Monday, October 21, 2013

Inteha-e-ALI

Ali shaoor ki sarhad may aa saka bhi NAHI,
Ye Inteha-e-ALI hai k Inteha bhi NAHI,
Ali Khuda or Muhammed k baad sub say Buland,
Ye meray zehan ki had hai magar pata bhi NAHI,
Tamam mushkilain hal ho gain lamhon may,
Abhi may soch raha tha ALI kaha bhi NAHI,
Ajeeb MARZ hai Bughz-e-ALI WALI jis may,
koi dawa bhi NAHI hai koi SHIFA bhi NAHI,
Baghair ISHQ-E-ALI tu nay is zamanay may,
taweel umr guzari magar jiya bhi NAHI,
jisay ALI ki Mohabbat may MAUT aai hai,
Maza ye hai wo Mar bhi gaya Mara bhi NAHI,
ALI say Hashr may ALLAH khud ye keh day ga,
koi TERA bhi NAHI hai to phir MERA bhi NAHI,
tera Libaas-e-Shariat WILA k dhagay say,
agar Sila bhi NAHI hai to phir SILA bhi NAHI,
Andhair Qabr may ye sochna k AJR-E-RASOOL,
wahan diya bhi NAHI hai to yahan Diya bhi NAHI,
ALI WALI k ado or KEYA Saza ho tujhay,
Namaz parh bhi raha hai magar Ada bhi NAHI"

No comments:

Post a Comment