Tuesday, February 9, 2016

Or Hai ?

Jo Taahe Khajar Kiya Jaye woh Sajda or Hai 
Bandagi Ki Laaj Rakhley Woh Banda Or 

Khoon ki Azmat Or Mathe Ka Paseena Or Hai 
Anbiya Sey Kia Taqabul Mera Mola Or Hai 

Gharq Ker K Bidaton Ko Mere Aansoo Her Baras
Muftiyon Sey Pochtey Hein Koi Fatwa Or Hai ?

Tu Dhoondney Waley Jawab e Murtaza Yeh tu Bata
Koi Nuqta Ba e Bismallah Jesa Or Hai ?

Is Liye Akar Woh Essa Ko Pharayen Gey Namaz
Sheer e Maryam Or Hai , Sheer e Zehra Or Hai

Alqama Abbas K Chullu Ka Anadaza Na Ker
Tujhe Mey Pani Hi Nahi Chullu Ka Ghera Or Hai 

Sher Ney Yeh Alaqama K Pherey Daron Sey Kaha 
Is Pey Qabza HoChuka ! Ab Koi Dariya Or Hai ?

Sher Kheletey Hein Hum Bhi Aey Bilal e Kazmi 
Madhe Mola Mey Magar Meesum Ka Lheja Or Hai ..


Mola Ko Khat

Jazba e Ulfat e Sarkar Ney Khat Likha Hai 
Aik Shehenshah Ko Nadaar Ney Khat Likha Hai 

Is Liye Askhon Sey Likha K yeh Zahir Hojaye 
Shah e Wala K Azadar Ney Khat Likha Hai

Waris e Asghar e Byesheer Tujhe Kaabe Ki 
Muskurati Hue Deewar Ney Khat Likha Hai 

Lab e Sajjad Pey Tashdeedey Tabasssum K Liye 
Jazba e Hazrat e Mukhtar ney Khat Likha Hai 

Apney Ajdad K Parcham Ko Sambhalo Aker
Kattey Hathon Sey Alamdar Ney Khat Likha Hai 

Dil Sey yeh Izat o Tauqeer Mubarruk ho Habib
Apko Syed e Abrar Ney Khat Likha Hai 

Meri Wasiyat


Gulaam e Fatah e Badr o Hunain Lieh dena
Ya Sogwarey Shah e Mashraqain Likh dena
Agar Koi Bhi Wasiyat, Jo Meri Yaad Na Ho
Merey Kafan Pey Faqat Ya Hussain a.s Likh dena

Wasf -e- Ali

Wasf e ali raqam jo keye jaa raha hun main
Kaffar e gunah diye jaa raha hun main
Dast e gunah se daman e dil chaak chaak hai
Ashkon ke taar leke siye jaa raha hun main
dil me jalake aatish e hubb e abu turaab (a.s)
Daman e tar ko anch diye jaa raha hun main
Gar sad-hazaar mushkilen aayen to kya khatar
Mushkil kusha ka naam liye jaa raha hun main
Haq goi shar se ulfat e aal e rasool hai
Baatil ka parda chaak kiye jaa raha hoon main
Zaail ho kese nasha e sahba e hubb e deen
Chauda pila rahen hain piye jaa raha hun main
In-aame zadi ki nahi koi intehaa
Wo de raha hai aur liye jaa raha hun main
Duniya se kuch bhi zaade safar le saka na saath
Daagh e gham e Hussain liye jaa raha hun main
Zaahid suna hai naza me aayenge murtuza
Yun maut ki khushi me jiye jaa raha hun main

Shan e Imam e Zamana a.s

Woh ghar k jisme her koi aala dekhayi dey
Os ghar mey bhi bus aik hi ziada dekhayi dey

Aye kash mey sadaon ko tasweer kersakon 
Bus alajal kahon tu sarapa dekhayi dey

Aye zulfiqar koan si ankhen hen tere pass
Mheshar talak ka Her tujhe shajra dekhayi dey

Do chaar murtaza k faqeeron ki kher ho
Warna yeh kayenaat hi kufa dekhayi dey

Do lafz phar lye tu yeh Aalam ghurror ka
Mullah yeh chatha hai k Mola dekhayi dey

Zamana Hussain (A.S) Ka



Afzal Hai Kul Jahan Sy Gharana Hussain Ka,  
Nabiyon Ka Tajdaar Hai Nana Hussain Ka,  
Ik Pal Ki Thi Bas Hakoomat Yazeed Ki,  
Sadiyaan Hussain Ki Hain, Zamana Hussain Ka…

Wednesday, March 26, 2014

Meesum Ki Awaz

Kia Kia Kiya , Kia Kia na Kiya is Zeest mey Abis
Sab Janta Hai Mere her raaz Ko Chupaney Wala

Her Doar Mey Nam-e-Ali Jab bhi lia tu Meesum ne kaha
Yeh Hai Meri Awaz Mey Awaz Milaney Wala

Saturday, March 8, 2014

Ghazi Ka Rizq

Jab Talak Dum Hai Bhare Jayen Gey Dum Ghazi Ka
Yeh Bhi Hum Per Hai Haqeeqat Mey Karam Ghazi Ka

Yeh Sabeelyen , Ye Niyazyen, Yeh Tabarruk Shaukat
Rizq Khaye Hi Chaley Jatey Hen Hum Ghazi Ka



Khulasa-e-Qayam

Aye Muhammad Sey Muhammad Ka Khulasa Qayam
Aa Teri Deed Sey Ankhon Key Yeh Sagar Bharlyen

Wajhe Yazdaan Sey Masoom Naqaben Tu Hata
Hum Tujhe Dekh Key Chauda Ki Ziyarat Kerlyen

Thursday, February 27, 2014

Meri Sifaarish

Gardish Ko Kya Khabar K Main Kis Ki Dua Me Hun

Bachpan Se Hi Hisar_e_Hadees_e_Kisa Me Hun

12 Imam as Meri Sifarish Karen Gey Kal

Main Aaj Se Hi Khuld Ki Aab_o_Hawa Me Hun

Sargoshi Kr Raha Hy Qalam Mujh Se Bar Bar

Zikr_e_Ali Liye Main Dar_e_Syeda Pe Hun

Mehsoos Ho Rahi Hai Khurasan Ki Mehak

Mimber Pe Hun K Shehar.e.Imam.e.Raza (as) M

Sunday, February 16, 2014

Mola Ali

Chehra hai k Anwaar -e- Do Alam ka Saheefa 
Aankhein hein k Behreen e Taqaddus k Nageen hain 
Matha hai k wahdat ki tajalli ka warq hai 
Aariz hein k "WalFajr" ki ayat k ameen hain 

Gaisu hein k "Wallaiel" k bikhrey huve saaye 
Abru hein Qauseen -e- Shab -e- Qadr khuley hein 
Gardan hai k Bar Farq-e-Zameen Aouj-e-Surayya
Lab,Soorat-e-Yaqoot Shuaaon mein dhuley hein

Qadd hai k Nabuvvat k Khud o Khaal ka Maiyar 
Baazu hein k Touheed ki Azmat k Alam hein
Seena hai Ramz-e-Dil Hasti ka Khazeena
Palkein hein k Alfaaz-e-Rukh-e-Loh-o-Qalam hein

Baatein hein k Tooba ki chatakti hui kaliyan
Lehja hai k Yazdaan ki zubaan bol rahi hai
Khutbey hein k savan k umandtey huve darya
Qirat hai k Asraar e Jahan khool rahi hai

Ye Daant , Ye Sheraza-e-Shabnam k tarashey
Yaqoot ki vadi mein damaktey huve heerey
sharminda e Taab e lab o Dandan e Payambar (SAWW)
Harfey ba sana khaani o Khama ba Sareery

Ye moj e Tabassum hai k rangon ki dhank hai
ye aks e matanat hai k thehra hua mosam
Ye shukr k sajdey hein k ayaat ki tanzeel
Ye aankh k aansu hein k ilhaam ki rim jhim

Ye Haath ye kounain ki taqdeer k auraaq 
Ye khatt , ye Khud o Khaal e Rukh e Mushaf o Injeel
Ye paaon ye mehtaab ki kirnon k ma'abid
Ye naqsh e qadam , bosa Gah-e-Raf raf o Jibreel

Ye Rif'at e Dastaar hai ya aoj e takhayyul
Ye Band e Qaba hai k shaguft e gul e Naheed
Ye saya damaan hai phela hua badal
ye subh-e-giraibaan hai k khamyaza -e- Khursheed

Ye dosh e pa chadar hai k bakhshish ki ghata hai
ye mohre nabuvvat hai naqsh e Dil e Mehtaab
Rukhsaar ki Zav hai k Namu Subh e Azal ki
Aankhon ki malahat hai k roy-e shab e kam Khaab

Wo ilm k Quraan ka teri itrat ka qaseeda
Wo Hilm k dushman ko b ummeed e karam hai
Wo Sabr k Shabbeer (AS) teri Shaakh e Samar daar
Wo Zabt k jis Zabt mein Irfaan o Umam hai

"Aurang e sulaimaan" teri nalain ka khaaka
"Aijaaz e Maseeha" teri bikhri hui khushbu
"Husne yade beza" teri dehleez ki kheraat
Kounain ki saj dhaj teri araiesh e Gaisu

Sar chashma e kousar tere seeney ka paseena
Saya teri deevar ka maiyar e iram hai
Zarrey teri mah o anjam e Aflaak
"sooraj" tere rahvaar ka ik naqsh e qadam hai

Zaahir ho tou Har barg e gul e tar teri khushbu
Ghaieb ho dunya ko sarapa nahi milta
Wo Ism , k jis Ism ko lab choom lein har bar
Wo jism k sooraj ko b saya nahi milta

Haider (as) teri haibat hai tou Husnain(as) tera Husn
Ashaab wafadar tou Naieb tre Masool
Salma teri ismat hai Khadeeja teri touqeer
Zahra (SA) tri qismat hai tou Zainab(SA) tera maqsoom

Kis Rang se tarteeb tujhey dijiye mola ??
Tanveer k tasveer , tasavvur k musavvir??
Kis naam se imdaaad talab kijiye tujh se
Yaseen k Taaha , k muzammil k mudassir ??

Maidaan tere Buzar (RA) ki Hukoomat k muzafaat
Kohsaar trey Qanbr o Salmaan (ra) k baserey
Sehra trey Habshi ki mohabbat k Musalley !
Gulzaar trey Meesam o Miqdaad(ra) k derey 

Zehan mein aaye k tu utra tha kahan se
Kia koi bataye teri sarhad hai kahan tak ??
Pohanchi hai jahan par tri Na'lain ki matti
Khaakistar-e-Jibreel b pohanchey na wahan tak

Aey Fik e Mukammal , Rukh e Fitrat Lab e Alam 
Aey Haadi e Kull , Khatm e Rusul , Rehmat e peham
Aey Waaqif e Meraaj e Bashar , waaris e Kounain
Aey maqsad e takhleeq e zamaan , Husne Mujassam

Aey baies e Aaien e Shabo roz e Khalaieq 
Aey Halqa e Arwaah e Muqaddas k Payambar (SAWW)
Aey tajor e bazm e shariyat mere AAQA !
Aey Aarif e Meraaj e Bashar , Saahib e Minbar

Aey Shakir o mashkoor o Shakeel e Shab e Alam 
Aey naasir o Mansoor o Naseer e Dil e Insaan
Aey shaahid o Mash'hood o Shaheed e Rukh e Touheed,
Aey Naazir o Manzoor o Nazeer e Lab e Yazdaan

Aey Yusuf o Yaqoob (as) ki ummed ki mehwar
Aey baab e munajaat e di Yunus o Idrees(AS)
Aeu Nooh (as) ki kashti k liye saahil e taskeem
Aey Qibla e Haajat e sulemaan (as) shah e Bilqees

Sochein tou Khudaai teri marhoon e Tasavvur
Dekhein tou khudaai se har andaaz juda hai
Ye kaam bashar ka hai na Jibreel k bass mein
Tu Khud hi bata aey mere Moula(SAWW) k tu kia hai ????

Friday, February 14, 2014

Abu Talib as Key Bachey

Tera Qud Hai Kahin Sidra Sey Bala, Arsh Sey Oncha
Abutalib Bashar Ki Ankh Is Qaamat Ko Kia Dekhe

Nuseri Or Mey Is Baat Per Hen Mutafiq Dono
Tere Bachey Wali Dekhe , Nabi Dekhe , Khuda Dekhe

Hussain K Supurd

Kaar-e-Iilahiyaat Mey Masroof Hai Hussain
Os La Shareek Ko Isi Shirkat Sey cheyn Hai

Hai Sari Kayenaat Supurd-e-Khuda Magar
Tuheed Kerbala Sey Supurd-e-Hussain Hai

Bakhshish

Ali ki shehnshahi mey jo inki badshahi hai
Bus dil mera Haqeeqat Shinaas Rheta hai

BeyKhuaf hum chalte hen julooson mey is liye
Sir pey Jo her pal Panja-e-Abbas Rheta hai

Abis Ki Ghulami per Riza-e-Fatima Zehra
Bakhshish Hona Ho, Sukoon ka Ehsas Rheta Hai

Tuesday, October 29, 2013

Jab Khuda Ko Pukara (Revised)

Ali (A.s.) Aa Gaie.....
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie, Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi
Aagaie.....3
Zindagi Bandagi Raushni Aagai,
Raushni Aagai Aagai Aagai
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Maut Inke Muhibbhon Ko Aati Nahi,
Aa Bhi Jaaie To Phir Bach Ke Jaati Nahi
Maut Ka Khatar Maut Se Kya Hai Dar,
Is Se Bach Na Bhi Kya Aagai Aagai
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Teri Masnad Pe Gairon Ko Bithla diya,
Warise Mustafa Mazhar E Kibriya
Tu Ali (A.s.) O Wasi O Wali (A.s.) Hi Raha,
Manzilat Me Teri Kya Kami Aagaie
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Hum Ke Sarsar Ishk O Tawalla Me The,
Jaante Hi Na The Nafraton Dushmani
Yeh Tabarrah Bhi Wallah Kya Cheez Hai,
Hum Ko Agiyar Se Dushmani Aagaie
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Maslak E Ishk Me Maangna Aaib Hai,
Mai Bhi Khamoosh Hun Woh Bhi Khamosh Hai
Unko Sub Hai Khabar Isliye Chup Hun Mai,
Kya Hua Aankh Me Gar Nami Aagaie
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Khums Dena Mawaddat Ki Ek Shart Hai,
Aur Na Dena Bhi Misle Fidak Hai Gunah
Hak Ke Saadat Zehra (S.a.) Ke Makrrooz Se,
Jub Tabarra Suna To Hasi Aagai
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Kyun Na Roie Woh Kismat Ko Apni Sada,
Jin Ka Pura Mukddar Hai Lanat Zada
Jin Ki Kismat Me Apne Hi Aamal Se
Binte Ahmad (S.a.w.w.) Ki Naarazgi Aa Gai
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Sura E Aale Imran Bhi Hai Gawah,
Misle Kausar Hui Aal Unko Ata
Woh Jo Kehte The Abtar Nabi Ko Mere
Unki Kismat Me Hi Abtari Aagai
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Ishk E Haidar Me Phirte The Shaam O Sahar,
Unke Maddah Hai Sare Jin O Bashar
Unki Aawargi Ka Safar Dekh Kar,
Zahn Me Fikr E Aawargi Aagai
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie
Shairi Ki Sharait Bata Bhi Gaie
Aur Mai E Ishk E Haidar Pila Bhi Gaie
Sibte Jafar Mai Kurban E Ishk Ke
Ibne Jaafar Ko Bhi Shairi Aagai
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
Jub Ali (A.s.) Aagaie Zindagi Aagaie

Monday, October 21, 2013

Inteha-e-ALI

Ali shaoor ki sarhad may aa saka bhi NAHI,
Ye Inteha-e-ALI hai k Inteha bhi NAHI,
Ali Khuda or Muhammed k baad sub say Buland,
Ye meray zehan ki had hai magar pata bhi NAHI,
Tamam mushkilain hal ho gain lamhon may,
Abhi may soch raha tha ALI kaha bhi NAHI,
Ajeeb MARZ hai Bughz-e-ALI WALI jis may,
koi dawa bhi NAHI hai koi SHIFA bhi NAHI,
Baghair ISHQ-E-ALI tu nay is zamanay may,
taweel umr guzari magar jiya bhi NAHI,
jisay ALI ki Mohabbat may MAUT aai hai,
Maza ye hai wo Mar bhi gaya Mara bhi NAHI,
ALI say Hashr may ALLAH khud ye keh day ga,
koi TERA bhi NAHI hai to phir MERA bhi NAHI,
tera Libaas-e-Shariat WILA k dhagay say,
agar Sila bhi NAHI hai to phir SILA bhi NAHI,
Andhair Qabr may ye sochna k AJR-E-RASOOL,
wahan diya bhi NAHI hai to yahan Diya bhi NAHI,
ALI WALI k ado or KEYA Saza ho tujhay,
Namaz parh bhi raha hai magar Ada bhi NAHI"

Saturday, August 17, 2013

Abbas

Alfaz K Malik Mera Mayar Bana de
Mjhko Mere Ghazi Ka Wafadar Bana de
Itna To Mjhe Sahib e Qirdar Bana de
Shabir K Ghmkhwar Ka Ghmkhwar Bana de
Is Zkr Ki Nisbat Se He Mjh Par Ye Karam Ho
Hathon Mai Qalam Ho To Mere Sir Pe Alam Ho

Duniya Mai Nabi Zadi Ka Ehsan Hai Abbas
Had Ye Hai K Islam Ka Eman Hai Abbas
Or Apne Muhamad Ka Nighaban Hai Abbas
Haider Ka Pisar Ho k Bhi Imran Hai Abbas
Masoom Hai,Makhdoom Hai,Mola Hai walli Hai
Ye Fatima Zehra Ki Duwao'n Ka Ali Hai

Abbas Mai Jo "Ayn"Hai Wo AYN Azzadar
Tasmiya mai "BE"Ek Hai,Abbas Mai Do Bar
Phr Ek "ALIF"K Jo Eman Ka Ezhar
Abbas mai ek "SEN"Jo Sarkar ki Salar
Khalik Ne Usay Deen Ka Akkas Banaya
Jab Panch Milay Huraf Toh Abbas Banaya

Abbas Mai Asmat Ka Imamat Ka Hunar Hai
Shabir,Muhmad Ka Badan Hai To Ye Sir Hai
Jis Cht Pe Alam Dekh,Wo Abbas Ka Ghr Hai
Har Dour Mai Har Zalim Ko Abbas Ka Darr Hai
Allah Ko Us Shaks Ka Kch Pass Nahi Hai
Jis Jism Ki Jageer Mai Abbas Nahi Hai

Abbas Ka Sadyon Se Salamat Hai Sarapa
Had Ho Gae Is sher Pe Aaya Na Bhurapa
Maine Jo Kbi Aqal Ki Mezan Mai Napa
Abbas Mai Moujood Nusairi Ka Kudapa
Abbas Sada He Malango'n Ki Sada Hai
Abbas Ka Roza Bhi To Mishkil Mai kusha hai !!

Tauheed ka lheja

Maahi ka sadaf Toor ka jalwa ho ke parda 
Dekho tu sahi koan hai kia bol raha hai
Tuheed ke Lahje mey Ali karta Hai Bateyn
Dunia Yeh Samajti hai khuda bol Raha hai

Monday, April 29, 2013

Inna A'atayna Kal Kausar

Arsh sey utri Fatima s.a bun ker
Chum rahe they pyar sey sarwar s.aw

Arsh sey dii awaz Khuda ney
Inna A'atayna Kal Kausar

Ba’daz Khuda, buzurg tu hi, qissa e mukhtasar

Ye markazi khiyal hadees-e-kissa ka hai
Ismat shuru isi sey hue qissa mukhtasar

Ummu Abiha khe k Muhamamed ney khedia
Ba’daz Khuda, buzurg tu hi, qissa e mukhtasar