Uss Ko Likhna
Phir Uss kO Likh kar tum Aisa Karna
Ke Aj Tak Tum Ne Jo Be Likha HO
Tum Uss Ka MehWar Hussain liknna

Aazan DainGi Tumhari Aankhain
Namaz Misray Adaa Karain Gi
TUm Aisa Karna K Rah-e-Haqq Main
Hussain Parh kar Hussain liknna

Wo Barchhiyan Wo Chamaktay KhanJar
wo TapTay Sehraa Pukaartay hain
Tum Aisa Karna K KarBalaa ke
Badan Pe Ja Kar Hussain liknna

Agar Kitaabat Ka Shauq Ho to
Kitaab-e-Sabar-0-Razaa Main Rahat
Jahan Shaheedown Ka Naam Likhna
to Sab se OOpar Hussain liknna

Hussaini

Khuda ki lanat tera muqaddar,
Khuda ki rehmat naseeb mera
Mujhe to manzoor hai ye sauda,
yazid tera HUSSAIN(as) mera :)



Aza k din hein , jaza k din hein, wila k din hein, dua k din
Hum sab ki yeh dua sunley malang masto ko chain deyde

Hasab nasab ka khiyal ker k mere khuda bant dey manasib
Hussainiyo ko Hussain dede / yazidiyon ko yazid deyd

Zikr-e-Shabbir

Apni Taqdeer Jagatay Hain Tere Matam Se
Khoon Ki Rah Bichatay Hain Tere Matam Se

Apne Izhar-e-Aqeedat Ka Saliqa Yeh Hai
Hum Naiya Saal Manatay Hain Tere Matam Se

--------------------------------------------

Jab kabhi zikr-e-Hussian ka bayan hota hey
To Bughz chehra e Eblees say ayan hota hey

Kiya ajab raz matam e Shabbir main hey
Hath parta hey yahan dard wahan hota hey

Darmiyan Sey

Mene lia tha naam Ali ka zaban sey
Baten demagh kerne laga asman sey

Jis ney milayen ankkhen Mohammad sey aik baar
2 kerdia Ali ney ossey darmiyan sey

Khutba-e-Sani-e-Zehra s.a

Asmat sey bana hai mere Shabbir ka paiker
Tuu Naar hai woh Noor ki tanveer ka paiker

Takhreeb tera azam, woh taameer ka paiker
Tuu rijs sarapa hai, woh tatheer ka paiker

Tuu jismon ka hakim hai, woh zehnon ka wali hai
Tuu Mawiyaa Zaada, woh Hussain Ibn-e-Ali hai...

Bibi ney kaha...

Lamhaat main ik moajza kar jata hai Shabbir...
Merta nahi Zehnon mein uter jata hai Shabbir...

Simtey tu ikaaee mein nikhar jata hai Shabbir...
Phailay tu bahatter mein bikhar jata hai Shabbir...

Woh jeet gaya na, tuu bata haar gaya na???????
Tuu maarna chahta tha, tujhey maar gaya na????????

......

Taaareekh malay gi tere chehrey pe siyaaahi...
Thoookein gein teri kabar pe Ghairat k sipaahi...

dein gi teri zillat ki sab aqwaam gawahi...
ab aa hi gaee hoon tu karoon gi yahan Shahi...

Kar doon gi kalam Mufti-ey-Katib k qalam ko....
Ghar Ghar pe laga doon gi mein Ghazi k ALAM ko...

Matmi Libaas

Yeh maatmi libaas hai mazloom ki hayat
Is rang main hi khud ko bassa lo tu baat hai
Hum bhee tumharay sath hain is jang main magar
Har zulm per jaloos nikalo to baat hai

Adalat

Adal jamhoriyat mein lazim hai
tum ne yeh feslay kahan se liye?
jin ke haan deen hi main adal nahi
woh pareeshan hain adalia ke liye?

---------------------------------------------

Syeda hain do jahan ki maalkin
aur tum un ka namak bhee kha gaye
aaj ladtay ho adalat kay liye
kal adalat mein fidak bhee kha gaye!