Tuesday, February 9, 2016

Wasf -e- Ali

Wasf e ali raqam jo keye jaa raha hun main
Kaffar e gunah diye jaa raha hun main
Dast e gunah se daman e dil chaak chaak hai
Ashkon ke taar leke siye jaa raha hun main
dil me jalake aatish e hubb e abu turaab (a.s)
Daman e tar ko anch diye jaa raha hun main
Gar sad-hazaar mushkilen aayen to kya khatar
Mushkil kusha ka naam liye jaa raha hun main
Haq goi shar se ulfat e aal e rasool hai
Baatil ka parda chaak kiye jaa raha hoon main
Zaail ho kese nasha e sahba e hubb e deen
Chauda pila rahen hain piye jaa raha hun main
In-aame zadi ki nahi koi intehaa
Wo de raha hai aur liye jaa raha hun main
Duniya se kuch bhi zaade safar le saka na saath
Daagh e gham e Hussain liye jaa raha hun main
Zaahid suna hai naza me aayenge murtuza
Yun maut ki khushi me jiye jaa raha hun main

No comments:

Post a Comment