Tuesday, February 15, 2011

Saaqi

Tu apne ek jaam paa naaza'n hai saaqiyaa
Chaudah pilaanay waalay hen parwaa hai teri kya
Batlaaye deta hoon tujhe maikhaano'n ka pataa
Batha wa Kazmain-o-Khurasaan-o-Samara

Khursheed-e-muddua mera burj-e-sharaf mey hai
Ek Kerbala mein ek mera saaqi Najaf mey hai

No comments:

Post a Comment